SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byKaukab Zaki(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"vo sang-dil miraa rahbar hai kyaa kiyaa jaae aur us ke haath mein khanjar hai kyaa kiyaa jaae mire buzurgon ke sar par humaa kaa saaya thaa ye aaj ghairon ke sar par hai kyaa kiyaa jaae ye holi us ne jo kheli hai aatish-o-khun ki safir-e-amn bhi shashdar hai kyaa kiyaa jaae uDeingi dhajjiyaan phir amn ki ki vo zaalim khaDaa huaa sar-e-mimbar hai kyaa kiyaa jaae ye takht-o-taaj ye mahlon kaa kal jo vaali thaa vatan mein apne hi be-ghar hai kyaa kiyaa jaae bataao kaise jalaaun main shama ulfat ki ki tez bughz ki sarsar hai kyaa kiyaa jaae 'zaki' vo apni safaai mein khvaah kuchh bhi kahe gumaan meraa baraabar hai kyaa kiyaa jaae vo jis ne khuun se sinchaa thaa is chaman ko 'zaki' khilaaf us ke hi mahzar hai kyaa kiyaa jaae"
Kaukab ZakiKaukab Zaki
Quote
"aql-o-daanish mein kisi se nahin kamtar ham log vaqt vaaqif hai ki hain kitne qad-aavar ham log kaise Dar jaaeinge dhamki se tiri ai naadaan kyaa tu vaaqif nahin hain kitne dilaavar ham log ham musalmaan hain aur paDhte hain haq kaa kalima saari duniyaa ke taqaabul mein hain bartar ham log garche muflis hain magar daulat-e-din rakhte hain dekh kar ham ko na samjhein ki hain kamtar ham log saamne lashkar-e-baatil thaa hazaaron kaa magar DaT gae haq ke liye bas the bahattar ham log mashvara baunon ko ye hai ki sadaa had mein rahein aur bhulein na ki hain kitne qad-aavar ham log saazishein ham ko Dubone ki rachaataa hai adu ai 'zaki' kah do ki hain khuub shanaavar ham log"
Kaukab ZakiKaukab Zaki
Quote
"apne jalvon ko yuun na aam karo kuchh to parde kaa ehtimaam karo zulmaton ki bisaat hi kyaa hai tum charaaghon kaa intizaam karo khush-dili se milaa karo sab se khanda-peshaani apni aam karo ye na bhulo ki tum muhaafiz ho yuun na insaan kaa qatl-e-aam karo apne ajdaad hon na sharminda aisaa vaisaa na koi kaam karo is se dil kaa sukun miltaa hai zikr allaah kaa mudaam karo muflison ko na dekho nafrat se tum gharibon kaa ehtiraam karo yuun numaaish karo na daulat ki is buraai kaa ikhtitaam karo chaahte ho ki barguzida hon tum haqaaeq ko apne naam karo mujh ko tum se baDi mohabbat hai mere jazbe kaa ehtiraam karo agli naslon ko jis se faiz mile aisaa duniyaa mein koi kaam karo ye nae ahd kaa taqaaza hai qaatilon kaa bhi ehtiraam karo tez raftaar hai zamaana 'zaki' tum zakaavat ko tez-gaam karo"
Kaukab ZakiKaukab Zaki
Quote
"maamur-e-uns qalb-e-munavvar talaash kar labrez iltifaat se paikar talaash kar tujh ko jo de duaa to khudaa rad nahin kare aisaa koi faqir-o-qalandar talaash kar manzil se ham-kanaar kare kaarvaan ko jo aisaa koi jahaan mein rahbar talaash kar bulbul ho faakhta ho ki shaahin ki baaz ho sab mil ki uD sakein tu vo ambar talaash kar mushkil bahut hai phir bhi zamaane mein ai 'zaki' mehr-o-vafaa-o-khulq kaa paikar talaash kar ghavvaas gar samajhtaa hai khud ko to ai 'zaki' to bahr-e-fan mein Duub ke gauhar talaash kar zulm-o-sitam to had se guzarne lage 'zaki' amn-o-amaan kaa koi payambar talaash kar"
Kaukab ZakiKaukab Zaki
Quote
"ham se ruThi har khushi hai aaj kal kashmakash mein zindagi hai aaj kal ab shumaar-e-dushmanaan mumkin nahin doston ki hi kami hai aaj kal jahl kaa hai bol baalaa chaar su aagahi anqaa hui hai aaj kal lafz ko bartaa saliqe se magar maanaviyyat ki kami hai aaj kal naghmagi us mein na sheriyat kahin shaairi be-kaif si hai aaj kal hai taqaaza vaqt kaa kyaa kijiye dushmanon se dosti hai aaj kal amn gar qaaem rahe to kis tarah sharpasandi baDh gai hai aaj kal inqalaab aaegaa kaise ai 'zaki' sarfaroshon ki kami hai aaj kal"
Kaukab ZakiKaukab Zaki
Quote
"zakhm dil par lagaa nahin hotaa haal aisaa huaa nahin hotaa zikr-e-jaanaan huaa nahin hotaa zakhm-e-dil phir haraa nahin hotaa chain se zindagi basar hoti rog dil kaa lagaa nahin hotaa kuchh na kuchh baat ho gai varna dilrubaa bevafaa nahin hotaa uns ikhlaas aur vafaadaari dil mein shaair ke kyaa nahin hotaa dasht-o-sahraa mein gar nahin phirte paanv mein aabla nahin hotaa tum se shikva hai bevafaai kaa sab se to ye gila nahin hotaa zulm baDhtaa hai roz zaalim kaa khatm ye silsila nahin hotaa chaar aankhein nahin hui hotin pyaar kaa haadisa nahin hotaa yaad aati na ham ko jaanaan ki jaam gham kaa bharaa nahin hotaa adl ke beach koi haail hai kyon koi faisla nahin hotaa kahkashaan chaand titliyaan jugnu zikr-e-jaanaan mein kyaa nahin hotaa rab ko be-shak pukaarte hain ham jab koi aasraa nahin hotaa haar jaataa huun main anaa se 'zaki' sar ye kyon maarka nahin hotaa"
Kaukab ZakiKaukab Zaki
Quote
"huuk uThti hai mire qalb ki gahraai mein us ki yaad aati hai jab raat ki tanhaai mein ab to do vaqt ki roTi bhi nahin milti hai zindagi kaise kaTegi miri mahngaai mein aaj aayaa vo mire ghar to ye mahsus huaa maahtaab utraa ho jaise miri angnaai mein meri aankhon se nikal aae khushi ke aansu beTi rukhsat jo hui gunjti shahnaai mein ghar mein mehmaan agar aaein to khushi hoti hai main kasar kuchh nahin rakhtaa huun paziraai mein na to roTi hi mayassar hai na kapDaa na makaan zindagi yuun bhi guzar jaati hai kaThinaai mein husn aisaa hai ki aaine ko hairaan kar de ik vafaa ki hi kami hai mire harjaai mein kaise ash’aar mein laaegaa ghazal ki khushbu vo jo masruf hai bas qaafiya paimaai mein daakhila meraa hi mamnu' hai gulshan mein 'zaki' jab ki khuun main ne diyaa baagh ki zebaai mein ai 'zaki' main ne bhi ye khvaah nahin samjhaa thaa un ki saazish rahi shaamil miri paspaai mein"
Kaukab ZakiKaukab Zaki
Quote
"teraa suluk mujh se hai aghyaar ki tarah aankhon mein jo khaTaktaa huun main khaar ki tarah mubham har ek baat sanam ki lage mujhe iqraar bhi lage mujhe inkaar ki tarah shatranj jaisi mujh ko lage hai ye zindagi chalnaa har ek chaal samajhdaar ki tarah shaa'ir samajh ke tujh ko bulaayaa thaa bazm mein ghazlon ko yuun na gaa tu gulu-kaar ki tarah hosh-o-havaas gum hain jo us ke firaaq mein khud ko samajh rahaa huun main bimaar ki tarah saail tumhaare dar pe jo aae kabhi zaki us ko navaaziye kisi dildaar ki tarah qaabu mein rakh zabaan ko apni sadaa 'zaki' rishton ko kaaTti hai ye talvaar ki tarah"
Kaukab ZakiKaukab Zaki
Quote
"khair ummat hain mohabbat hain vafaa pyaar hain ham amn-e-aalam ke zamaane mein alam-daar hain ham kyuun hamein log samajhte hain ki ghaddaar hain ham roz-e-avval se vatan tere vafaadaar hain ham jang-e-aazaadi mein ham ne bhi kiyaa khud ko nisaar jaan dene ke liye aaj bhi tayyaar hain ham bughz-o-kine se kudurat se hai nafrat ham ko aashti-amn-o-mohabbat ke parastaar hain ham koi gham-khvaar na monis hai zamaane bhar mein ek muddat se musibat mein giraftaar hain ham rabb-e-aalam hai faqat ek sahaaraa teraa varna duniyaa mein to be-yaar-o-madadgaar hain ham koi baDh kar hamein siine se lagaa le ai 'zaki' tang-nazari se adaavat se to bezaar hain ham"
Kaukab ZakiKaukab Zaki
Quote
"is chaand se chehre ko dikhaa kyuun nahin dete hasrat ye mire dil ki miTaa kyuun nahin dete khalvat mein to kahte ho ki tum jaan ho meri ye baat zamaane ko bataa kyuun nahin dete ye baat agar sach hai ki tum pir-e-mughaan ho is rind ko ji bhar ke pilaa kyuun nahin dete maqsud nahin nasl ki islaah agar ho aslaaf ke ausaaf bataa kyuun nahin dete akhlaaq se kirdaar se ulfat se jahaan mein nafrat ke andheron ko miTaa kyuun nahin dete main ho ke vafaadaar bhi mulzim huun jafaa kaa phir meri vafaaon ko bhulaa kyuun nahin dete nafrat ke ghaTaa-Top andhere mein 'zaki' tum ik shama mohabbat ki jilaa kyon nahin dete"
Kaukab ZakiKaukab Zaki
Quote
"tujhe apnaa banaanaa chaahtaa huun main qismat aazmaanaa chaahtaa huun tujhe dil mein biThaanaa chaahtaa huun nai duniyaa basaanaa chaahtaa huun gham-e-dauraan se gar mil jaae fursat main hansnaa muskuraanaa chaahtaa huun bahut daavaa hai tujh ko dosti kaa tujhe bhi aazmaanaa chaahtaa huun bahut taDpaa rahi hain us ki yaadein main us ko bhuul jaanaa chaahtaa huun mire rab ki hifaazat mein hai kashti ye tufaan ko bataanaa chaahtaa huun sabaq uns-o-mohabbat kaa 'zaki' main zamaane ko paDhaanaa chaahtaa huun"
Kaukab ZakiKaukab Zaki