SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMehshar Afridi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jo chand lamhon mein ban gayaa thaa vo silsila khatm ho gayaa hai ye tum ne kaisaa yaqin dilaayaa mughaalta khatm ho gayaa hai zabaan honTon pe jaa ke phiki hi lauT aati hai kuchh dinon se namak nahin hai tire labon mein yaa zaaiqa khatm ho gayaa hai gumaan gaanv se main chalaa thaa yaqin ki manzilon ki jaanib magar tavahhum ke jangalon mein hi raasta khatm ho gayaa hai vo guftuguon ke narm chashme kahin fazaa mein hi jam gae hain vo saare message vo shaa'iri kaa tabaadala khatm ho gayaa hai kal ek sadma paDaa thaa ham par ke jis ne dil ko hilaa diyaa thaa chalo ke siine kaa jaaeza lein ki zalzala khatm ho gayaa hai mire tasavvur mein itni vus'at nahin ke teraa badan samaae main tujh ko sochun to aisaa lagtaa hai haafiza khatm ho gayaa hai main tujh ko paa kar hi mutmain huun ab aur koi talab nahin hai jo aaj tak thaa nasib se vo mutaalba khatm ho gayaa hai"
Mehshar AfridiMehshar Afridi
Quote
"anaa kaa bojh kabhi jism se utaar ke dekh mujhe zabaan se nahin ruuh se pukaar ke dekh meri zamin pe chal tez tez qadmon se phir us ke baad tu jalve mire ghubaar ke dekh ye ashk dil pe girein to bahut chamaktaa hai kabhi ye aaina tezaab se nikhaar ke dekh na puchh mujh se tire qurb kaa nasha kyaa hai tu apni aankh mein Dore mire khumaar ke dekh zaraa tujhe bhi to ehsaas-e-hijr ho jaanaan bas ek raat mere haal mein guzaar ke dekh abhi to sirf kamaal-e-ghurur dekhaa hai tujhe qasam hai tamaashe bhi inkisaar ke dekh"
Mehshar AfridiMehshar Afridi
Quote
"‘uqaabi zor khush-fahmi mein aksar TuuT jaataa hai havaaein gher leti hain to shahpar TuuT jaataa hai kinaare to maze se baiTh kar sairaab hote hain magar lahron ko Dhone mein samundar TuuT jaataa hai kahin nazrein jamaaun to jalan hoti hai aankhon mein zaraa palkein jhapaktaa huun to manzar TuuT jaataa hai calender bhi kahaan tak khasta-haali ko chhupaaeinge nai jaghon se rozaana palastar TuuT jaataa hai miraa dushman pareshaan hai miri maan ki du'aaon se vo jab bhi vaar kartaa hai to khanjar TuuT jaataa hai kabhi insaan ke haalaat aise bhi bigaDte hain ki bigDi ko banaane mein muqaddar TuuT jaataa hai"
Mehshar AfridiMehshar Afridi
Quote
"jo mujh pe thi vo nazr-e-inaayat bahaal kar madhosh kar mujhe meri haalat bahaal kar gumnaamiyon ke habs mein dam ghuT ke rah gayaa badnaam kar mujhe miri shohrat bahaal kar bazm-e-khayaal suuni paDi hai tire baghair masnad sanbhaal dil ki sadaarat bahaal kar is khaamushi ne mujh ko giraan-gosh kar diyaa ik chikh maar meri samaa'at bahaal kar ab chaahtaa huun takhliya tere khayaal se kuchh din mire dimaagh ki khalvat bahaal kar rone se chain miltaa hai lekin rulaae kaun ai malika-e-sukun aziyyat bahaal kar"
Mehshar AfridiMehshar Afridi
Quote
"tumhaare shahr se aati hui havaa ki qasam tamaam zakhm hare ho gae khudaa ki qasam tamaam jism mahakne lagaa hai apne aap badan mein phaili hui 'ishq ki vabaa ki qasam khushaamadon se miraa kaam ban gayaa lekin zamir maar diyaa main ne iltijaa ki qasam tumhein pukaar ke ham aaj tak hain sharminda tumhaare kaan se lauTi hui sadaa ki qasam agarche ibn-e-'ali ki main khaak-e-paa bhi nahin magar main pyaas kaa dariyaa huun karbalaa ki qasam main tum ko phone karungaa na tum mujhe message tumhein ghurur ki mujh ko miri anaa ki qasam"
Mehshar AfridiMehshar Afridi
Quote
"maraz ke vaaste itni davaa ziyaada hai mire savaal se teri ataa ziyaada hai tumhaari subh mein ek rang hai nadaamat kaa mujhe bhi raat se khauf-e-khudaa ziyaada hai miri vafaaon ki ujrat tumhaari jaan mein hai mire hisaab se ye khun-bahaa ziyaada hai sharaab-e-ishq hai donon ke jaam mein lekin miri sharaab mein khun-e-vafaa ziyaada hai na jaane Dhal gayaa kaise main tere saanche mein mire mizaaj mein vaise anaa ziyaada hai ye shohratein nae dushman bahut banaati hain sambhal ke rahnaa tumhaari havaa ziyaada hai"
Mehshar AfridiMehshar Afridi
Quote
"kai dinon ke liye be-qaraar karte hue guzar gayaa koi aankhon se pyaar karte hue hiran ki aankh mein kyaa jaane kaisaa jaadu thaa ki haath kaanp rahe the shikaar karte hue vo us gaDhe ki jo miTTi thi ab nahin milti ye baat soch le dariyaa ko paar karte hue zamir maar diyaa khvaahishaat ne shaayad zaraa bhi sharm na aai udhaar karte hue kisi ne fard-e-shab-e-hijr maang li mujh se jhijak rahaa thaa main aahein shumaar karte hue kuchh apni vaa'da-khilaafi ki intihaa kiije ki sharm aane lagi e'tibaar karte hue"
Mehshar AfridiMehshar Afridi