SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"azal se taa-ba-abad ek hi kahaani hai isi se ham ko nai daastaan banaani hai ujaD to saktaa hai lekin badal nahin saktaa vo haq-shanaas jo ik ahd ki nishaani hai khirad ki baatein kahaan tak karoge divaano khirad ke naam pe kuchh khaak bhi uDaani hai tumhaare rang-e-jafaa ko bhi hai qayaam kahin hamaare ishq ki manzil to kaamraani hai faqat samajhne ke andaaz hain qadim o jadid fasaana-go ke to lab par vahi kahaani hai hayaat laakh ho faani magar ye sun rakhiye hayaat se jo hai maqsud ghair-faani hai suni-sunaai pe tarjih laakh baar us ko kitaab-e-dil ki 'razaa' baat aasmaani hai"
Kalidas Gupta RazaKalidas Gupta Raza
Quote
"jis ne ik ahd ke zehnon ko jilaa di hogi mere aavaara khayaalaat ki bijli hogi le uDi hai tire haathon ki hinaa pichhle pahar mere uljhe hue afkaar ki aandhi hogi jitni mil jaaegi kaanTon ki chubhan le lungaa jo bhi haalat dil-e-be-taab ki hogi hogi ham na maaneinge khamoshi hai tamannaa kaa mizaaj haan bhari bazm mein vo bol na paai hogi meri naa-kaami-e-haalaat ke dhaare ke sivaa ek naddi bhi to be-aab na bahti hogi hai 'razaa' aaj kaa aalam to asir-e-ibhaam yaar zinda hain to kal aur taraqqi hogi"
Kalidas Gupta RazaKalidas Gupta Raza
Quote
"baat agar na karni thi kyuun chaman mein aae the rang kyuun bikheraa thaa phuul kyuun khilaae the be-karaan khalaaon ki had bhi baandh deni thi jab zamin banaai thi aasmaan banaae the be-adab na the ham kuchh apni bhuul itni thi aap tak pahunch kar bhi aap mein na aae the aansuon ki chaadar ne Dhak diyaa hamein varna maang bhi sajaai thi khvaab bhi sajaae the aaj tere charnon kaa ruup hi niraalaa hai aaj phuul puujaa ke dhuul se uThaae the ai 'razaa' haqiqat to ab gale paDi varna boi thiin ghaTaaein bhi chaand bhi ugaae the"
Kalidas Gupta RazaKalidas Gupta Raza
Quote
"manzil ki dhuum dhaam se jab ji uchaT gayaa rah-gir jaise sainkaDon raston mein baT gayaa afsos dil tak aane ki raahein na khul sakin koi faqat khayaal tak aa kar palaT gayaa ham taul baiThe subh-dam insaan ko saae se suraj ke sar pe aate hi saayaa simaT gayaa kyaa jaane kis chaTaan se Takraa gayaa hai dil chaltaa huaa safina achaanak ulaT gayaa ab koi DhunD-DhaanD ke laao nayaa vajud insaan to bulandi-e-insaan se ghaT gayaa manzil pe gard-e-vahm-o-gumaan thi vo dhul gai raste mein aql o hosh kaa patthar thaa haT gayaa mahfil bhi nur-baar hai saaqi bhi khum ba-dosh mere hi naav nosh kaa meyaar ghaT gayaa manzil kahin mili na mili lekin ai 'razaa' manzil ke ishtiyaaq mein rastaa to kaT gayaa"
Kalidas Gupta RazaKalidas Gupta Raza
Quote
"qalam uThaaun musalsal ravaan-davaan likh duun koi paDhe na paDe main kahaaniyaan likh duun jahaan tak aaein tasavvur mein vaadiyaan likh duun phir un pe naam tumhaaraa yahaan vahaan likh duun jahaan mile mujhe roTi use likhun dharti jahaan pahunch na sakun us ko aasmaan likh duun nikal chalun kahin husn-o-junun ke jangal mein hiran ki aankh mein kaajal ki Doriyaan likh duun kahaani khatm hui lekin is kaa kyaa kiije jo lafz yaad ab aae unhein kahaan likh duun jo zehn mein hain huruf un ko kaam mein laaun jo dukh paDe hi na hon un ki daastaan likh duun kuchh aisaa patr likhun aap ko jo bhaa jaae maraa huun aap ke gin apni khaamiyaan likh duun ghazal to kah duun 'razaa' ye bhi to ijaazat ho jise tu hindavi kahtaa thaa vo zabaan likh duun"
Kalidas Gupta RazaKalidas Gupta Raza
Quote
"jab fikron par baadal se manDlaate honge insaan ghaT kar saae se rah jaate honge do din ko gulshan pe bahaar aane ko hogi panchhi dil mein raag sadaa ke gaate honge duniyaa to sidhi hai lekin duniyaa vaale jhuTi sachchi kah ke use bahkaate honge yaad aa jaataa hogaa koi jab raahi ko chalte chalte paanv vahin ruk jaate honge kali kali birhan ki chitaa ban jaati hogi kaale baadal ghir kar aage lagaate honge dukh mein kyaa karte honge daulat ke pujaari ruup khilaunaa toD ke man bahlaate honge"
Kalidas Gupta RazaKalidas Gupta Raza
Quote
"vo phaile sahraaon ki jahaan-baaniyaan kahaan hain ye sab to ghar jaisaa hai vo viraaniyaan kahaan hain vahi ummidein shikast-e-dil ki vahi kahaani vo jaan-ba-kaf doston ki qurbaaniyaan kahaan hain sulag rahe hain zamin zamaan phir bhi puchhte ho sharar-faroshon ki qahr-saamaaniyaan kahaan hain qadam qadam par fareb pag pag nukile kaanTe chaman tak aane ki ab vo aasaaniyaan kahaan hain 'razaa' ye mahfil to sard hi hoti jaa rahi hai kahaan hain shamein vo shoala-saamaaniyaan kahaan hain"
Kalidas Gupta RazaKalidas Gupta Raza
Quote
"main teri nigah mein ik chaman thaa ye husn-e-nazar thaa husn-e-zan thaa pakkaa thaa jo man kaa khasta-tan thaa vo qais kahaan thaa kohkan thaa makhmur si ho rahi thiin aankhein rujhaan-e-gunaah zau-fagan thaa duniyaa maqtal bani thi aur dil apne hi khayaal mein magan thaa gham-khaana ho ke rah gayaa hai vo lafz jo maabad-e-sukhan thaa uDtaa phirtaa ghubaar har-su ye dasht-e-ravaan kabhi chaman thaa kahne ko to mar chuki thi khvaahish baaqi magar us kaa baankpan thaa fankaar the ham na the kafan-kash zindon ke liye hamaaraa fan thaa kyaa ruuh damak damak uThi thi kundan saa khayaal kaa badan thaa go honT 'razaa' ke sil gae the khaame ki zabaan se naghma-zan thaa"
Kalidas Gupta RazaKalidas Gupta Raza
Quote
"chupke se dimaagh mein dar aae yaadon ke safir bin bulaae kab tak dukh kaa dhuaan dhuaan saa kab tak gham ke muhib saae bahrupiyo ruup ki duhaai taskin-e-nazar ko koi aae baiThe hain qadam qadam pe naqqaad taaid ki mishalein jalaae daamaan-e-khirad ne ye havaa di jitne the charaagh sab bujhaae aankhon se nikal gayaa andheraa taare se palak pe jagmagaae gulshan gulshan khangaal Daalaa khushbu khushbu pukaar aae is koh-e-khirad ko main karun kyaa divaane se kab uThaayaa jaae huun bu-e-gul khizaan-gazida koi jise DhunDe bhi na paae pat-jhaD ko rahnumaa banaa kar kaliyon ne ajiib gul khilaae darbaar-e-sukhan-varaan mein tanhaa baiThaa hai razaa bhi sar jhukaae"
Kalidas Gupta RazaKalidas Gupta Raza
Quote
"zabaan pe aah na siine pe daagh laayaa main tumhaari bazm se kyaa naa-muraad aayaa main suraagh-e-mehr-o-mohabbat kaa DhunDiyo na kahin ki un ki raakh havaa mein bikher aayaa main zamin ki shamon se jab dil ko raushni na mili falak se chaand sitaare utaar laayaa main khayaal o fikr ki aavaargi are tauba nikal gayaa jo kahin haath hi na aayaa main hazaar qaafile marg o hayaat ke guzre na dard ne kabhi thaamaa na muskuraayaa main shabaab par thaa chaman intikhaab-e-gul kaisaa tamaam phuul nazar mein sameT laayaa main koi safar saa safar thaa koi thi baaT si baaT rah-e-hayaat pe do-gaam chal na paayaa main bajaae naala razaa baar-haa huaa aisaa ghamon ki shorish-e-paiham pe muskuraayaa main"
Kalidas Gupta RazaKalidas Gupta Raza
Quote
"miraa dil ik sulagtaa saa kuaan kyuun yahaan Thahraa hi kartaa hai dhuaan kyuun vo ThanDi chhaanv peDon ki vo jhonke vahaan kyuun aap hain aur ham yahaan kyuun koi maalik koi maali nahin kyaa chaman mein is tarah pagDanDiyaan kyuun ik aansu hi to Tapkaa thaa zamin par vahin niklaa tumhaaraa aastaan kyuun tavaanaa aarzu ham bhi tavaanaa vo dubli kaanpti parchhaaiyaan kyuun jo lamhe ungliyon se chhin chuke hain abhi tak kah rahe hain daastaan kyuun khizaan pal-bhar mein aayaa chaahti hai diye jaati hai khushbu loriyaan kyuun"
Kalidas Gupta RazaKalidas Gupta Raza