SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byM Kothiyavi Rahi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"rasta kisi vahshi kaa abhi dekh rahaa hai ye peD jo is raah mein sadiyon se khaDaa hai ghurbat ke andhere mein tiri yaad ke jugnu chamke hain to raahon kaa safar aur baDhaa hai duniyaa se alag ho ke guzarti hai javaani haalaan ki ye mumkin nahin purkhon se sunaa hai chaahat jo junun ke liye zanjir bani thi aaj us ko bhi vahshat ne miri toD diyaa hai yaaro na abhi apne Thikaanon ko sidhaaro kuchh baat karo raat kaTe sard havaa hai ik gham kaa alaav hai jise gher ke sab log baiThe hain ki 'raahi' ne nayaa giit likhaa hai"
M
M Kothiyavi Rahi
Quote
"tumhaare paikar se phuTne vaali raushni meri raah mein hai ye faasla is liye gavaaraa ki ik haqiqat nigaah mein hai fasil-e-gham gir gai to kis se lipaT ke roeinge shahr-e-yaaraan ye soch kar jhuum uThaa huun yaaro ki gham khud apni panaah mein hai main zindagi taj ke aa rahaa huun isi liye muskuraa rahaa huun zaraa bataao ki kis liye ab kaji tumhaari kulaah mein hai tumhaare baaghon se duur viraan regzaaron mein gul khile hain shafaq ufuq ke hisaar mein hai shaguftagi shaahraah mein hai nadi nadi be-karaan khamoshi shajar shajar sogvaar saae ye raat bimaar ho gai hai ki mubtalaa phir gunaah mein hai udaas yaadon ne baab-e-afkaar par kai baar dastakein diin magar qalam hai ki gul-fishaan bint-e-shab ki aaraam-gaah mein hai koi qalandar hai koi darvesh koi vahshi hai koi 'raahi' har ek shorida-sar baraae-sahar tiri khaanqaah mein hai"
M
M Kothiyavi Rahi
Quote
"gumun nahin to kyaa main kahin jaa ke paD rahun bimaar aadmi ki tarah raat kaaT duun dekhegaa aaj meri taraf kaun pyaar se bujhtaa huaa charaagh huun patjhaD kaa chaand huun tasvir ban ke dekh rahaa huun jahaan ko tu hi bataa ki aur main ab kaise chup rahun shirin hai zahr maut kaa ai talkhi-e-hayaat ji chaahtaa hai aaj tiraa jaam toD duun is baare mein to aap se behtar huun main zarur piinaa bhi paD gayaa to piyaa hai khud apnaa khuun khat likh ke phaaD denaa mire mashghalon mein hai paDhti rahi hai aag miraa naama-e-zubun gir jaaegi ye chhat jo chali jhuum kar havaa 'raahi' miri hayaat hai ik qasr-e-be-sutun"
M
M Kothiyavi Rahi
Quote
"ai dasht-e-shab-guzaar tiri aas kaa hiran khaai mein yaas ki jo giraa ro paDi pavan jaa kar dayaar-e-marg mein chhoD aaiye use jo ghumtaa hai oDhe hue dard kaa kafan ab tujh se hi jalaaungaa ye gul-shuda charaagh ai TimTimaati raat Dhale chaand ki kiran ab tere khat ko DhunD rahaa huun varaq varaq uktaa chukaa hai harf-o-hikaayat se meraa man aavaaz aa rahi hai fasil-e-najaat se teri kami khaTakti hai ai mere ham-vatan yazdaan khataa muaaf giraa jaa rahaa huun main phir aadmi ke bhes mein aayaa hai ahrman"
M
M Kothiyavi Rahi
Quote
"yaas makaan-e-dil se nikal kar kone kone jalne vaali darmaanda si lauT aai hai raat hai shaayad Dhalne vaali tum ko hamaari chaah nahin hai jab se ye vishvaas huaa hai har tahrir jalaa Daali hai soch hai ruup badalne vaali chaand ki khuddaari se main ab dars-e-khud-aagahi letaa huun varna ye maayusi ki zulmat sadiyon se thi badalne vaali giton ko dafnaa do yahin par chikhon ke uslub janm do hangaamon ki riit yahi hai aur yahi hai chalne vaali kaise kaise saahib-e-nazraan sar-ba-garebaan ghuum rahe hain aaj hai jaane kis ki savaari fan ke makaan se nikalne vaali"
M
M Kothiyavi Rahi
Quote
"kaajal shaam ki aankh se Dhalke aanchal tere shaane se aur zaraa gham bhi le aaein yaadon ke viraane se kyaa us ne sochaa hogaa jab khat meraa pahunchaa hogaa soch rahaa huun dekh aauun main jaa kar kisi bahaane se chaahat ke do badan shahar mein alag alag kyon rahte hain Takraane ki himmat bhi thi jab be-dard zamaane se sone chaandi ki divaarein Dah denaa aasaan na thaa lekin tum to bahak gae is duniyaa ke bahkaane se ujaD gai jab pyaar ki mahfil chale gae sab dil vaale tanhaa raahe bahal rahaa hai maazi ke afsaane se"
M
M Kothiyavi Rahi
Quote
"saahabo manzil-e-jaanaan ki taraf jaanaa mat aur jaanaa to kahaani koi dohraanaa mat gul khilaa degaa mahakte hue chehron kaa tilism shahar-e-aaina dil-e-zaar ko dikhlaanaa mat mujh ko chaahaa hai to bakhsho miri chaahat ko davaam ban ke rah jaanaa Dhali raat kaa afsaana mat vasl ki chaah mein ruknaa na kisi jism ke paas daulat-e-hijr ko saudaaiyo Thukraanaa mat sar-burida si guzar jaanaa shahidon ki tarah titliyo dil ke dabistaan mein Thahar jaanaa mat ulfatein sab ko mayassar nahin hotin pyaare tishna lamhon ki mulaaqaat se uktaanaa mat maqtal-e-ishq na ab kucha-e-qaatil 'raahi' shahr-e-be-khvaab mein jaate hue ghabraanaa mat"
M
M Kothiyavi Rahi
Quote
"fusun kar gai raat paagal havaa uDaa le gai surkh aanchal havaa hui jis ghaDi dhuul se dosti bani dasht-e-ghurbat mein baadal havaa mujhe zindagi ik gulistaan lage dikhaa chal ke ab us ko jangal havaa jalaa de iraadon ke tufaan ko bujhaa de agar teri mashal havaa saDak par badan ik paDaa dekh kar chali ghuum kar su-e-maqtal havaa khushi ke charaaghon ne samjhaa hai kab tujhe ai shab-e-gham ki bojhal havaa lahu raat ki raat girtaa rahaa rahi raat ki raat jal-thal havaa"
M
M Kothiyavi Rahi
Quote
"daraaz-qaamat daraaz-gesu ajiib saa ik nigaar thaa vo gulon ki baag us ke haath mein thi havaaon par jab savaar thaa vo junun thaa ban kar lahu ragon mein ki raat din dauDte the lamhe thake na the vo jo ruk gae the mire liye be-qaraar thaa vo mire khudaa husn ke dafine ko mat khazaane kaa martaba de ki paa ke jo us ko khush bahut thaa ganvaa ke kal ashk-baar thaa vo ubal paDe nafraton ke sote ki ho gai khushk jhiil gham ki shikast-khurda saa munh chhupaae na jaane kis kaa shikaar thaa vo kabhi kabhi jo sunaa gayaa thaa kahin kahin jo paDhaa gayaa thaa kitaab mein band ho chukaa hai ik umr kaa shaahkaar thaa vo vo doston dushmanon kaa pyaaraa phiraa tamaam umr maaraa maaraa sunaa hai kal gham ne maar Daalaa ki jis kaa derina yaar thaa vo ajiib raahi thaa reg-zaaron mein pyaas lamhon ki bo rahaa thaa magar chaTTaanon se gir rahaa thaa ki shab mein ik aabshaar thaa vo"
M
M Kothiyavi Rahi
Quote
"jalegaa chaand sitaare dhuaan uDaaeinge hamaare khvaab tiri aankh mein jab aaeinge miri nazar se vo chehre utar nahin sakte jinhein ye ahl-e-nazar jald bhuul jaaeinge ghazal sunaao bahalnaa bahut zaruri hai hanseinge log ham aansu agar bahaaenge phir aai shaam darakhton pe ghonsle jaage magar ham aaj bhi ai dost ghar na jaaeinge udaas rahiye na uktaa ke khud-kushi kiije vo din qarib hai jab aap gul khilaaenge kafan se kam nahin jaaDe ki chaandni 'raahi' ab is ko oDh ke ham kaise muskuraaeinge"
M
M Kothiyavi Rahi