SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byManzar Naqvi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tum ne dekhaa hai kabhi dil ye hamaaraa TuuTaa dekhne aataa hai har shaam sitaaraa TuuTaa reg-e-saahil pe kisi naam kaa aansu Tapkaa mauj-e-betaab se dariyaa kaa kinaaraa TuuTaa dil ki ik samt banaayaa thaa koi shish-mahal gham ki aandhi mein magar saare kaa saaraa TuuTaa tez raftaar safar se to gurezaan hi rahe ham kisi yaad mein gum the ki ishaaraa TuuTaa ham to samjhe the mohabbat mein baDi taaqat hai ye bharam bhi to sar-e-husn hamaaraa TuuTaa ek mazbut taalluq hai shikasta 'manzar' khud ko barbaad kiyaa us ko sanvaaraa TuuTaa"
Manzar NaqviManzar Naqvi
Quote
"sach ko jhuuT banaa jaataa hai baaz auqaat banda Thokar khaa jaataa hai baaz auqaat ghar ki chhat par rim-jhim baarish jalti dhuup ye mausam bhi aa jaataa hai baaz auqaat achchhi qismat achchhaa mausam achchhe log phir bhi dil ghabraa jaataa hai baaz auqaat rozaana tu raat gae ghar aataa hai shaam se pahle aa jaataa hai baaz auqaat jiit ke mujh se itnaa kyuun itraate ho haar ke bhi jiitaa jaataa hai baaz auqaat tum ne naahaq rone kaa ilzaam diyaa aankh mein paani aa jaataa hai baaz auqaat 'manzar' miThi baatein bhi to kartaa hai kaDve bol sunaa jaataa hai baaz auqaat"
Manzar NaqviManzar Naqvi
Quote
"na koi shab badalti hai na koi din badaltaa hai lahu zulmat mein jab bole nayaa suraj nikaltaa hai koi dasht-e-balaa ho yaa koi bhi reg-e-sahraa ho jahaan ham eDiyaan ragDein vahaan chashma ubaltaa hai gumaan kaa zahr piite ho yaqin kaa shahd bhi chakkho isi ke zaaiqe se maut kaa nashsha badaltaa hai usi ke saath chaltaa hai koi ummid kaa jugnu ki jis ke dil mein bhi koi charaagh-e-ishq jaltaa hai ye manzar baarhaa dekhaa ki har ik vaqt kaa jaabir lahu ki raushni mein aa ke apni aankh maltaa hai"
Manzar NaqviManzar Naqvi
Quote
"sab madaari hain tamaashaa bhi hai koi koi ab unhein dekhne vaalaa bhi hai koi koi meri khaamoshi ko tanhaai samajhne vaalo mahfil-e-dil mein to aataa bhi hai koi koi surkh miTTi mein gire aansu bane hain moti khaak se DhunDh ke laataa bhi hai koi koi hanste hanste hue aansu bhi nikal aate hain rote rote hue hanstaa bhi hai koi koi chhoD jaataa hai to jaae ye hujum-e-duniyaa majmaa-e-ghair se aayaa bhi hai koi koi 'mir' to miir hai saahab to nahin hai saahab 'mir' ke daur mein saudaa bhi hai koi koi teri duniyaa mein miraa zikr rahegaa 'manzar' surat-e-sher mein dekhaa bhi hai koi koi"
Manzar NaqviManzar Naqvi
Quote
"raat mein chaand se baatein karnaa haule haule aankh ke raste dil mein utarnaa haule haule titli phuul havaa aur khushbu raat aur jugnu jhuum ke saaz bajaae jharnaa haule haule dhaDkan dhaDkan raqs kiyaa hai aks liyaa hai album yaad ki dekh sanvarnaa haule haule mausam phir tabdil huaa hai tez havaa hai gali se us ki aaj guzarnaa haule haule tum ne sach mein jhuuT milaayaa phir uljhaayaa apni baat se aap mukarnaa haule haule miTTi mein jab zor bahut hai shor bahut hai prem ke baagh mein jaa ke bikharnaa haule haule dasht se jab suraj guzraa thaa ye 'manzar' thaa dard kaa ret pe aahein bharnaa haule haule"
Manzar NaqviManzar Naqvi
Quote
"saans chalti rahti hai zindagi nahin hoti bebasi ke lamhon mein shaairi nahin hoti ishq baat kartaa hai dil tavaaf kartaa hai ird-gard phirne se aashiqi nahin hoti zindagi ke sahraa mein ek chaand kaafi hai qumqumon ki kasrat se raushni nahin hoti khuun ki ravaani mein is qadar mohabbat hai nafraton ke halqon se dosti nahin hoti khvaahishon ke lashkar se roz laDtaa rahtaa huun ye bhi ik muamma hai dushmani nahin hoti tum ne but banaae hain tum ko hi mubaarak hon but-shikan qabile se aazari nahin hoti sab khizaan ke patton mein gul-bahaar manzar hai khushbuon ke aane ki mukhbiri nahin hoti"
Manzar NaqviManzar Naqvi
Quote
"aasmaanon se aae hue nuur the rashk-e-mahtaab the vo to baagh-e-vafaa ke ajab phuul the khushbu-e-khvaab the main ne dekhaa sunaa husn kaa vaaqia jab paDhaa to kahaa vo kitaab-e-mohabbat ki aayaat the ishq kaa baab the un darakhton ke pichhe kahin main bhi thaa ik shagufa khilaa kuchh parinde shanaasaa tabiat ke the jo ki naayaab the patti patti ki surat the bikhre hue gul hasin baagh ke surkh aandhi chali hijr laahaq huaa phir bhi shaadaab the dard se maavaraa ishq kaa kaarvaan shauq-e-'manzar' rahaa husn hairat mein hai shal hue hi nahin kaise aasaab the"
Manzar NaqviManzar Naqvi
Quote
"ik ariza hai dil-e-mushtaaq mein rakkhaa huaa aaftaab-e-ishq hai aafaaq mein rakkhaa huaa zindagi kaa zaaiqa mujh ko tavaatur se milaa zahr mein rakhaa huaa tiryaaq mein rakkhaa huaa nafraton ke sab navishte us ne azbar kar liye hai mohabbat kaa sahifa taaq mein rakhaa huaa balva-e-baatil mein haq ki khaamushi kaa saath do ye bhi nukta hai mire misaaq mein rakkhaa huaa raakh uDti dekh kar mujh se gurezaan kyon hue ek shoala hai abhi chaqmaaq mein rakkhaa huaa main ne dekhaa meraa qaatil mubtalaa-e-khauf hai sar miraa thaa jis ghaDi itbaaq mein rakkhaa huaa lau na maddham hogi 'manzar' bujh na paaegaa kabhi ye diyaa hai sina-e-ushshaaq mein rakkhaa huaa"
Manzar NaqviManzar Naqvi
Quote
"dil ki khaatir khud ko 'manzar' rog lagaanaa paD jaataa hai ghar ke andar shor agar ho baahar jaanaa paD jaataa hai niind se pahle jhilmil karte aa jaate hain khvaab-e-mujassam so jaaun to jo bhi dekhun khvaab bhulaanaa paD jaataa hai shahr ke baarah darvaaze hain ek jharokaa hai khushbu kaa sab par teraa naam likhaa hai ye samjhaanaa paD jaataa hai pahle-pahal to zabt ke mausam kar jaate hain apnaa saaya baad mein aankhon hi aankhon mein haal sunaanaa paD jaataa hai soch sako to itnaa socho patthar lauT ke aa sakte hain ek puraanaa qaul sahi lekin dohraanaa paD jaataa hai yaaron ki fihrist bane to khaali satrein bhi rakh lenaa 'manzar' dushman ko bhi ik din yaar banaanaa paD jaataa hai"
Manzar NaqviManzar Naqvi
Quote
"jab tiri yaad ke rangon se banaa li ham ne dil ki divaar pe tasvir sajaa li ham ne us ke asbaab se niklaa hai pareshaan kaaghaz baat itni thi magar khuub uchhaali ham ne tum se milne ko sitaaron mein bhi halchal dekhi muddaton baad koi faal nikaali ham ne yunhi auron ke liye laDne chale aae ho kab koi baat tumhaari thi jo Taali ham ne ab jo gulshan mein khizaaon ki amal-daari hai fasl-e-gul ki kabhi buniyaad na Daali ham ne kai aansu miri aaankhon mein hi tahlil hue dil mein aae to phir ik yaad manaa li ham ne"
Manzar NaqviManzar Naqvi
Quote
"kuchh bataao to sahi ab ke tamaashaa kyaa hai honT par taale lage sab ke tamaashaa kyaa hai dil ke ik moD pe rahtaa hai tamannaa kaa hujum jaane vaale to gae kab ke tamaashaa kyaa hai zulm Dhaao yaa banaa Daalo mohabbat kaa safir ham nahin rahte kahin dab ke tamaashaa kyaa hai jis ki khaamoshi se niklaa hai sahar kaa suraj ham musaafir hain usi shab ke tamaashaa kyaa hai rang maddham hain magar pyaar ki khushbu na gai phuul taaza hain tiri chhab ke tamaashaa kyaa hai dard ke saaz pe ham ne bhi ghazal-khvaani ki giit likkhe hain tire lab ke tamaashaa kyaa hai tum to duniyaa ho badalnaa hai vatira teraa ham kahaan bande tere Dhab ke tamaashaa kyaa hai sirf tum hi to bulandi pe nahin ho taaro ham bhi 'manzar' hain usi rab ke tamaashaa kyaa hai"
Manzar NaqviManzar Naqvi