Quote
"ghar ko bhi kar diyaa viraane mein shaamil main ne zauq-e-vahshat ko mire vo bhi to kaafi na huaa na huaa us pe bhi vo shokh vafaa kaa qaail zulm hans hans ke sahe aur kabhi shaaki na huaa duun kis ummid pe ab jaan ki vo zulm-shi'aar kuche mein apne mire dafn pe raazi na huaa jis ne un mast-nigaahon se milaain aankhein phir vo minnat-kash-e-paimaana-e-saaqi na huaa baada gar khuld mein hai sab ke liye amr-e-mubaah jis ne masjid mein piyaa vo bhi to aasi na huaa dil mein jab hook uThi zabt-e-fughaan kar na sakaa raaz is ghar kaa jo thaa mujh se vo makhfi na huaa 'umr jis dasht mein majnun ne guzaari apni vo mire zauq-e-junun ke liye kaafi na huaa"







