SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kisi ko jang mein yuun bhi haraanaa paDtaa hai ki khud hi tiir pe jaa kar nishaana paDtaa hai tumhein to shahr mein bas aanaa-jaanaa paDtaa hai hamein ye ranj musalsal uThaanaa paDtaa hai sukhan-saraai faqat shaghl-e-vaah-vaah nahin hamein to Tuut ke khud ko banaanaa paDtaa hai lahu mein naachti rahti hai mustaqil koi shai aur us kaa saath hamein bhi nibhaanaa paDtaa hai kabhi vo mujh se khayaalon mein ruuTh jaataa hai phir us ko khvaab mein jaa kar manaanaa paDtaa hai chhupaae rakkhoge kab tak dil-o-dimaagh kaa haal mushaaera hai yahaan to sunaanaa paDtaa hai ye 'ahd-e-bad-gumaan qisse kahaaniyon kaa nahin yahaan to mo'jiza kar ke dikhaanaa paDtaa hai kisi muhib andhere ki qabr hai shaayad jahaan charaagh musalsal jalaanaa paDtaa hai paTakh diyaa gayaa laa kar mujhe yahaan 'mazhar' main kyon yahaan huun mujhe khud bataanaa paDtaa hai"
Mazhar Husain SyedMazhar Husain Syed
Quote
"ye sochte hue baazaar se nikal aayaa na jaane aadmi kyuun ghaar se nikal aayaa khabar nahin hai ki phir baadshaah pe kyaa guzri ghazal sunaa ke main darbaar se nikal aayaa sabhi khaDe the khulegaa abhi dar-e-zindaan main jald-baazi mein divaar se nikal aayaa khabar ghalat hai main ye baat kahne vaalaa thaa ki ik revolver akhbaar se nikal aayaa sukhan ko naara qalam ko alam banaate hue sukut-e-hujra-e-fankaar se nikal aayaa ajab nahin hai ki baazaar ko bahaa le jaae jo ashk chashm-e-kharidaar se nikal aayaa"
Mazhar Husain SyedMazhar Husain Syed
Quote
"badan gulaab saa mahke to aag lag jaae so tu kahin se bhi guzre to aag lag jaae zamin chup hai magar khaulti hai andar se vo ek lafz bhi bole to aag lag jaae 'ajab mizaaj kaa aatish-parast huun main bhi koi jo aag ko puuje to aag lag jaae main ji rahaa huun faqat us ki be-rukhi ke tufail vo aankh bhar ke jo dekhe to aag lag jaae main aise rukh pe huun suraj ke saamne ki agar zaraa saa zaaviya badle to aag lag jaae hamaare lafz hain maachis ki tiliyaan 'mazhar' koi dimaagh se ragDe to aag lag jaae"
Mazhar Husain SyedMazhar Husain Syed
Quote
"khat-e-shikasta mein kuchh ret par likhaa huaa thaa jo main ne ghaur se dekhaa to ghar likhaa huaa thaa kitaab-e-zist mein likkhaa nahin gayaa miraa naam miTaa diyaa hai kisi ne agar likhaa huaa thaa khabis bheDiye shahron mein dandanaate the aur un ki khaal pe lafz-e-bashar likhaa huaa thaa havaa bhi haar gai thi shajar giraate hue tumhaaraa naam vahaan is qadar likhaa huaa thaa makin khvaab se jaage hi the ki sahm gae har ik makaan ki chaukhaT pe Dar likhaa huaa thaa vo jis ko le ke miri bastiyon pe TuuT paDe kisi kitaab se kuchh DhunD kar likhaa huaa thaa hamaare naam ki takhti pe ek din 'mazhar' hamaaraa naam nahin thaa shajar likhaa huaa thaa"
Mazhar Husain SyedMazhar Husain Syed
Quote
"main sochtaa to yahi huun ki runumaa ho jaaun charaagh ho nahin saktaa to phir havaa ho jaaun main TuT-phuT ke ik aise marhale par huun bikhar bhi saktaa huun mumkin hai kuchh nayaa ho jaaun shajar charaagh havaa aaina shafaq jugnu mujhe bataa ki tire vaaste main kyaa ho jaaun mujhe hai aaj bhi khush-rang titliyon ki talaash magar jahaan kaa taqaazaa hai kuchh baDaa ho jaaun tamaam nekiyaan dariyaa mein Daal kar 'mazhar' hai mere haq mein ye achchhaa ki main buraa ho jaaun"
Mazhar Husain SyedMazhar Husain Syed
Quote
"zakhm khaate hue girne ki adaakaari ki us ne ik vaar kiyaa main ne samajhdaari ki aap milte the to phir jaan fidaa karte the intihaa thi hi nahin aap ki 'ayyaari ki tu 'ilaaj-e-dil-e-betaab kaa beDaa na uThaa tujh se tashkhis na hogi miri bimaari ki dekhte dekhte hote the alaao raushan log sunte the kahaani miri chingaari ki 'ain mumkin hai ki main khud bhi yahin rah jaaun itni 'ujlat mein agar kuuch ki tayyaari ki log to khu-e-baghaavat ko buraa jaante the ham ne is shahr mein ik rasm nai jaari ki is mein meraa koi e'jaaz nahin hai 'mazhar' is qabile mein rivaayat hai vafaadaari ki"
Mazhar Husain SyedMazhar Husain Syed
Quote
"ye tajraba bhi 'adaavat mein kuchh nayaa nahin thaa vo lafz us ne sunaa main ne jo kahaa nahin thaa mujhe khabar thi ki ye baat phail jaaegi main is liye tire baare mein sochtaa nahin thaa qalam hue hain mire haath varna duniyaa ko nae sire se banaanaa bhi masala nahin thaa main pahlaa shakhs huun jo is jagah se guzraa huun yaqin kar ki yahaan koi raasta nahin thaa sabhi ko 'izzat-o-shohrat ki bhuuk le Duubi sukhan mein khauf thaa lahje mein dabdaba nahin thaa 'ajib log the murdon se baat karte the jo mar rahe the unhein koi puchhtaa nahin thaa tumhaare saath to har marhale pe ham bhi the hamein bhi dekh kisi kaa bhi aasraa nahin thaa"
Mazhar Husain SyedMazhar Husain Syed
Quote
"sulagti ret ko dariyaa nahin kahaa main ne ghazal kahi hai qasida nahin kahaa main ne huzur mohtaram izzat-maaab aali-janaab ye saaraa jhuuT hai aisaa nahin kahaa main ne jo bevafaa thaa usi ki taraf ishaara kiyaa kinaayatan ise duniyaa nahin kahaa main ne jo hu-ba-hu tiri tasvir ban ke aa jaae jo sach kahun to kuchh aisaa nahin kahaa main ne chaDhaae us pe nahin main ne sanaton ke ghilaaf ki sach ko sher mein baandhaa nahin kahaa main ne jo kahnaa chaahtaa huun vo abhi kahaa hi nahin vagarna kahne ko kyaa kyaa nahin kahaa main ne"
Mazhar Husain SyedMazhar Husain Syed
Quote
"nadi ne giit bhi gaayaa nahin hai qabila lauT kar aayaa nahin hai azal se ye rivaayat hai hamaari uThaayaa hai sitam Dhaayaa nahin hai maze ki baat hai dil naa-samajh hai aur us ko main ne samjhaayaa nahin hai gham-e-duniyaa muaafi chaahtaa huun ye dil us ko bhulaa paayaa nahin hai mujhe tum ghaur se dekho ye main huun tumhaare jism kaa saayaa nahin hai isi par mutmain baiThe hue hain ki ab insaan chaupaaya nahin hai adu ki niind uDaa rakhi hai 'mazhar' abhi tak khvaab dafnaayaa nahin hai"
Mazhar Husain SyedMazhar Husain Syed
Quote
"khul ke sachchaai kaa izhaar nahin kar sakte ham jo karte hain vo akhbaar nahin kar sakte zindagi teraa taqaazaa hai ki sarpaT dauDein ham vo laachaar ki inkaar nahin kar sakte un ko haq hai ki vo inkaar bhi kar sakte hain ham pe qadghan hai ki israar nahin kar sakte sab ke sab mil ke mire saamne saf-aaraa hain kaam aisaa hai ki do-chaar nahin kar sakte tujh se ik kaam hai aur kaam bhi aisaa hai ki jo chashm-o-abru lab-o-rukhsaar nahin kar sakte ham ne ik umr kyaa un pe bharosaa 'mazhar' ham vahi kaam lagaataar nahin kar sakte"
Mazhar Husain SyedMazhar Husain Syed
Quote
"sochtaa boltaa ik nayaa aadmi ho gayaa aakhirash laapata aadmi chhoD jaataa hai aisaa khalaa aadmi bhar hi saktaa nahin dusraa aadmi paa gayaa thaa yaqinan to sachchaai ko ye tiraa jurm hai gum-shuda aadmi zindagi bhi yunhi haath aati nahin us ko bhi chaahiye sar-phiraa aadmi kufr to farz hai aise maahaul mein ho jahaan aadmi kaa khudaa aadmi ik taDap ik lagan ik junun chaahiye vo bhi kyaa aadmi jo niraa aadmi pattharon se lipaTte hue ro paDaa aadmi kaa sataayaa huaa aadmi ahd-e-nau mein yahi meri taarif hai main gharib aadmi main buraa aadmi"
Mazhar Husain SyedMazhar Husain Syed
Quote
"kahin kahin pe andheraa kahin kahin pe charaagh du'aa karo ki jalein saari sarzamin pe charaagh zaraa si der mein donon hi jal ke raakh hue makaan bhi jalne lagaa jab giraa makin pe charaagh ye kis ko dekh ki chehra miraa damakne lagaa ye kis ne kar diye raushan miri jabin pe charaagh misaal-e-vahm-o-gumaan ik dhuaan saa phail gayaa parakhne ke liye rakkhaa jo ik yaqin pe charaagh jahaan pe ham ko andheron ne Das liyaa 'mazhar' hamaari nasl jalaaegi ab vahin pe charaagh"
Mazhar Husain SyedMazhar Husain Syed
Quote
"zamaana thaa hi nahin tu bhi ab miraa nahin hai aur is pe zulm ki ye meraa vaahima nahin hai tumhaare harf-e-tasalli se hal nahin hogaa bataaun kyaa ki mohabbat kaa masala nahin hai main us ke khauf se raaton ko so nahin saktaa vo saaniha jo abhi runumaa huaa nahin hai miyaan-e-hijr hi ye raaz bhi khulaa mujh par miraa vujud hai tujh se tire sivaa nahin hai rukun to peD nahin koi saaya-daar yahaan chalun to shahr mein chalne kaa raasta nahin hai kisi tarah main yahaan ji gayaa magar duniyaa jo sach kahun kisi pahlu se khushnumaa nahin hai du'aaein karte hue log ab ye sochte hain hamaare shahr mein shaayad koi khudaa nahin hai main is liye bhi taDaptaa huun tujh se milne ko akelaa shakhs kisi dard ki davaa nahin hai"
Mazhar Husain SyedMazhar Husain Syed
Quote
"sulagti ret ko dariyaa nahin kahaa main ne ghazal kahi hai qasida nahin kahaa main ne huzur mohtaram 'izzat-maaab 'aali-janaab ye saaraa jhuuT hai aisaa nahin kahaa main ne jo bevafaa thaa usi ki taraf ishaara kiyaa kinaayatan use duniyaa nahin kahaa main ne jo hu-bahu tiri tasvir ban ke aa jaae jo sach kahun to kuchh aisaa nahin kahaa main ne tumhaare husn se vaaqif huun aur chaand se bhi so tum ko chaand saa mukhDaa nahin kahaa main ne chaDhaae us pe nahin main ne san’aton ke ghilaaf ki sach ko she'r mein baandhaa nahin kahaa main ne jo kahnaa chaahtaa huun vo abhi kahaa hi nahin vagarna kahne ko kyaa kyaa nahin kahaa main ne"
Mazhar Husain SyedMazhar Husain Syed
Quote
"faisla koi bhi ho ye bhi sa'aadat hai mujhe main ne jarge mein kahaa tujh se mohabbat hai mujhe sach to ye hai ki tire baa'd main zinda hi nahin saans letaa huun ki is kaam ki 'aadat hai mujhe hathkaDi baandh ke likhne pe bhi paabandi nahin beDiyaan Daal ke chalne ki ijaazat hai mujhe dekh saktaa huun use baat bhi kar saktaa huun ye nayaa hijr qayaamat ki aziyyat hai mujhe khud-kushi bhuuk mein karne ki zarurat kyaa hai jab dhamaakon mein shahaadat ki suhulat hai mujhe"
Mazhar Husain SyedMazhar Husain Syed