SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byNawab Dehlwi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kaabe ki aarzu hai na but-khaana chaahiye mai-khaana chaahiye dar-e-jaanaana chaahiye imaan ke imtiyaaz kaa aaina kufr hai kaabe ke muttasil hi sanam-khaana chaahiye vahshat hai aur ishq-e-junun-khez aur hai zanjir zulf ki pa-e-divaana chaahiye yaksui-e-khayaal hai aabaadiyon se duur divaangaan-e-ishq ko viraana chaahiye tum jis jagah ho kyon na ho meraa vahaan guzar har anjuman mein shama ko parvaana chaahiye mai-khvaar paanv rakhne lage hain sanbhaal kar saaqi phir un ko laghzish-e-mastaana chaahiye mai se gharaz na saaghar-o-minaa se vaasta teri nashili aankh kaa paimaana chaahiye saaqi ke dast-e-faiz ne insaan banaa diyaa ai shaikh adaa-e-sajda-e-shukraana chaahiye vaa baab-e-mai-kada bhi hai baada bhi jaam bhi 'navvaab' sirf jurat-e-rindaana chaahiye"
N
Nawab Dehlwi
Quote
"aks-e-nairangi-e-jahaan hain ham ek be-rabt daastaan hain ham kar diyaa gum tiri nigaahon ne teri mahfil mein ab kahaan hain ham husn-e-zan phir kisi se kyaa rakkhein apne saaya se bad-gumaan hain ham raat-din nit nae hain andeshe aur un sab ke darmiyaan hain ham kuchh jo hote to phir khudaa hote kuchh na ho kar bhi ik jahaan hain ham ye na samjhe fareb-e-hasti mein phir adam ki taraf ravaan hain ham aa bhi jaao ki puuri ho jaae naa-mukammal si daastaan hain ham aatish-e-shauq sard hai 'navvaab' the kabhi shoala ab dhuaan hain ham"
N
Nawab Dehlwi
Quote
"dil saa paaband-e-tahammul dusraa koi nahin TuTtaa rahtaa hai shisha aur sadaa koi nahin dil ki dhaDkan rahnumaa hai justuju-e-shauq mein ik sadaa kaanon mein aati hai pataa koi nahin kam ziyaada kaa gila kyaa apnaa apnaa zarf hai baada-khvaaro is mein saaqi ki khataa koi nahin sajda-gaah-e-shauq thaa un ke qadam kaa har nishaan dekh lo naqsh-e-jabin ab naqsh-e-paa koi nahin harf jitne husn ke hain utne hi hain ishq ke palle donon dekhiye kam aur sivaa koi nahin khaamushi hai ahl-e-ghairat ki tariq-e-arz-e-haal ye na samjhein aap dil mein muddaaa koi nahin Dar nahin 'navvaab' tufaan-khez maujon kaa mujhe saath apne hai khudaa gar naa-khudaa koi nahin"
N
Nawab Dehlwi
Quote
"kyaa gulshan-e-hasti phule phale ik phuul bhi jab shaadaab nahin marne ke hain saamaan bahutere jiine ke magar asbaab nahin mushtaaq-e-nazaara ho kar bhi gustaakh na thi bebaak na thi ye paas-e-adab se uTh na saki vo samjhe nazar ko taab nahin allaah re tishnagi-e-hasrat sab pi gayaa meraa khushk galaa qaatil ko thaa jis par naaz bahut talvaar mein ab vo aab nahin kyaa qahr ki hai ye majburi qaanun bhi badle fitrat ke main barq huun lekin saakin huun main dil huun magar betaab nahin shah paa ke nigaah-e-saaqi ki khud haath su-e-saaghar lapkaa mai-khvaar takalluf kyon barte maikhaane ke ye aadaab nahin ye baat vahi kuchh jaante hain Duube hain jo gham ke dariyaa mein saahil pe jo hain vo kyaa jaanein girdaab hai yaa girdaab nahin chakkar mein na phans dhoke mein na aa bachnaa hai salaamat naa-mumkin ye ishq-o-mohabbat kaa dariyaa be-paayaan hai paayaab nahin har haal mein aansu moti hai tafriq magar ye hoti hai jab tak na gire be-aab nahin gir jaae to phir naayaab nahin"
N
Nawab Dehlwi
Quote
"tira-bakhti to na badli gardish-e-ayyaam se shaam badli subh se aur subh badli shaam se tark-e-ulfat ki qasam khaa le gham-e-ayyaam se kaam ye bhi ho nahin saktaa dil-e-naakaam se kitne armaanon kaa khuun thaa ye na dekhaa ek ne chand qatre sab ne dekhe jo gire the jaam se jhilmilaa kar bujh gae aakhir ko be-roghan charaagh khushk aankhein saath kyaa detin sahar tak shaam se paarsaai kaa lahu tak zaahidon ne pi liyaa baDh ke hain angDaaiyaan teri chhalakte jaam se tum kaho divaana mujh ko main karun takmil-e-ishq tum ko matlab naam se hai mujh ko matlab kaam se sarhad-e-mulk-e-adam par muntazir hain suur ke paanv phailaa kar lahad mein soein kyaa aaraam se subh-e-ishrat dekhne ko kis sahaare par jiein ik charaagh ummid kaa thaa vo bhi gul hai shaam se khaar-e-gham chubhte hain 'navvaab' aaj jab dil mein to phir bistar-e-gul par bhi kyaa niind aaegi aaraam se"
N
Nawab Dehlwi
Quote
"taa-ba-lab aai fughaan dil se jo taasir ke saath dushmani ho gai taqdir ko tadbir ke saath naam taqdir kaa kyon lijiye tahqir ke saath kuchh adaavat to na thi kaatib-e-taqdir ke saath main idhar chup huun udhar un kaa tasavvur khaamosh ek tasviri banaa baiThaa huun tasvir ke saath fasl-e-gul aa gai yaa ye nahin yaa main nahin ab nibh sakegi na miri paanv ki zanjir ke saath sar hatheli pe liye aae hue hain sar-baaz khelne ke liye qaatil tiri shamshir ke saath taa-ba-kai ru-e-haqiqat pe majaazi ye naqaab dil ko bahlaaun main kab tak tiri tasvir ke saath apne daaman se vo khud ponchh dein baDh kar aansu josh-e-gham dekh lein 'navvaab' jo taasir ke saath"
N
Nawab Dehlwi
Quote
"gham ko parde mein masarrat ke chhupaa detaa huun main aansu aankhon mein jab aae muskuraa detaa huun main zindagi ki raahatein kyaa zindagi tak bhi nisaar yaad jab aate ho tum sab kuchh bhulaa detaa huun main haan isi chup mein jo be-maani hai auron ke liye kaam jis se hai use sab kuchh sunaa detaa huun main ronaa aataa thaa jab apne haal par vo din gae ab to barbaadi pe apni muskuraa detaa huun main aa gai ashkon mein laali hasraton ke khuun ki dil ki jo haalat hai aankhon se dikhaa detaa huun main husn ke daaman pe aanch aane nahin detaa kabhi apne dil mein shoala-e-gham ko dabaa detaa huun main kaam kyaa zinda-dili kaa mar chukaa 'navvaab' dil maut ki niind aarzuon ko sulaa detaa huun main"
N
Nawab Dehlwi
Quote
"na shikaayat na gila yaad aaya sheva-e-ahl-e-vafaa yaad aaya allah allaah miraa husn-e-nazar but ko dekhe se khudaa yaad aaya gum huaa jaataa huun baiThe baiThe jalva-e-hosh-rubaa yaad aaya us ke aane se khudaa ko bhulaa vo na aaya to khudaa yaad aaya bhuul baiThaa huun main apne ghar ko kyon tire ghar kaa pataa yaad aaya is tarah Duubi hai dil ki kashti naa-khudaa ko bhi khudaa yaad aaya shiddat-e-gham se faraaghat na hui mujh ko hansnaa jo zaraa yaad aaya band hoti nahin tarsi aankhein haae kyaa vaqt-e-qazaa yaad aaya ku-e-qaatil ko chale ho 'navvaab' baiThe baiThe tumhein kyaa yaad aaya"
N
Nawab Dehlwi
Quote
"zamaane bhar se kyaa apne se begaana banaati hai mohabbat vo buri shai hai ki divaana banaati hai haqiqat thi patange ki magar ik be-haqiqat thi yahi lau hai jo parvaane ko parvaana banaati hai inaayat ho jo saaqi ki to dil kuuza nahin rahtaa samaa jaataa hai khum jis mein vo paimaana banaati hai vo chhup ke rah nahin sakte kisi goshe mein bhi dil ke faraavaani-e-jalva aaina-khaana banaati hai main khum ke khum bhi pi jaaun to laghzish ho nahin sakti magar masti tiri aankhon ki mastaana banaati hai nigaah-e-fitna-saamaan bhi nigaah-e-multafit nikli basaa kar dil ki basti khud hi viraana banaati hai do harf-e-gham ke qisse ko ik aah-e-naa-tavaan khinch kar na puuraa hashr tak ho aisaa afsaana banaati hai nikalnaa paanv kaa chaadar se hai saamaan-e-rusvaai havas baDh jaati hai had se to divaana banaati hai asaas-e-zindagi 'navvaab' hai ummid fardaa ki yahi dil ke kharaabe ko pari-khaana banaati hai"
N
Nawab Dehlwi
Quote
"fareb-e-shauq mein aa kar sukun paa na sakaa vo choT khaai ki jis ko kabhi bhulaa na sakaa ye silsila rahe qaaem jafaa ki umr daraaz ki tere naaz koi bul-havas uThaa na sakaa fareb-kaar zamaane mein hasraton kaa charaagh bujhaane vaale bahut the koi jalaa na sakaa phansaa gai mujhe uljhan mein yuun adaa-e-sukut ki apni tishnagi-e-shauq bhi bujhaa na sakaa mujhe to is kaa hai ronaa ki ro nahin saktaa shikaayat is ki nahin hai ki muskuraa na sakaa nuqush-e-hasti-e-faani bane miTe lekin lakirein apne muqaddar ki main miTaa na sakaa 'navaab' khush hai isi par ki ho gayaa teraa ye gham nahin hai ki apnaa tujhe banaa na sakaa"
N
Nawab Dehlwi
Quote
"ai naama-bar ulfat kaa asar hai ki nahin hai jo haal idhar hai vo udhar hai ki nahin hai aasaar to achchhe nahin ai shaam-e-judaai kyaa jaaniye qismat mein sahar hai ki nahin hai ab zikr hi kyaa dard kaa ai chashm-e-fusun-saaz ye bhi nahin maalum jigar hai ki nahin hai vo kyaa hai kahaan hai ye pataa puchhne vaale pahle ye bataa apni khabar hai ki nahin hai didaar mubaarak magar ai shauq-e-nazaara guzri thi jo kal pesh-e-nazar hai ki nahin hai kyaa kam hain jafaaon se lagaavaT ki adaaein ye zulm ba-andaaz-e-digar hai ki nahin hai 'navvaab' gham-e-ishq samaaegaa kahaan ab kuchh shisha-e-dil ki bhi khabar hai ki nahin hai"
N
Nawab Dehlwi
Quote
"dil agar ishq kaa shikaar nahin jalva-gaah-e-jamaal-e-yaar nahin dhoke khaae hain is qadar dil ne ab nazar par bhi eatibaar nahin dard letaa hai karvaTein paiham kisi pahlu bhi ab qaraar nahin ye sulagti hai andar andar hi aatish-e-ishq shoala-baar nahin be-khudi shauq ki maaaz-allaah saamne vo aur eatibaar nahin bas bas ai vahshat-e-dili bas bas jeb mein baaqi ek taar nahin ham se naakaamon ki javaani kyaa hai khizaan hi khizaan bahaar nahin mohtasib kyon chhupe hain bint-e-inab teri niyyat kaa eatibaar nahin hai ishaare kuchh aur aankhon ke munh se kah dein vo laakh baar nahin ik havaa hai chali chali na chali zindagi kaa kuchh eatibaar nahin un ki baaton mein aa gae 'navvaab' jin ki baaton kaa eatibaar nahin"
N
Nawab Dehlwi
Quote
"ik huuk si dil mein uThti hai aur ashk-fishaani hoti hai yaad un ki sataane aati hai jab raat suhaani hoti hai ye sozish-e-gham ye dard-o-alam inaam-e-mohabbat kyaa kahiye ik daagh hi par mauquf hai kyaa har chiiz nishaani hoti hai lahraataa rahe gar shoala-e-gham to husn kaa daaman bach na sake aadaab-e-mohabbat ki khaatir ye aag bhi paani hoti hai thi saamne hi ki baat magar ye bhed abhi tak khul na sakaa kyon rog lagaa kar ulfat kaa maghmum javaani hoti hai us raah mein ye arbaab-e-havas saath ahl-e-vafaa kaa kyaa dete jis raah mein sirf armaan nahin hasti bhi miTaani hoti hai mai-khaana-e-ulfat ki baatein naa-ahl-e-mohabbat kyaa jaanein matvaali nazar ki gardish bhi dilchasp kahaani hoti hai 'navvaab' vo chaahe husn ki ho daulat hai bahar-surat daulat daulat ko jahaan mein qiyaam kahaan ye aani jaani hoti hai"
N
Nawab Dehlwi