Quote
"meraa tan sar se judaa karte hi bekal ho gayaa vo adhuraa rah gayaa aur main mukammal ho gayaa husn ki taavil mein bas itni tabdili hui TaaT kaa TukDaa tire shaanon pe makhmal ho gayaa pahle gahre paaniyon mein us ki bud-o-baash thi ab havaa ke dosh par aayaa to baadal ho gayaa phuul ki ik zarb se aansu nikal aae mire ek halki baat kaa ehsaas bojhal ho gayaa vaqt ki nabzon pe is kaa haath bhi kamzor thaa saans ki raftaar par main bhi musalsal ho gayaa is qadar maanus thi khilqat andhere se 'nasim' raushni phuTi to saaraa shahr paagal ho gayaa"
N
Naseem Abbasi






