SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMuzaffar Shikoh(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ab aa bhi jaao ki phir ehtimaam-e-id karein nashaat-e-did se tashviq-e-dil mazid karein shikast-e-tauba se vaaiz ke dil ko khuun karein farogh-e-baada se zaahid ko naa-umid karein bayaa ki qaaida-e-aasmaan badal Daalein ba-naqd-e-baada dil-o-jaan-e-nau kharid karein ba-naam-e-saaqi-e-gulgun laabaan-e-simin-saaq vafur-e-baada se zauq-e-talab shadid karein binaa-e-kuhna ke aasaar munhadim kar ke jahaan-e-taaza ba-dast-e-khud aafrid karein darun-e-somea har muqtadi ko jul de kar khud apne pir-e-kharaabaat kaa murid karein haTaa ke phir rukh-e-zebaa se ghairiyat kaa hijaab har ek daghdagha-e-dil saqar-rasid karein junun-e-tishna-labi ko do-aatisha kar ke aqiq-e-lab se mai-e-arghavaan kashid karein"
M
Muzaffar Shikoh
Quote
"jaan ik but pe fidaa karte ho kyaa karte ho phir bhi ummid-e-vafaa karte ho kyaa karte ho ham se paimaan-e-vafaa karte ho kyaa karte ho tark dastur-e-vafaa karte ho kyaa karte ho vaada karte ho vafaa karte ho kyaa karte ho jurm-e-qaanun-e-jafaa karte ho kyaa karte ho kar ke kaunain ko zanjiri-e-gesu-e-daraaz zulf-e-pechaan ko dutaa karte ho kyaa karte ho khaak mein ham ko milaayaa to bahut khuub kiyaa ab pashemaan huaa karte ho kyaa karte ho ham ko khud kar ke giraftaar-e-balaa hazrat-e-dil ab ye kahte ho buraa karte ho kyaa karte ho ghar jo zindaan hai to viraana banaa detaa thaa dar-o-divaar takaa karte ho kyaa karte ho khun-e-dil ashkon se bolaa ye umanD kar kal raat aap hi aap bahaa karte ho kyaa karte ho pairahan jo ki garebaan hi rahaa aur na jeb is ko baiThe jo siyaa karte ho kyaa karte ho"
M
Muzaffar Shikoh
Quote
"iid hai aur saaqi-e-nau-khez maikhaane mein hai aaj piine kaa maza pi kar bahak jaane mein hai kaif-o-masti jo tiri aankhon ke khum-khaane mein hai vo tiri miinaa mein hai saaqi na paimaane mein hai hai gham-e-divaar us ko aur na fikr-e-pairahan kyaa faraaghat tere divaane ko viraane mein hai gar jalaane mein jigar kaa khuun hai lutf-e-intizaar hijr ki lazzat bhi mar mar ke jiye jaane mein hai us ki nazrein bhaanp leti hain tujhe har rang mein kis balaa ki hoshiyaari tere divaane mein hai aur uljhaate chale jaate ho mere subh-o-shaam jab se tum ko ye shaghaf gesu ke suljhaane mein hai ab balaa se ho charaagh-e-dair yaa sham-e-haram qasd jal kar khaak ho jaane kaa parvaane mein hai"
M
Muzaffar Shikoh
Quote
"saudaa tumhaare ishq kaa jis din se sar mein hai saare-jahaan kaa dard hamaare jigar mein hai marne ki aarzu bhi nikal jaaegi kabhi aisaa kahaan ki bair duaa-o-asar mein hai josh-e-junun ko kis liye sahraa ki hai talaash sar phoDne kaa lutf to divaar-o-dar mein hai har halqa-e-khayaal hai tasvir-e-ru-e-dost afsun-e-intizaar ye kaisaa nazar mein hai ai dil tavaalat-e-shab-e-furqat kaa kyaa gila naadaan farq bhi koi shaam-o-sahar mein hai is gardish-e-mudaam se ghabraaein kis liye ik halqa-e-junun hai jo daur-e-qamar mein hai sajdon ne farq-e-naqsh-e-qadam bhi miTaa diyaa aisaa bhi ik maqaam tiri rahguzar mein hai dil de chuke hain jaan bhi ab de ke dekh lein ik imtihaan ye bhi hamaari nazar mein hai kah do shamim ghuncha-e-taaza-shagufta se bu-e-charaagh-e-kustaa bhi baad-e-sahar mein hai"
M
Muzaffar Shikoh
Quote
"gham-e-darun kaa koi tarjumaan nahin na sahi jo zakhm-e-dil bhi dahaan-e-fughaan nahin na sahi ye kam nahin hai ki aankhon mein dil utar aayaa tumhaare saamne munh mein zabaan nahin na sahi yahaan to koi nahin jis kaa dil hilaa doge jigar mein taaqat-e-zabt-e-fughaan nahin na sahi tujhi se shikva-e-dard-e-nihaan karein ai dil tire sivaa jo koi raazdaan nahin na sahi chaman mein aag lagaa di jo barq-e-sozaan ne to shaakh-e-gul pe miraa aashiyaan nahin na sahi abhi kuchh aur gharaunde banaao yaadon ke ghubaar-e-raah to hai kaarvaan nahin na sahi zamin to paanv tale hai yahi ghanimat hai hamaare zer-e-qadam aasmaan nahin na sahi"
M
Muzaffar Shikoh
Quote
"koi nahin ki jise aashnaa-e-raaz karein to kyuun na phir gham-e-dil hi se saaz-baaz karein banaa ke un ko bhi khugar niyaaz-e-paiham kaa vo din bhi aae ki ham bhi buton se naaz karein hisaab ho chukaa kotaah-dastiyon kaa to ab khayaal-e-silsila-e-gesu-e-daraaz karein agar sharaab mein masti bhi hai khumaar bhi hai to kyuun na aarzu-e-chashm nim-baaz karein nazar mein tundi-e-tishna-labi baDhaa ai shauq ki jis se har dil-e-minaa ko phir gudaaz karein huzur-e-pir-e-mughaan laghzishon ki pursish hai lo aao apne bhi qadmon ko sarfaraaz karein safar shabaab kaa gar uzr thaa to ab sar-e-shaam qazaa-e-umr paDhein niyyat-e-namaaz karein"
M
Muzaffar Shikoh
Quote
"aaj phir band-o-salaasil kaa khayaal aayaa hai zulf-e-pur-pech kaa aur dil kaa khayaal aayaa hai phir bagule hain ravaan bahr-e-qadam-bosi-e-shauq qais ko laili-e-mahmil kaa khayaal aayaa hai phir mah-e-gumbad-e-gardaan se lagi hai baazi ham ko apne mah-e-kaamil kaa khayaal aayaa hai aaj phir aankh se Tapkaa hai koi qatra-e-khun baad muddat hamein phir dil kaa khayaal aayaa hai kaarvaan shauq kaa hai paik-e-nazar se aage duur se qurbat-e-manzil kaa khayaal aayaa hai dil ko us but se hai phir ajr-e-vafaa ki ummid sai-e-be-sud mein haasil kaa khayaal aayaa hai baandh kar dashna-o-khanjar jo nikal aae ho aaj kyaa phir kisi bismil kaa khayaal aayaa hai"
M
Muzaffar Shikoh
Quote
"haath ki jumbish se mai chhalki paimaane badnaam hue khud pi pi kar duniyaa bahki maikhaane badnaam hue kucha-e-ulfat mein jo aayaa kho ke numud-o-naam gayaa divaane divaane Thahre farzaane badnaam hue hosh-o-khirad ke charchon mein likkhe kaa bharam bhi qaaem thaa dida-o-dil ki baaton mein ab afsaane badnaam hue shab biite jab sham-e-farozaan ki zau-kaari khatm hui khaak ke dhabbon se shishe par parvaane badnaam hue kuchh har bad-zan kuchh vo bad-zan doshi ab kis ko Thahraaein ulTi-sidhi baat ki pach par yaaraane badnaam hue baadiya-gardi aabla-paai qismat thi divaanon ki kis baais ai vahshat-e-dil phir viraane badnaam hue daur nashili aankhon kaa to roke se bhi ruk na sakaa lekin chashm-e-kaif-aagin ke mastaane badnaam hue"
M
Muzaffar Shikoh
Quote
"vajh-e-rangini-e-hayaat gai tum gae saari kaaenaat gai mausam-e-gul hai fasl-e-jaama-dari ehtiyaaj-e-takallufaat gai jab se lazzat-kash-e-jafaa hai dil haajat-e-chashm-e-iltifaat gai subh tak muntazir rahe anjum tum na aae tamaam raat gai baDh gayaa aur rang-e-istighnaa dard-e-dil kah ke apni baat gai un ki aankhon se Dhal paDe aansu maaya-e-husn ki zakaat gai lab-e-naushin-e-yaar ki khaatir dil se shirini-e-hayaat gai aashiqi ke qimaar-khaane mein jo bhi baazi lagaai maat gai"
M
Muzaffar Shikoh
Quote
"yaad ayyaame ki dil rakhte the jaan rakhte the ham shikva-sanji ke liye munh mein zabaan rakhte the ham saaz-e-gham rakhte the ham soz-e-nihaan rakhte the ham sar mein saudaa dil mein nashtar saa nihaan rakhte the ham gard-baad aasaaz mein bar aasmaan rakhte the ham apne qadmon ke tale saaraa jahaan rakhte the ham hasrat-e-aashuftagi shauq-e-ziyaan rakhte the ham rauzan-e-ummid-o-bim-e-paasbaan rakhte the ham fursat-e-be-sud sai-e-raaigaan rakhte the ham thaa duaaon se pare vo aastaan rakhte the ham parda-e-jaan mein nigaar-e-dil-sitaan rakhte the ham gulshan-e-dil mein bahaar-e-be-khizaan rakhte the ham kunj-e-uzlat mein sarishk-e-khun ravaan rakhte the ham raaz-daaron se bhi ik raaz-e-nihaan rakhte the ham shab hama shab khelte the halqa-haa-e-zulf se dida-e-ghammaaz ko ham daastaan rakhte the ham Thes pahunchaate the pindaar-e-khudi ko raat-din phir bhi dil ki aarzuon ko javaan rakhte the ham ab na vo dil hai na vo saudaa na vo tughyaan-e-shauq yaad ayyaame ki dil vaqf-e-fughaan rakhte the ham"
M
Muzaffar Shikoh
Quote
"jo dam mein dam hai to saaqi ki justuju hi sahi nahin sharaab to saudaa-e-aarzu hi sahi jo baandhnaa hai tasavvur hi apni aankhon mein to phir piyaala-o-saaghar hi kyuun subu hi sahi salaat-e-shara nahin jis kaa ehtimaam karein namaaz-e-ishq hai ai dil to be-vuzu hi sahi junun mein chaak hai daaman to fikr-e-sozan kyaa jo ban gayaa hai garebaan to be-rafu hi sahi jo hai sharaab harifaan-e-baada-paimaa ko hamaare vaaste mauzu-e-guftugu hi sahi agar khayaal mein khvaabon ki guunj baaqi hai to aankh khulte hi ghoghaa-e-haa-o-hu hi sahi fasaana apne junun kaa zabaan zabaan pe hai aaj nahin jo sahraa-ba-sahraa to ku-ba-ku hi sahi jafaa-e-naaz agar hai babaang-e-tabl-o-duhal to dil-dukhon kaa gilaa surma-dar-gulu hi sahi"
M
Muzaffar Shikoh
Quote
"rah-e-khirad mein jahaan sar hai dard-e-sar bhi hai ki gu-magu bhi agar bhi hai aur magar bhi hai faqih-e-shahr muazzaz bhi mo'atabar bhi hai magar maraasim-e-ulfat se be-khabar bhi hai tiri nazar ki nazar bhi nahin nazar bhi hai jise hamaari khabar bhi nahin khabar bhi hai yahaan ki qaid se ghabraa rahaa hai divaana ki is dayaar mein divaar bhi hai dar bhi hai jahaan-e-aariz-o-gesu ajiib duniyaa hai ki jis mein shaam bhi hai saath hi sahar bhi hai ye dil ki vaadi-e-aiman mein kaun aa utraa ki jo jamaal-e-nahufta bhi jalva-gar bhi hai jo raah ahl-e-khirad ke liye hai laa-mahdud junun-e-jazba-e-ulfat mein mukhtasar bhi hai"
M
Muzaffar Shikoh
Quote
"dil ikhtiyaar mein hai na jaan ikhtiyaar mein saaqi ne kyaa milaa diyaa kaif-e-bahaar mein the chaar din jo zindagi-e-mustaaar mein do aarzu mein kaT gae do intizaar mein saaqi ki ik nazar bhi agar ham pe paD gai tauba kaa khuun kar ke raheinge bahaar mein is but se kar ke zikr-e-vafaa haae kyaa kiyaa ik pech Daal di dil-e-be-e'tibaar mein thi kis ki yaad aaj jo taDpaa gai hamein ik huuk uTh rahi hai dil-e-be-qaraar mein aaghosh-e-chashm ko sabad-e-gul banaa diyaa ghunche jo khilkhilaae hujum-e-bahaar mein ye bhi adaa-e-naaz thi vo bhi adaa-e-naaz machlein jo shokhiyaan nigah-e-sharm-saar mein rote mujhe jo dekhaa to kuchh aur khinch gae ulTaa fusun thaa girya-e-be-ikhtiyaar mein hasrat ke aansuon mein tamannaa kaa khuun hai paani mein aag hai ki hai shabnam sharaar mein parvaana said-e-nur to bulbul asir-e-rang kis ki adaa samaa gai gul mein sharaar mein"
M
Muzaffar Shikoh