SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byLiaqat Jafri(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"musalsal ashk-baari kar rahaa thaa main apni aabiyaari kar rahaa thaa mujhe vo khvaab phir se dekhnaa thaa main khud pe niind taari kar rahaa thaa kai din tak thaa meri dastaras mein main ab dariyaa ko jaari kar rahaa thaa mujhe ruk ruk ke panchhi dekhte the main patthar par savaari kar rahaa thaa guzarnaa thaa bahut mushkil udhar se daricha chaand-maari kar rahaa thaa koi atom thaa mere jism-o-jaan mein main jis ki taab-kaari kar rahaa thaa safine sab ke sab gharqaab kar ke samundar aah-o-zaari kar rahaa thaa mujhe fitrat bhi ghisti jaa rahi thi main khud bhi reg-maari kar rahaa thaa meri duty thi khemon ki hifaazat magar main aab-daari kar rahaa thaa sitaare TimTimaanaa ruk gae the main phir akhtar-shumaari kar rahaa thaa mujhe bhiDnaa thaa kis vahshi se lekin main kis paagal se yaari kar rahaa thaa bahut se kaam karne the 'liyaaqat' jinhein main baari baari kar rahaa thaa"
Liaqat JafriLiaqat Jafri
Quote
"usi ke dam pe to ye dosti bachi hui thi hamaare biich mein jo ham-sari bachi hui thi hamaare biich mein ik pukhtagi bachi hui thi bachi hui thi magar aarzi bachi hui thi usi ke nuur se ye raushni bachi hui thi mire nasib mein jo tirgi bachi hui thi usi ke dam pe manaayaa thaa us ne jashn miraa ki dushmani mein bhi jo dosti bachi hui thi kamaal ye thaa ki ham bahs haar baiThe the hamaare lahje ki shaaistagi bachi hui thi agarche khatm the rishte paDosiyon vaale hamaare biich mein hamsaaegi bachi hi thi badal chukaa thaa vo apnaa mizaaj mere liye magar dikhaave ko ik be-rukhi bachi hui thi usi ke nuur se pur-nur thaa ye saaraa jahaan hamaari aankh mein jo raushni bachi hui thi ab is maqaam pe pahunchaa diyaa thaa ham ne ishq junun khatm thaa divaangi bachi hui thi usi ne joD ke rakkhaa huaa thaa rishte ko hamaare biich mein jo barhami bachi hui thi is ek baat ki sharmindagi ne maar diyaa mire vajud tiri tishnagi bachi hui thi ubuur kar liyaa sahraa to phir se lauT aae junun baaqi thaa aashuftagi bachi hui thi main gaahe-gaahe use yaad kar hi letaa thaa isi bahaane miri zindagi bachi hui thi usi ke dam pe paDhe bhi gae sune bhi gae hamaare lahje mein jo chaashni bachi hui thi zamaane teri hunar-kosh razm ke haathon main luT chukaa thaa magar shaaeri bachi hui thi vo kaun raaz thaa jis ko bayaan kar na sake vo kaun baat thi jo 'jaafari' bachi hui thi"
Liaqat JafriLiaqat Jafri
Quote
"raunaq-e-daaman-e-sad-chaak kahaan se laaein shahr mein dasht ki poshaak kahaan se laaein haalat-e-jazb mein idraak kahaan se laaein zahr ke vaaste tiryaak kahaan se laaein gard-haa-e-khas-o-khaashaak kahaan se laaein is qadar gardish-e-aflaak kahaan se laaein paani le aae hain ab ek nai uljhan hai kuza-gar tere liye khaak kahaan se laaein chehraa-mohraa to bahar-haal damak hi legaa taabish-e-chashma-e-nam-naak kahaan se laaein tujh ko bilkul nahin ehsaas-e-hunar ai dariyaa ab tire vaaste tairaak kahaan se laaein khaak-zaade hain so bas ek hi rangat hai nasib khud mein sad-rangi-e-aflaak kahaan se laaein ham bhi ji bhar ke tujhe koste phirte lekin ham tiraa lahja-e-be-baak kahaan se laaein"
Liaqat JafriLiaqat Jafri
Quote
"kisi girdaab ki pheinki paDi hai lab-e-saahil jo ik kashti paDi hai haqiqat mein vahi sidhi paDi hai mujhe ik chaal jo ulTi paDi hai safar uljhaa diye hain us ne saare mire pairon mein jo tezi paDi hai vo hangaama guzar jaataa udhar se magar raste mein khaamoshi paDi hai mire kaanon ki zad par hain manaazir miri aankhon mein sargoshi paDi hai huaa hai qatl bedaari kaa jab se ye basti raat din soi paDi hai ye misra main adhuraa chhoDtaa huun mire baste mein ik takhti paDi hai patang kaTne kaa baais aur hai kuchh agarche Dor bhi uljhi paDi hai zaraa koyal kaa pinjra khul gayaa thaa abhi tak khauf se sahmi paDi hai mukammal ek duniyaa aur bhi hai jo ik duniyaa ki an-dekhi paDi hai baDi banjar thi ye kheti 'liyaaqat' magar kuchh roz se sinchi paDi hai"
Liaqat JafriLiaqat Jafri
Quote
"khaamushi ko sadaa mein rakkhaa gayaa ek jaadu havaa mein rakkhaa gayaa chaak-e-jaan se utaar kar kuuza sahn-e-aab-o-havaa mein rakkhaa gayaa phir murattab kiye gae jazbaat ishq ko ibtidaa mein rakkhaa gayaa sang-e-buniyaad thi khalaaon ki ek patthar havaa mein rakkhaa gayaa ek konpal sajaai achkan par ek khanjar qabaa mein rakkhaa gayaa ek dariyaa uThaa ke laayaa gayaa dasht-e-karb-o-balaa mein rakkhaa gayaa mushtahar ki gaiin duaaein bahut aur asar bad-duaa mein rakkhaa gayaa mujh ko takhliq se guzaaraa gayaa aur khudaa ki razaa mein rakkhaa gayaa inkishaafaat ho chuke saare moajaze ko anaa mein rakkhaa gayaa"
Liaqat JafriLiaqat Jafri
Quote
"paDe paDe nai zar-kheziyaan nikal aaiin kaTe darakht mein phir Tahniyaan nikal aaiin us aaine mein thaa sarsabz baagh kaa manzar chhuaa jo main ne to do titliyaan nikal aaiin main toD Daalaa gayaa to imaarat-e-jaan mein kahaan kahaan se miri chaabiyaan nikal aaiin main aasmaan pe pahunchaa to laDkhaDaane lagaa bulandiyon mein ajab pastiyaan nikal aaiin Thahar gae to mayassar hui na jaa-e-amaan jo chal paDe to kai bastiyaan nikal aaiin vahi nasib ki main shahryaar jis se banaa usi nasib mein tang-dastiyaan nikal aaiin mire ilaaj ko allaah istaqaamat de mire mariz ki phir pasliyaan nikal aaiin main aasmaan se utraa zamin ki jaanib zamin se meri taraf siDhiyaan nikal aaiin vahi suraakh jahaan chhipkili kaa Deraa thaa usi suraakh se phir chyunTiyaan nikal aaiin abhi abhi to sambhaalaa gayaa thaa gard-o-ghubaar hisaar-e-dasht mein phir aandhiyaan nikal aaiin sambhaal rakhaa thaa ammi ne jis ko maut talak usi kabaaD se kuchh takhtiyaan nikal aaiin main aakhiri thaa jise sarfaraaz honaa thaa mire hunar mein bhi kotaahiyaan nikal aaiin"
Liaqat JafriLiaqat Jafri
Quote
"haalaanki pahle din se kahaa jaa rahaa huun main lekin kahaan kisi ko sunaa jaa rahaa huun main laachaar o bad-havaas ghane jangalon ke biich dariyaa ke saath saath chalaa jaa rahaa huun main pachhtaa rahe hain sab miraa pinjar nikaal kar divaar mein dobaara chunaa jaa rahaa huun main haalaanki pahle saae se rahti thi kashmakash ab apne bojh se hi dabaa jaa rahaa huun main tere sambhaalne se bhi pakDi na main ne aag ab aur bhi ziyaada bujhaa jaa rahaa huun main pahle-pahal to khud se hi mansub the ye ashk ab us ki aankh se bhi bahaa jaa rahaa huun main ye din bhi kaisaa sakht shikanja hai 'jaafari' ab jis pe saari raat kasaa jaa rahaa huun main"
Liaqat JafriLiaqat Jafri
Quote
"sar pe sajne ko jo tayyaar hai mere andar gard-aalud si dastaar hai mere andar jis ke mar jaane kaa ehsaas banaa rahtaa hai mujh se baDh kar koi bimaar hai mere andar roz ashkon ki nai fasl ugaa detaa hai ek buDhaa saa zamindaar hai mere andar kitnaa ghanghor andheraa hai miri rag rag mein is qadar raushni darkaar hai mere andar dab ke mar jaaungaa ik roz main apne niche ek girti hui divaar hai mere andar kaun detaa hai ye har vaqt gavaahi meri kaun ye meraa taraf-daar hai mere andar mere likkhe hue har lafz ko jhuTlaataa hai mujh se baDh kar koi fankaar hai mere andar"
Liaqat JafriLiaqat Jafri
Quote
"koi samjhaao dariyaa ki ravaani kaaTti hai ki mere saans ko tishna-dahaani kaaTti hai main baahar to bahut achchhaa huun par andar hi andar mujhe koi balaa-e-naa-gahaani kaaTti hai main dariyaa huun magar kitnaa sataayaa jaa rahaa huun ki basti roz aa ke meraa paani kaaTti hai zamin par huun magar kaT kaT ke girtaa jaa rahaa huun musalsal ik nigaah-e-aasmaani kaaTti hai main kuchh din se achaanak phir akelaa paD gayaa huun nae mausam mein ik vahshat puraani kaaTti hai ki raaja mar chukaa hai aur shahzaade javaan hain ye raani kis tarah apni javaani kaaTti hai nazar vaalo tumhaari aankh se shikva hai mujh ko zabaan vaalo tumhaari be-zabaani kaaTti hai"
Liaqat JafriLiaqat Jafri
Quote
"tumhein ab is se ziyaada sazaa nahin dungaa duaaein dungaa magar bad-du'aa nahin dungaa tiri taraf se laDungaa main teri har ik jang rahungaa saath magar hausla nahin dungaa tiri zabaan pe mauquf mere haath kaa lams nivaala dungaa magar zaaiqa nahin dungaa main pahle bose se naa-aashnaa rakhungaa tumhein phir is ke baa'd tumhein dusraa nahin dungaa phir ek baar guzar jaao mere uupar se main is ke baa'd tumhein raasta nahin dungaa ki tu talaash kare aur main tujh ko mil jaaun main teri aankh ko itni sazaa nahin dungaa bhagaae rakkhungaa apni adaalaton mein tumhein tamaam 'umr tumhein faisla nahin dungaa main us ke saath huun jo uTh ke phir khaDaa ho jaae main tere shahr ko ab zalzala nahin dungaa tiri anaa ke liye sirf ye sazaa hai bahut tu jaa rahaa hai to tujh ko sadaa nahin dungaa ki ab ki baar 'liyaaqat' huaa huaa so huaa main us ke haath mein ab aainaa nahin dungaa"
Liaqat JafriLiaqat Jafri
Quote
"kitnaa dushvaar hai jazbon ki tijaarat karnaa ek hi shakhs se do baar mohabbat karnaa jis ko tum chaaho koi aur na chaahe us ko is ko kahte hain mohabbat mein siyaasat karnaa surmai aankh hasin jism gulaabi chehraa is ko kahte hain kitaabat pe kitaabat karnaa dil ki takhti pe bhi aayaat likhi rahti hain vaqt mil jaae to un ki bhi tilaavat karnaa dekh lenaa baDi taskin milegi tum ko khud se ik roz kabhi apni shikaayat karnaa jis mein kuchh qabrein hon kuchh chehre hon kuchh yaadein hon kitnaa dushvaar hai us shahr se hijrat karnaa"
Liaqat JafriLiaqat Jafri