SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMushtaq Sadaf(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jab achchhe the din raat kam yaad aae buraa vaqt aayaa to ham yaad aae jo samjho mohabbat ki tauhin hai ye sitam-gar se pahle sitam yaad aae zamaane se jab paD gayaa vaasta to tiri zulf ke pech-o-kham yaad aae mili jo mohabbat ke badle mein nafrat hamein ahl-e-duniyaa ke gham yaad aae hansi aa gai un ki baaton pe yunhi vo samjhe ki un ke karam yaad aae jo hans kar kisi ne kisi se kahaa kuchh hamein bhi kisi ke sitam yaad aae kabhi dil ko dil se jo dekhaa bichhaDte 'sadaf' ko tumhaare karam yaad aae"
Mushtaq SadafMushtaq Sadaf
Quote
"dard ko dard kaho dard ke qaabil ho jaao aisaa bhi kyaa hai ki khud dil hi se ghaafil ho jaao tum ko tufaan se laDnaa jo nahin hai manzur phir to behtar hai ki kashti nahin saahil ho jaao imtihaan ishq mein honaa hai to hogaa vo zarur aag ke khel mein pahle hi se shaamil ho jaao is se pahle ki kisi aur kaa main ho jaaun main tumhein zahr duun aur tum mire qaatil ho jaao lau charaaghon ki baDhaane se nahin kuchh haasil nuur ban ke shab-e-zulmaat pe naazil ho jaao saikDon tajrabe be-kaar kiyaa karte ho ho mire dard mein shaamil to miraa dil ho jaao shor barpaa hai ki nikle ho talaash-e-gham mein makhzan-e-gham hai miraa dil yahin daakhil ho jaao ahmaqon se jo kabhi vaasta paD jaae 'sadaf' baat karne se kahin achchhaa hai jaahil ho jaao"
Mushtaq SadafMushtaq Sadaf
Quote
"kabhi anjaane mein jab bhi kisi kaa dil dukhaataa huun to phir tanhaaiyon mein baiTh kar aansu bahaataa huun mujhe maalum hai manzar hasin vo ho chuke dhundle magar kyuun roz aankhon mein vahi manzar bulaataa huun miri is baat se naaraaz hain kuchh bastiyon vaale khushi ghar ghar luTaataa huun magar gham kyuun chhupaataa huun miri saanson ki quvvat kaa bahut mushkil hai andaaza main phunkon se charaaghon ko nahin suraj bujhaataa huun miri fitrat hai apne haafize ko taaza rakhne ki main apnaa haafiza kamzor hone se bachaataa huun"
Mushtaq SadafMushtaq Sadaf
Quote
"ham apni mohabbat kaa tamaashaa nahin karte karte hain agar kuchh to dikhaavaa nahin karte ye sach hai ki duniyaa ki ravish Thiik nahin hai kuchh ham bhi to duniyaa ko gavaaraa nahin karte ik baar to mehmaan banein ghar pe hamaare ye un se guzaarish hai taqaazaa nahin karte duniyaa ke jhamele hi kuchh aise hain ki un ko ham bhuul to jaate hain bhulaayaa nahin karte fardaa pe hain nazrein to kabhi haal pe nazrein maazi ko magar muD ke bhi dekhaa nahin karte jin mein ki buzurgon ki koi qadr nahin ho ham aise gharon mein kabhi rishta nahin karte baarish ho ki tufaan ho yaa aag kaa jangal ham ghar se nikal jaaein to sochaa nahin karte jo khvaab nazar aataa hai sarsabz zamin kaa us khvaab ki taabir bataayaa nahin karte baazaar mein bikte nahin vo log umuman rishton kaa jo apne kabhi saudaa nahin karte"
Mushtaq SadafMushtaq Sadaf
Quote
"mere khayaal-o-khvaab mein surat usi ki thi meri bujhi nazar ko zarurat usi ki thi suraj to apne saath liye dhuup Dhal gayaa lekin vo dar se lipTi tamaazat usi ki thi duniyaa ki uljhanon se agar thaa main be-khabar shaamil mire gunaah mein vahshat usi ki thi ashkon ko qaid kar ke bhalaa kyaa ghazab kiyaa aankhein usi ki aur zarurat usi ki thi ye aur baat hai ki thi khaamosh zindagi lekin hamaari maut se nisbat usi ki thi har chand ai 'sadaf' vo rahaa ham se duur duur lekin hamaare dil pe hukumat usi ki thi"
Mushtaq SadafMushtaq Sadaf
Quote
"junun mein dhyaan se aakhir phisal gai koi shai na jaane kis ki duaa se sambhal gai koi shai abhi abhi miri aankhon mein kuchh dhuaan saa uThaa abhi abhi mire siine mein jal gai koi shai bahut sambhaal ke rakhne ki ham ne koshish ki hamaare haath se phir bhi nikal gai koi shai main jab bhi dekhtaa huun zindagi kaa pichhlaa varaq to aisaa lagtaa hai dil mein kuchal gai koi shai hamaari zindagi garche thi muntashir pahle jo vaqt aayaa to saanche mein Dhal gai koi shai na koi zauq-e-tamaashaa na koi rang-e-hayaat zaruraton ke bahaane badal gai koi shai"
Mushtaq SadafMushtaq Sadaf
Quote
"mahrumiyon kaa mujh ko jo aadi banaa diyaa main puchhtaa huun tujh se diyaa bhi to kyaa diyaa haan ai hujum-e-ashk ye achchhaa nahin huaa tu ne hamaare zabt kaa rutba ghaTaa diyaa kaise amaan milegi hamein tez dhuup se suraj ne har darakht kaa saaya jalaa diyaa ik ajnabi ki baat mein jaadu kaa thaa asar patthar dilon mein dard-e-mohabbat jagaa diyaa jab apne saath saath thaa khush-haal thaa bahut khud se bichhaD ke khud ko gadaagar banaa diyaa kal raat tere vaade kaa bhi khul gayaa bharam zakhmon ko hanste dekh ke main muskuraa diyaa rangini-e-bahaar ke ham muntazir hain kyuun baad-e-khizaan ne rang-e-gulistaan uDaa diyaa dil kaa charaagh khud hi jalaayaa kabhi 'sadaf' aur khud hi us charaagh ko aakhir bujhaa diyaa"
Mushtaq SadafMushtaq Sadaf