SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMasood Ahmad(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"baadal banaa rahaa huun main ashkon ki bhaap se jhagDaa hai naa-guzir miraa apne aap se khushiyon ke saath mere ravaabit hain aaj-kal gham ko kashid kartaa huun Dholak ki thaap se jaaungaa saare masale virse mein chhoD kar tarke mein jo mile hain mujhe apne baap se puuraa kiyaa hai dil ne unhein kaanT-chhaanT kar vo dukh bahut baDe the kahin mere naap se haasil vasul kyaa hai khazaane pe baiTh kar kiilaa gayaa huun main kisi mantar ke jaap se masraf nikal to aaya hai andar ki aag kaa dil ke phaphole jalne lage hain alaap se sach-much kisi se koi adaavat nahin magar kuchh pun kamaa rahaa huun mohabbat ke paap se aise hi to main us kaa nishaana nahin banaa pahchaantaa thaa vo mujhe qadmon ki chaap se phir lahlahaa uThi hain tabassum ki khetiyaan khilne lage hain phuul dilon ke milaap se"
Masood AhmadMasood Ahmad
Quote
"dil-o-dimaagh mein kaisaa bhanvar banaa huaa hai zamir mere liye dard-e-sar banaa huaa hai main apni chhat ke liye kaaTtaa zarur magar shajar mein kitne parindon kaa ghar banaa huaa hai tum is bharose ko phir se bhi toD sakte ho jo taaza taaza abhi TuuT kar banaa huaa hai kahin to naqb lagaati hain raat-din saansein fasil-e-zaat mein koi to dar banaa huaa hai main kaise mom karun mom jaise shakhs ko bhi vo jaan-bujh ke patthar agar banaa huaa hai lagegi der use ret par utaarne mein vahi jo naqsh abhi aap par banaa huaa hai hamaare dard ke qisse bayaan kar kar ke sukhnavaron mein baDaa mo'atabar banaa huaa hai main apni had se tajaavuz karun to kaise karun miraa mazaar miri zaat par banaa huaa hai"
Masood AhmadMasood Ahmad
Quote
"chhupaa huaa thaa magar aashkaar honaa paDaa ye jang jiit ke mujh ko faraar honaa paDaa savaari koi mayassar thi kab safar ke liye so apne sar pe hi mujh ko savaar honaa paDaa ye sochtaa huun kahin is ki vajh main to nahin ye dar-ba-dar jo mujhe baar baar honaa paDaa shadid choT se aankhein phaTi rahin meri isi liye mujhe zinda shumaar honaa paDaa vo ik khushi jo akeli bhaTakti phir rahi thi ghamon ke saath use ham-kanaar honaa paDaa ye des bhi mujhe pardes ki tarah milaa hai mujhe vatan mein gharib-ud-dayaar honaa paDaa kiyaa hai andhaa tire din ki raushni ne mujhe mire vajud ko andar se ghaar honaa paDaa ye umr kam thi tiri raah dekhne ke liye isi liye to hamein sharmsaar honaa paDaa us aaine ne mujhe aks mein chhupaa liyaa thaa so aaine ke mujhe aar-paar honaa paDaa jab is qataar ke agle sire pe pohnch gayaa mujhe qataar se phir be-qataar honaa paDaa"
Masood AhmadMasood Ahmad
Quote
"pahle saa rang-rup tumhaaraa nahin rahaa duniyaa mein aur kuchh bhi hamaaraa nahin rahaa aise nikal gayaa hai hudud-o-quyud se dariyaa ke aar-paar kinaaraa nahin rahaa tujh se bichhaD ke dil kaa vo nuqsaan ho gayaa ab to koi khasaara khasaara nahin rahaa chaaron taraf hai surkh ishaaron kaa jamghaTaa raste mein koi sabz ishaara nahin rahaa vo sab ke sab falak ne hain uupar uThaa liye zer-e-zamin koi sitaara nahin rahaa aadhaa ganvaa ke aap ki chikh-o-pukaar hai lekin hamaare paas to saaraa nahin rahaa kitnaa paDaa hai farq miri maan ki maut se ab main kisi ki aankh kaa taaraa nahin rahaa le jaa rahe ho kaise miraa dil nikaal kar kyaa main tumhaaraa saare kaa saaraa nahin rahaa miTTi mein jaa milaa hai sikandar bhi jiit kar aisaa nahin ki haar ke daaraa nahin rahaa yakh-basta paaniyon ki tarah jam ke rah gayaa jab se lahu mein koi sharaara nahin rahaa kuchh aur sar-phiron ko bhi vahshat ne aa liyaa majnun kaa dasht par vo ijaara nahin rahaa 'masud' apne paaon par ham kyaa khaDe hue baisaakhiyon kaa koi sahaaraa nahin rahaa"
Masood AhmadMasood Ahmad
Quote
"ji rahaa huun abhi tadfin se rokaa jaae zindagi ko miri tauhin se rokaa jaae aql ne di hai duhaai ki bahar-taur mujhe dil ki har baat pe aamin se rokaa jaae solah-singhaar udaasi ne kiye hain phir se is ko aaraaish o tazin se rokaa jaae ye kitaabein to mohabbat kaa sabaq deti hain in ko nafrat ke mazaamin se rokaa jaae raaste band kiye jaataa hai divaanon par dasht ko aise qavaanin se rokaa jaae girya ye girya-e-yaaqub se bhi aage kaa ab hamein sabr ki talqin se rokaa jaae Dhaal ki koi zarurat nahin 'masud' agar vaar ko sura-e-yaasin se rokaa jaae"
Masood AhmadMasood Ahmad
Quote
"miri shikast kaa aaghaaz kaamraaniyon se main jang jiitaa muqaddar ki mehrbaaniyon se main der tak yahin saahil pe baiThaa rahtaa huun miraa mukaalima hotaa hai niile paaniyon se kabhi kabhi ye khanDar khud mujhe bataate hain ki meraa koi ta'alluq hai in kahaaniyon se har ek din nayaa mahshar uThaa ke laataa huun main tang aa ke qayaamat ki in nishaaniyon se vahi ki jis ki viraasat kaa daavedaar thaa main jhagaD rahaa huun usi saltanat ke baaniyon se nazar-navaaz bahaaron kaa giit sunte hi darakht jhumne lagte hain shaadmaaniyon se chhupaa ke rakkhun kahaan tere iltifaat ko main bachun to kaise bachun itni be-dhiyaniyon se hilaa ke rakh diyaa maujon ki sar-kashi ne use ulajhtaa buDhaa samundar kahaan javaaniyon se"
Masood AhmadMasood Ahmad
Quote
"ajab tarah vo kahaani se khelne lagaa hai bajaae aag ke paani se khelne lagaa hai isi ko kahte hain khatron se khelnaa shaayad vo bachpane mein javaani se khelne lagaa hai lage hain chhup ke parinde tamaashaa dekhne mein gulaab raat ki raani se khelne lagaa hai ghazab kaa saudaa hai din-raat ek karte hue hamaaraa sar bhi giraani se khelne lagaa hai ye dil ko shauq charaayaa hai kyaa jaraahat kaa har ek Tiis puraani se khelne lagaa hai ye kis ko aayaa hai lafzon se khelne kaa hunar sukut-e-shoala-bayaani se khelne lagaa hai kamaal chaal chali us ne band aankhon se vo khel kitni ravaani se khelne lagaa hai dhDaknaa bhuul na jaae ye dil mohabbat mein tumhaare gham ki nishaani se khelne lagaa hai"
Masood AhmadMasood Ahmad
Quote
"darakht raat parindon ke kaan bharne lage isi liye to vo unchi uDaan bharne lage isi liye vo hamaare khilaaf ho gayaa hai khudaa ke kaan kai be-zabaan bharne lage falak se toD ke laate rahe sitaaron ko unhin sitaaron se phir aasmaan bharne lage mire harifon kaa itnaa hi masala hai unhein mire khilaaf mire mehrbaan bharne lage hamaaraa vaqt bhi ab vo nahin rahaa lekin tumhaaraa dam bhi kai naujavaan bharne lage ajiib haal zaraaat kaa kar liyaa ham ne zamin bech ke aakhir lagaan bharne lage nae sire se kahaani vo saans lene lagi ham is kahaani mein lafzon se jaan bharne lage hamaaraa ishq bhi sidhaa thaa aariza dil kaa tumhaare husn se puuri dukaan bharne lage koi bhi fard baraamad huaa na basti se ajiib khauf se khaali makaan bharne lage"
Masood AhmadMasood Ahmad
Quote
"fasil-e-jism mein madfun kar diyaa gayaa hai buri tarah se miraa khuun kar diyaa gayaa hai main is zamin pe mohabbat paDhaane aaya thaa munaafiqat miraa mazmun kar diyaa gayaa hai mujhe sunaa hi nahin hai kisi adaalat ne tiraa kahaa huaa qaanun kar diyaa gayaa hai jamaal-e-yaar teri khair ho december mein havaa kaa lahja may june kar diyaa gayaa hai mataaa-e-hirs-o-havas ke khazaane kandhon par har aadmi yahaan qaarun kar diyaa gayaa hai hamaare hone na hone mein ham sharik na the hamein to muft mein matun kar diyaa gayaa hai miri taraf kisi surat nazar nahin aanaa kisi taraf se use phone kar diyaa gayaa hai"
Masood AhmadMasood Ahmad
Quote
"ye baar baar kaa bohtaan ham pe jhuTaa hai hamaaraa dil to faqat ek baar TuuTaa hai vo sanglaakh chaTaanein hamaare andar hain hamaari aankh kaa chashma vahin se phuTaa hai khushi ghami mein baraabar sharik hote hain chaman ke haal se vaaqif har ek buuTaa hai gila-guzaar huun main dushmanon se is liye bhi mujhe hamesha mire doston ne luuTaa hai vo jaise machhli nikalti hai aa ke kaanTe se hamaare haath se daaman qazaa kaa chhuTaa hai mile hain kitne hi qad-kaaTh vaale logon se jise bhi dekhiye andar se vo zakuTaa hai lagegi der tanaavar darakht banne mein abhi to hijr ye parvaan chaDhtaa buuTaa hai kahin daraaD vo gham kaa pahaaD TuTne ki zamin TuuTi hai na aasmaan TuuTaa hai"
Masood AhmadMasood Ahmad
Quote
"lazzat-e-zakhm se taskin huaa karti hai ishq mein kaunsi tauhin huaa karti hai is mohabbat ki kachahri mein to pahle din se dil ki har baat pe aamin huaa karti hai zinda-dargor kiyaa hai to bataa itnaa bhi zinda logon ki bhi tadfin huaa karti hai ik taraf to hai ye haq haq se tajaavuz karnaa ik taraf sabr ki talqin huaa karti hai zindagi haarne vaale ki tashaffi ke liye baad-az-marg bhi tahsin huaa karti hai vaqt naa-saaz ho to honTon ki shirini bhi aankh ke paani se namkin huaa karti hai Dar nahin lagtaa kisi aag ke dariyaa se mujhe haath mein sura-e-yaasin huaa karti hai"
Masood AhmadMasood Ahmad
Quote
"darakht raat parindon ke kaan bharne lage isi liye to vo unchi uDaan bharne lage isi liye vo hamaare khilaaf ho gayaa hai khudaa ke kaan kai be-zabaan bharne lage falak se toD ke laate rahe sitaaron ko unhin sitaaron se phir aasmaan bharne lage mire harifon kaa itnaa hi masala hai unhein mire khilaaf mire mehrbaan bharne lage hamaaraa vaqt bhi ab vo nahin rahaa lekin tumhaaraa dam bhi kai naujavaan bharne lage 'ajib haal zaraa'at kaa kar liyaa ham ne zamin bech ke aakhir lagaan bharne lage nae sire se kahaani vo saans lene lagi ham is kahaani mein lafzon se jaan bharne lage hamaaraa 'ishq bhi sidhaa thaa 'aariza dil kaa tumhaare husn se puuri dukaan bharne lage koi bhi fard baraamad huaa na basti se 'ajib khauf se khaali makaan bharne lage"
Masood AhmadMasood Ahmad
Quote
"sharir-o-shokh naariyaan kimaad belti huiin vo guD ki garm bheliyon ke saath khelti huiin gulaab jaisi suratein vo chaand jaisi muratein vo talkhi-e-hayaat ko hansi se jhelti huiin chaTaan jaisi laDkiyaan vo sakht-jaan laDkiyaan vo zindagi ki beDiyaan bhanvar mein Thelti huiin nikal paDi hain khvaab mein samundaron ki sair ko vo niile gahre aab ko pare dhakelti huiin ye vaqt hai zavaal kaa vabaal kaa malaal kaa hamaare sar pe aafatein hain DanD pelti huiin ajab si sansanaahaTein vo vaahimon ki aahaTein havaaiyaan hain aankh mein lahu unDelti huiin vo razmiya kahaaniyaan saraab kaamraaniyaan qulaabe aasmaan ke zamin se melti huiin"
Masood AhmadMasood Ahmad
Quote
"ghalat-salat thaa vo jis ko durust maan liyaa khud apne zabt kaa ham ne bhi imtihaan liyaa main kyaa karungaa zamaane ko jaan kar aakhir yahi bahut hai zamaane ne mujh ko jaan liyaa hamaare hote hue tang paD na jaae kahin bachi-khuchi si mohabbat ko khinch taan liyaa kahin vo vasl kaa chashma dikhaai de na sakaa tumhaare hijr kaa sahraa tamaam chhaan liyaa shikast maannaa aasaan to nahin phir bhi kahaa charaagh kaa ik din havaa ne maan liyaa miri nigaahon mein tasvir mere qaatil ki vahi thaa jis ne miraa aakhiri bayaan liyaa kisi ne kab hai zamin par hamaaraa saath diyaa safar mein saath liyaa bhi to aasmaan liyaa milaa hai sabr kaa ye phal khaDe khaDe aakhir mujhe darakhton ne dil se darakht maan liyaa tiri safaai mein ye dil akelaa kyaa kartaa tumhaaraa naam vahaan sab ne yak-zabaan liyaa"
Masood AhmadMasood Ahmad
Quote
"lagtaa hai hamesha se isi kaam lage hain ye peD mashaqqat pe sar-e-aam lage hain din-raat munaasib nahin mahngaai kaa ronaa yusuf se bahut saste mire daam lage hain us subh ke hone mein abhi raat paDi hai jis subh ki koshish mein sar-e-shaam lage hain phal-phul darakhton pe khilaa karte hain jaise us tarah mire ranj ko aalaam lage hain ik baar mujhe phir ye safaai nahin deni pahle bhi kai baar ye ilzaam lage hain kyaa taisha-e-farhaad hai kyaa dasht-navardi ye pukhta iraade to sabhi khaam lage hain honTon pe abhi tak hain tire honTon ki mohrein ham hain ki hamesha se tire naam lage hain ye naama-e-aamaal zaraa der muakhkhar thak-haar ke karne abhi aaraam lage hain kam-zarf se 'masud' bhalaai ki tavaqqo kikar ke darakhton pe kabhi aam lage hain"
Masood AhmadMasood Ahmad
Quote
"adam ke saath khaDe hain vajud kuchh bhi nahin ye zindagi hai faqat khel-kud kuchh bhi nahin hamein to ranj ki daulat ne maalaa-maal kiyaa use malaal ki ye sharh-e-sud kuchh bhi nahin khudaa kaa shukr hai sab unch-nich khatm hui zamin ke niche to naam-o-numud kuchh bhi nahin ham apne paaon ki zanjir aap the varna ye zaabte ye hudud-o-quyud kuchh bhi nahin bas intizaar thaa aankhon ke band hone kaa hamein khabar thi ki ye hast-o-bud kuchh bhi nahin vo apne aap se raah-e-faraar thi varna junun kuchh bhi nahin hai jumud kuchh bhi nahin mire gale mein hai taaviz us ki baanhon kaa vo jis ke saamne ye dam darud kuchh bhi nahin bhaDakte shaalon se hargiz dhuaan nahin uThnaa ye aag aag saraasar hai duud kuchh bhi nahin hamaari khud se adaavat hai vo khudaa ki panaah muqaable mein yahud-o-hunud kuchh bhi nahin amal kaa saaraa hai daar-o-madaar niyyat par baghair is ke ruku-o-sujud kuchh bhi nahin"
Masood AhmadMasood Ahmad
Quote
"kaise kaDakti dhuup se chhaanv mein aa gayaa main saTpaTaa ke shahr se gaanv mein aa gayaa ab is se age aur tamaashaa banungaa kyaa main jang-ju thaa khvaaja-saraaon mein aa gayaa aise hi jaise chiiz ho koi giri-paDi suraj kisi gharib ke paaon mein aa gayaa meri nahin ye mere sitaaron ki chaal thi sahraa-nashin uTh ke khalaaon mein aa gayaa parvardigaar ye teri qudrat kaa faiz hai takhliq kaa kamaal bhi maaon mein aa gayaa kyaa chhu liyaa hai us ne zaraa saa gulaab ko khiltaa huaa gulaab adaaon mein aa gayaa dil munh ke bal giraa hai yahi soch soch kar sar thaa magar dhaDaam se paanv mein aa gayaa jab tak thaa ek rab ki raiyat mein khush rahaa 'masud' phir main itne khudaaon mein aa gayaa"
Masood AhmadMasood Ahmad
Quote
"tamaam umr guzaari hai khair main ne bhi kahin na lagne diye apne pair main ne bhi vo ek dariyaa jo khushki pe chaDh ke Duub gayaa liyaa hai thoDaa bahut us mein tair main ne bhi khayaal-e-yaar saraasar tiri muravvat mein kiyaa hai apni hi haalat ko ghair main ne bhi bas apne halqa-e-ahbaab ki himaayat mein phir apne saath kamaayaa hai bair main ne bhi vo gul-badan bhi to ab baagh mein nahin aataa isi liye to ye chhoDi hai sair main ne bhi sajaa ke rakkhaa hai dil mein baDe qarine se tumhaari yaad ko yaadash-ba-khair main ne bhi vahi jo kaam kiyaa kohkan ne teshe se kiyaa hai kaam vo teshe baghair main ne bhi buton se dil kaa ta'alluq hai choli-daaman kaa haram ke saath banaayaa hai dair main ne bhi"
Masood AhmadMasood Ahmad
Quote
"mausam-e-bahaar mein darakht piile paD gae kisi ko chuum chuum ke gulaab niile paD gae ye kyaa huaa ki ham se kuchh muzaahimat na ho saki hamaare haath-paaon apne aap Dhile paD gae mizaaj mein bhi aag thi ajiib dauD-bhaag thi tabhi to saare jism ke masaam giile paD gae masaafaton ke dam-qadam havaa hamaari ham-qadam zamin pe aasmaan tak buland Tiile paD gae hamaare ikhtiyaar mein kahaan thaa khud ko roknaa havaa mein aisaa kaif thaa shajar nashile paD gae vo ik surilaa shakhs jab nikal gayaa thaa shahr se to be-suron ke naam bhi yahaan surile paD gae tab us ne mere baankpan ko hausla nayaa diyaa jab us ke pichhe shahr ke kai sajile paD gae musaalahat ki koshishein adaavaton mein Dhal gaiin hamaare us ke darmiyaan kai qabile paD gae"
Masood AhmadMasood Ahmad
Quote
"zindaani zanjir ko ghurtaa rahtaa hai kaDiyon ko shahtir ko ghurtaa rahtaa hai hotaa kab hai aisaa sukhan muqaddar mein dil bhi hazrat-e'mir' ko ghurtaa rahtaa hai thak jaataa hai pahle to khat paDh paDh ke qaidi phir tahrir ko ghurtaa rahtaa hai 'aadat se majbur thaa baa'd-az-marg bhi vo munkir aur nakir ko ghurtaa rahtaa hai ek shanaasaa shakl ki khaatir barson se rasta har rah-gir ko ghurtaa rahtaa hai lekin ham taqdir ke aage bebas hain naakhun har tadbir ko ghurtaa rahtaa hai shaam savere sote jaagte barson se subh-o-shaam zamir ko ghurtaa rahtaa hai"
Masood AhmadMasood Ahmad
Quote
"papoTe niind se bhaari dikhaai dete hain qadam qadam pe shikaari dikhaai dete hain khizaan ne kar diyaa muhtaaj patte pate ko darakht haare juaari dikhaai dete hain vazir saare mire baadshah salaamat ke samajh se soch se aari dikhaai dete hain miyaan ye 'ishq hai luqmaan ki nahin suntaa ye dil ke zakhm to kaari dikhaai dete hain umur-e-kaar-e-jahaan par ghulaam qaabiz hain ye hukmraan bhikaari dikhaai dete hain vagarna din mein sitaaron kaa koi kaam nahin mire havaas pe taari dikhaai dete hain sivaae khel-tamaashon ke aur kuchh bhi nahin hamein to aap madaari dikhaai dete hain ye tahsil aur kachahri mein arziyon vaale kabhi kabhi to likhaari dikhaai dete hain"
Masood AhmadMasood Ahmad
Quote
"uktaayaa huun is muft ke saamaan-e-safar se ye bojh hi aisaa hai utartaa nahin sar se ik umr guzaari hai tire shahr mein lekin aankhein nahin kholin kabhi zulmaat ke Dar se is baar bichhaD jaanaa hai jaise kabhi patte gir jaaein to milte nahin dobaara shajar se thak-haar ke ruk jaaegi ye vaqt ki gardish jis roz zamin niklegi suraj ke asar se sikke jo nikaale mire kashkol se us ne aankhein bhi nikaali hain mire kaasa-e-sar se vo chaand bhi is chaand ki taqlid mein aksar kuchh duur Thahar jaataa hai aa kar mire ghar se 'masud' miri zaat ko mahfuz kiyaa hai is shor-sharaabe ne kisi khvaab ke Dar se"
Masood AhmadMasood Ahmad
Quote
"baazaar mein vo barda-faroshon ki Toliyaan manDi mein lag rahi hain ghulaamon ki boliyaan sattar baras se hai ye hukumat kaa mashghala deti hai subh-shaam hamein roz goliyaan gaanThein hamaari jaan kaa aazaar ho gaiin haathon se de ke ham ne jo daanton se kholiyaan kab tak bane raheinge tumhaare huzur mein insaaniyat ke naam pe ham DanDaa-Doliyaan Tapkaa rahi hain ras vo abhi tak halaq mein bhi kaanon mein vo jo shahd si baatein hain gholiyaan kyaa rang lag rahe hain tumhaari duaaon ko lekin hamaari aaj bhi khaali hain jholiyaan shahron ki bhiiD bhaaD se matlab nahin hamein jangal mein jaa ke dil ne dukaanein hain kholiyaan tinkon se bhi ye hastiyaan halki lagin hamein mizaan mein zamir ke jab bhi hain toliyaan sonaa ugalne vaali zaminon ko kyaa huaa tarsi hain daane daane ko kaise bhaDauliyaan shaayad ho ek-aadh kahin par gaDi hui siine pe kaan dhar ke thiin saansein TaToliyaan bhartaa huun subh-shaam tire intizaar mein aankhein hon jis tarah se tumhaari ghaDoliyaan ham ne baDe buzurgon ki dastaar ki tarah qadrein buri tarah se puraani hain roliyaan"
Masood AhmadMasood Ahmad
Quote
"kabhi-kabhaar nahin taa-hayaat dete hain darakht apne phalon ki zakaat dete hain bukhaaraa aur samarqand kuchh nahin ham to us ek til ke evaz kaaenaat dete hain koi zabaani kalaami nahin diyaa tujh ko ham apne dil ke tumhein kaaghzaat dete hain vo chaand jhiil ki aaghosh mein utartaa huaa sitaare pahra vahaan saari raat dete hain nikal bhi sakte the us ek-aadh mushkil se vo ham ko saath kai mushkilaat dete hain ye zahr zahr kaa tiryaak hai hamaare liye hamein to ashk bhi aab-e-hayaat dete hain farishtagaan-e-qazaa daai-e-ajal ki qasam gham-e-hayaat se ham ko najaat dete hain sab ek saath hain hirs-o-havas ke nukte par dikhaae kis ko vo chaudah nikaat dete hain hamesha koi jahaan mein nahin rahaa phir bhi duaa sabaat ki ham be-sabaat dete hain"
Masood AhmadMasood Ahmad