SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byNashtar Khaanqahi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"qahr thaa hijrat mein khud ko be-amaan karnaa tiraa dasht-e-naamahfuz aur us mein makaan karnaa tiraa is kahaani mein miraa kirdaar hi goyaa na thaa yuun haqiqat ko miri be-daastaan karnaa tiraa chhin gayaa aakaash kaa khema to shaam-e-hijr mein kuchh dhuein ke baadalon ko aasmaan karnaa tiraa uf! ye majburi ki jab saare nasheman jal gae TuTne vaale shajar par aashiyaan karnaa tiraa bhulnaa mushkil hai vo manzar ki mujh ko ek din sar pe rakh kar haath yuun be-saaebaan karnaa tiraa mustaqil laa-haasili ko apnaa haasil maan kar zindagi ko lamha lamha raaegaan karnaa tiraa bad-gumaani ki khalish paidaa hui thi jin dinon un dinon ko mere apne darmiyaan karnaa tiraa"
Nashtar KhaanqahiNashtar Khaanqahi
Quote
"dhajji dhajji jubba-o-dastaar hote dekhnaa 'mir' ko be-aashiqi bhi khvaar hote dekhnaa kasrat-e-daanishvaraan ko qaht-e-daanish jaannaa vusaton ko dasht ki divaar hote dekhnaa rukne vaali hai fishaar-e-dam se nabz-e-inhiraaf khud ko ab sar-taa-ba-paa inkaar hote dekhnaa pir-e-sad-saala se sunnaa qissa-e-aasudgi lamha lamha ziist ko dushvaar hote dekhnaa dekhnaa lafzon ko maani se mafar karte hue chup ke aalam mein miraa izhaar hote dekhnaa thiin jo kal tak shab-guzaari kaa vasila hijr mein ab unhin yaadon ko tum aazaar hote dekhnaa qasr-e-kohna ham ki kuchh mahsus tak karte nahin sirf apne aap ko mismaar hote dekhnaa"
Nashtar KhaanqahiNashtar Khaanqahi
Quote
"aage pahunchaa jal kaa dhaaraa bajraa pichhe chhuT gayaa rasta chhoD savaaron ko main piyaada pichhe chhuT gayaa ye basti kaun si basti hai aa ke kahaan bas Thahar gai jis dhaam utarnaa chaahaa thaa vo qasba pichhe chhuT gayaa aage aage lambi Dagar hai ret bhare maidaanon ki jis taT ik pal Thahre the vo dariyaa pichhe chhuT gayaa baiThe hain sailaani saare patjhaD hai vishvaason kaa mandir chhuTaa girjaa chhuTaa kaaba pichhe chhuT gayaa vaqt ki khaana-bandi saari ab ke safar mein dhuul hui maazi kaisaa haal kahaan kaa fardaa pichhe chhuT gayaa kitne kuchh the jivan-saathi kitne kuchh the lahu sharik chehra sab kaa saath hai lekin rishta pichhe chhuT gayaa chhoTaa kamra habs balaa kaa chhoTi aql ke aashiq ham vahshat karne jaaein kahaan jab sahraa pichhe chhuT gayaa"
Nashtar KhaanqahiNashtar Khaanqahi
Quote
"ham naa-shanaas-e-raah the sab se judaa chale par apni justuju mein zamaane ko paa chale ab kuchh nahin hai paas na ‘ibrat na ishtiyaaq thi ik mataa’-e-hosh so vo bhi ganvaa chale teri kasaafaton se kisi ko gharaz na thi ai zindagi ye baar bhi ham hi uThaa chale ab raushni bhi ziist kaa maqsad nahin rahi jaltaa huun is gharaz se ki shaayad havaa chale chhu kar mujhe na dekh ki ye main nahin huun dost ik baar mujh ko toD ki meraa pata chale ye kaisi chup lagi hai ki but ban gayaa huun main maayus ho ke mujh se mire ham-navaa chale anjaan ghaaTiyon kaa safar aur andheri raat chalnaa ho jis ko saath vo mere chalaa chale"
Nashtar KhaanqahiNashtar Khaanqahi
Quote
"khiDkiyaan mat khol jins-e-jaan uThaa le jaaegaa ghar ke ghar ko shahr kaa relaa bahaa le jaaegaa sab namak ehsaas kaa saari halaavat zakhm ki aane vaale din kaa Dar saaraa maza le jaaegaa is barasti raat kaa ye aakhiri aansu bhi kal mujh se chaahat us ki aankhon se vafaa le jaaegaa kisht-e-dil ko chaaT legaa kirm-e-duniyaa aur phir bach rahegaa kuchh to vo sail-e-havaa le jaaegaa jal-bujhegaa ik na ik din sab kaa sab shahr-e-vafaa rah gai ik raakh so paani bahaa le jaaegaa tez-tar tufaan ki aahaT aur yahaan miTTi na aag ab ise aane bhi do ye mujh se kyaa le jaaegaa vo miraa saffaak dushman laakh main ghaafil na huun khud mire ghar se mujhe ik din bulaa le jaaegaa"
Nashtar KhaanqahiNashtar Khaanqahi
Quote
"musaafir khaana-e-imkaan mein bistar chhoD jaate the vo ham the jo charaaghon ko munavvar chhoD jaate the sabhi ko agle farsangon ki paimaaish muqaddar thi musaafir tai-shuda milon ke patthar chhoD jaate the garajte-gunjte aate the jo sunsaan sahraa mein vahi baadal ajab viraan manzar chhoD jaate the na thiin maalum bhuki nasl ki majburiyaan un ko phaTi chaadar vo talvaaron ke uupar chhoD jaate the nahin kuchh e'tibaar ab qufl o darbaan kaa kabhi ham bhi paDosi ke bharose par khulaa ghar chhoD jaate the lahu par apne hi mauquf thi dharti ki zarkhezi sabhi dahqaan yahaan kheton ko banjar chhoD jaate the kabhi aandhi kaa khadsha thaa kabhi tufaan kaa andesha vo registaan le jaate to saagar chhoD jaate the"
Nashtar KhaanqahiNashtar Khaanqahi
Quote
"dekhaa nahin dekhe hue manzar ke sivaa kuchh haasil na huaa sair-e-mukarrar ke sivaa kuchh muddat se hai maamura-e-baazaar-e-gharibaan ye shahr na thaa jis mein tire ghar ke sivaa kuchh kis haal mein us shokh se vaabasta huaa dil saughaat mein dene ko nahin sar ke sivaa kuchh vo ghurfa-nashini hai na hai shahr-navardi baaqi na rahaa hijr mein bistar ke sivaa kuchh phulon se badan Dubte dekhe gae aksar is bahr mein teraa nahin patthar ke sivaa kuchh karte bhi talab kyaa kyaa yahaan dasht-e-ataa mein dene ko na thaa jins-e-mayassar ke sivaa kuchh"
Nashtar KhaanqahiNashtar Khaanqahi
Quote
"bichhaD ke us se jo nikle to be-navaa the bahut vo laa-sharik na bhi ho sharik-e-laa the bahut huaa na kuchh bhi jo ham se mufaahamat to hui ham apne aap se ab tak khafaa-khafaa the bahut fazaa hai sust gham-e-marg ham-khayaalaan sakht hujum-e-shahr mein hone ko ham-navaa the bahut kahin jo sach ki kiran thi to aaine mein thi magar vo khauf ki chehre havaa havaa the bahut gumaan ghalat thaa ki jo shakhs bhi hai ham saa hai vo ham hi the ki har ik shakhs se judaa the bahut ye kis khataa pe mili be-qiyaamiyon ki sazaa ki paa-shikasta sazaa-yaab be-khataa the bahut kahaan gayaa ki vo rakhtaa hai jaan-o-dil se 'aziz ye ik mughaalta ham jis mein mubtalaa the bahut"
Nashtar KhaanqahiNashtar Khaanqahi
Quote
"kyaa khabar hai na mile phir koi shisha aisaa khud ko chhute hue Dartaa huun shikasta aisaa sabza-e-lams pe baDhtaa huaa lamha lamha sust-rau shoala-e-tufaan-e-tamannaa aisaa ab na dastak mein sadaa hai na hai zanjir mein shor band ab tak na huaa thaa dar-e-tauba aisaa saans ke saath lapaktaa hai tah-e-mauj-e-khayaal kis ne boyaa thaa mire jism mein shoala aisaa sar se Tapkaa jo shajar ke to zamin bhi na mili ab ke ik barg-e-javaan shaakh se TuuTaa aisaa aks ko naqsh to jazbe ko karun paara-e-rang kal ke aaine se jhaankegaa na chehra aisaa ab to zanjir-e-taalluq hai na vo rishta-e-dard main vo khush-bakht ki paayaa hai zamaana aisaa"
Nashtar KhaanqahiNashtar Khaanqahi
Quote
"aap apni zaat mein simTaa huaa aalam tamaam tum ko yuun jaanaa ki thaa jaanaa huaa aalam tamaam kal to begaana thaa lekin aaj hai begaana-tar ik sar-e-angusht par rakkhaa huaa aalam tamaam dastaras kaa zikr kyaa hai aagahi ki baat kyaa ru-ba-ru hai gard mein uDtaa huaa aalam tamaam gar badal jaate to thi duniyaa ki har shai hasb-e-haal ham nahin badle to hai badlaa huaa aalam tamaam jaantaa huun main agar jaagaa to ye so jaaegaa ab huun khvaabida to hai jaagaa huaa aalam tamaam ungliyon ke pech se pechida girhein tah-ba-tah naakhunon ke darmiyaan uljhaa huaa aalam tamaam ik miri khaatir jo the sab ke duaa-go kyaa hue uf ye mahrumi ki hai sahmaa huaa aalam tamaam"
Nashtar KhaanqahiNashtar Khaanqahi
Quote
"mere badan ki aag hi jhulsaa gai mujhe dekhaa jo aaina to hansi aa gai mujhe meri numud kyaa hai bas ik tuda-e-siyaah kaundi kabhi jo barq to chamkaa gai mujhe jaise main ik sabaq thaa kabhi kaa paDhaa huaa uTThi jo vo nigaah to dohraa gai mujhe har subh main ne khud ko ba-mushkil baham kiyaa aai jo gham ki raat to bikhraa gai mujhe main dasht-e-aarzu pe ghaTaa ban ke chhaa gayaa garmi tire vajud ki barsaa gai mujhe ye fart-e-intizaar hai yaa shiddat-e-hiraas khaamoshiyon ki chaap bhi chaunkaa gai mujhe teri nazar bhi de na saki zindagi kaa fan marne kaa khel sahl thaa sikhlaa gai mujhe"
Nashtar KhaanqahiNashtar Khaanqahi
Quote
"rukh badalte hichkichaate the ki Dar aisaa bhi thaa ham havaa ke saath chalte the magar aisaa bhi thaa lauT aati thiin kai saabiq paton ki chiTThiyaan ghar badal dete the baashinde magar aisaa bhi thaa vo kisi kaa bhi na thaa lekin thaa sab kaa mo'tabar koi kyaa jaane ki us mein ik hunar aisaa bhi thaa paanv aainda ki jaanib sar guzishta ki taraf yuun bhi chalte the musaafir ik safar aisaa bhi thaa taultaa thaa ik ko ik ashyaa-e-masraf ki tarah dosti thi aur andaaz-e-nazar aisaa bhi thaa khud se ghaafil ho ke jo pal bhar na khud ko sochtaa is bhari basti mein koi be-khabar aisaa bhi thaa har nai rut mein badal jaati thi takhti naam ki jis ko ham apnaa samajhte koi ghar aisaa bhi thaa"
Nashtar KhaanqahiNashtar Khaanqahi
Quote
"bahut qarib hai pat-jhaD ki rut palak na uThaa zamin se aks uThaa dhuup ki chamak na uThaa ghilaaf-e-sang mein lipTaa huaa hai shahr kaa shahr chali havaa to zamin se ghubaar tak na uThaa qadam qadam pe ye Dar thaa ki ghaat mein hai koi yahaan to paa-e-tafakkur mein thi jhijak na uThaa phir apnaa apnaa kafan le ke chal diye sab log kisi se baar-e-gham-e-marg-e-mushtarak na uThaa main chob-e-gham thaa ki pahron sulag sulag ke jalaa kabhi jo shoala uThaa bhi to yak-ba-yak na uThaa shigaaf-e-sar ko vajud-e-havaa-e-shor bahut ye shahr-e-sang hai yaan tohmat-e-namak na uThaa bahut zamin se uThaayaa uThi na parchhaain giraa thaa aks kuchh aisaa ki aaj tak na uThaa"
Nashtar KhaanqahiNashtar Khaanqahi
Quote
"abhi tak jab hamein jiinaa na aayaa bharosaa kyaa ki kal aayaa na aayaa jale ham yuun ki jaise chob-e-nam hon charaaghon ki tarah jalnaa na aayaa ghulelein laa ke bachche puchhte hain parinda kyuun vo dobaaraa na aayaa main kyaa kahtaa ki sab ke saath mein thaa ayaadat ko bhi vo tanhaa na aayaa ihaata chahaar-divaari andheraa kisi jaanib bhi darvaaza na aayaa vo pahle ki tarah bichhDaa hai ab bhi magar ab ke hamein ronaa na aayaa khazaana le uDaa choron kaa jatthaa palaT kar phir ali-baabaa na aayaa"
Nashtar KhaanqahiNashtar Khaanqahi
Quote
"kyon bayaabaan bayaabaan bhaTaktaa phiraa kyon pareshaan rahaa gham-gazida rahaa aaj ik naujavaan mujh se kahne lagaa qais paagal thaa daaman-darida rahaa meri raahon mein gumnaam galiyaan bhi thiin qasr-e-yaaraan bhi thaa shahr-e-aghyaar bhi main kisi aastaane kaa patthar na thaa bu-e-gul thaa ki har su parida rahaa jaane kitne musaafir yahaan aae hain an-ginat naam hain saqf o mehraab par ik puraani imaarat ke saae tale main bahut der tak aab-dida rahaa ajnabi ban ke raaton ki tanhaai mein mujh se meraa pata puchhte hi rahe ye mire lab jo barson muqaffal rahe ye miraa sar jo sadiyon khamida rahaa tum kitaabon mein mahfuz kar lo mujhe kyaa ajab hai koi paDhne vaalaa mile main vo aavaaz huun jis kaa saamea nahin main vo lahja huun jo naa-shunida rahaa"
Nashtar KhaanqahiNashtar Khaanqahi
Quote
"chup the bargad khushk mausam kaa gilaa karte na the chal rahi thiin aandhiyaan patte sadaa karte na the ham rasida the ki dekhein dusron ko shoala-paa the safar mein aur safar ki ibtidaa karte na the band thaa paani saf-aaraa the ghanim-e-ru-siyaah ham adaa is par bhi rasm-e-karbalaa karte na the mutmain the ahl-e-maqtal nim-jaan kar ke mujhe kaisi hushyaari thi sar tan se judaa karte na the ham ko kis shab zinda rahne ki havas hoti na thi din mein ham kab khud-kushi kaa faisla karte na the kaise dur-andesh munsif the ki insaafan mujhe maante the be-khataa lekin rihaa karte na the"
Nashtar KhaanqahiNashtar Khaanqahi
Quote
"surmai dhuup mein din saa nahin hone paataa dhund vo hai ki ujaalaa nahin hone paataa dene lagtaa hai koi zehn ke dar par dastak niind mein bhi to main tanhaa nahin hone paataa gher leti hain mujhe phir se andheri raatein meri duniyaa mein saveraa nahin hone paataa chhin lete hain use bhi to ayaadat vaale dukh kaa ik pal bhi to meraa nahin hone paataa sakht-jaani miri kyaa chiiz hai hairat hairat choT khaataa huun shikasta nahin hone paataa laakh chaahaa hai magar ye dil-e-vahshi duniyaa tere haathon kaa khilaunaa nahin hone paataa"
Nashtar KhaanqahiNashtar Khaanqahi
Quote
"vasl arzaan vaqt ki lekin faraavaani gai baDh gai jitni suhulat utni aasaani gai maasiyat kaa zikr kyaa hai maasiyat pahle bhi thi ranj to ye hai gunaahon se pashemaani gai ishq bhi dil se kiyaa jogi bane vahshat bhi ki kyaa huaa kuchh to kaho kyaa vaz-e-haivaani gai ek lambaa faasla hai jaan se pahchaan tak shakl jo jaani gai vo bhi na pahchaani gai pahle bhi sailaab aate the magar kyaa is qadar ab ke to barsaat mein har fasl baaraani gai zer-e-lab ik lafz ne kaisaa hamein chaunkaa diyaa pal hi pal mein 'khaanqaahi' sab hama-daani gai"
Nashtar KhaanqahiNashtar Khaanqahi
Quote
"shahr ki bhiiD se bhaagun to hai sahraa darpesh naf' ke naam pe ik aur khasaaraa darpesh dasht-e-be-rang se niklaa huun to ghar saamne hai yaa'ni tanhaai ko ik aur kharaaba darpesh shukr kartaa thaa ki baadal se dhuein ke guzraa ab hai ik aag ugaltaa huaa dariyaa dar-pesh lafz ko chirun to ik murda sadaaqat maujud aankh kholun to hai martaa huaa lamha darpesh biite manzar abhi bisre bhi nahin aur yahaan ek ik gaam pe sad-hashr-e-tamaashaa darpesh aaina saunp rahaa hai miraa chehra mujh ko jis se bhaagaa thaa ye dil hai vahi duniyaa darpesh"
Nashtar KhaanqahiNashtar Khaanqahi
Quote
"aane vaale dinon ko bhi ham ji chuke ab yahaan koi mausam anokhaa nahin aao ab apne bistar lapeTein chalo ek aise nagar mein jo dekhaa nahin ishtihaaron ke be-barg sahraa mein ab gum-shuda lazzatein DhunDhti hai zabaan ai zamin tere daaman mein vo phal bhi hai zaaiqa jis kaa duniyaa ne chakkhaa nahin pattiyaan jhaD gaiin phuul murjhaa gae kitnaa sunsaan hai peD ehsaas kaa us ki shaakhon pe jis kaa baseraa thaa kal vo parinda bhi to aaj lauTaa nahin jis ko dushman kahun koi aisaa nahin ab to jo bhi hai meraa bahi-khvaah hai ye jo har saans piine pe majbur huun main ne ye zahr khud to kharidaa nahin apne purkhon kaa vaaris huun phirtaa huun main dar-ba-dar apni jholi mein Daale hue saare sikke jo Taksaal baahar hue saare alfaaz vo jin ke maa'naa nahin"
Nashtar KhaanqahiNashtar Khaanqahi
Quote
"rukh pe bhuli hui pahchaan kaa Dar to aayaa kam se kam bhiiD mein ik shakhs nazar to aayaa na sahi shahr-e-amaan zehan kaa kuufa hi sahi ghor jangal ki masaafat mein nagar to aayaa kaT gayaa mujh se miri zaat kaa rishta lekin mujh ko is shahr mein jiine kaa hunar to aayaa mere siine ki taraf khud mire naakhun lapke aakhir is zakhm ki Tahni pe samar to aayaa kuchh to soe hue ehsaas ke baazu thirke ab ke paani kaa bhanvar taa-ba-kamar to aayaa band kamre ki umas kuchh to shanaasaa nikli subh ke saath kaa bhaTkaa huaa ghar to aayaa tan ki miTTi mein ugaa zahr kaa paudaa chup-chaap mujh mein badli hui duniyaa kaa asar to aayaa"
Nashtar KhaanqahiNashtar Khaanqahi
Quote
"har baar nayaa le ke jo fitna nahin aayaa is umr mein aisaa koi lamha nahin aayaa huun ghar mein ki ahbaab mein maatub rahe ham kuchh ham se na aayaa to dikhaavaa nahin aayaa aaluda kabhi gard-e-talab se na hue ham honTon pe kabhi harf-e-tamannaa nahin aayaa ye bhi hai ki mauzun na thi duniyaa ki ravish bhi kuchh ham se bhi jiine kaa saliqa nahin aayaa chhoDaa to na thaa ham ne savaalon kaa koi hal thi jis ki tavaqqo vo natija nahin aayaa nilaam na kar di ho kahin pyaas ki ghairat is baar koi kuufe se pyaasaa nahin aayaa ik shakhs paheli ki tarah saath thaa mere main shahr se niklaa to akelaa nahin aayaa"
Nashtar KhaanqahiNashtar Khaanqahi
Quote
"ilm kis ko thaa ki tarsil-e-havaa ruk jaaegi agle mausam tak miri nashv-o-numaa ruk jaaegi ho chukegaa dafatan zauq-e-samaaat mukhtalif aate aate mere honTon tak sadaa ruk jaaegi tu hi kyuun naadim hai itni mere ghar ki aabru kis ke sar par aisi aandhi mein ridaa ruk jaaegi ab tamaashaa dekhne vaalon mein ham-saaya bhi hai TuTti chhat mere chillaane se kyaa ruk jaaegi kaarvaan ko gher hi legaa sukut-e-regzaar gunjne se qabl hi baang-e-daraa ruk jaaegi kal na hogaa koi is basti mein meraa muntazir kal mire talvon hi mein aavaaz-e-paa ruk jaaegi kyaa tahaffuz de sakegi mujh ko vaz-e-ehtiyaat kyaa dariche muund lene se balaa ruk jaaegi"
Nashtar KhaanqahiNashtar Khaanqahi
Quote
"shajar aangan kaa jab suraj se larzaan hone lagtaa thaa koi saaya mire ghar kaa nigahbaan hone lagtaa thaa tasalli dene lagti thiin mujhe juz-bandiyaan us ki main jab ik ik varaq ho kar pareshaan hone lagtaa thaa sahar jis ki munaajaaton se thi raatein tahajjud se main us ki paak sohbat mein musalmaan hone lagtaa thaa duaa paDh kar miri maan jab mire siine pe dam karti aqidat ke andheron mein charaaghaan hone lagtaa thaa puraane peD phir taaza phalon se ladne lagte the gae mausam se dil jab bhi gurezaan hone lagtaa thaa chunauti dene lagti thiin nai dushvaariyaan mujh ko safar jab zindagi kaa mujh pe aasaan hone lagtaa thaa bataaun kyaa ki kaisaa baa-muravvat shakhs thaa vo bhi mujhe ilzaam de kar khud pashemaan hone lagtaa thaa"
Nashtar KhaanqahiNashtar Khaanqahi