SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byNeelam Bhatti(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"us sitamgar ne mujhe aaj pukaaraa kyon hai sard honTon pe muravvat kaa fasaana kyon hai miri vahshat hai chhupi us ki nazar mein kyunkar us kaa chehra mire chehre ki tarah kaa kyon hai baada-e-jaan mein utartaa hai jo qatra-qatra vo dil-afroz sukhan dard ne sinchaa kyon hai daaman-e-dil mein chhupaai hain gulaabi yaadein kaun mahkaa hai yahaan aaj ye dhaDkaa kyon hai vo mujhe kahtaa hai khushbu huun ghazal huun us ki us ke lahje mein magar khauf khizaan kaa kyon hai faasle baDhne lage kam na hui majburi dil-e-barbaad ko ik shakhs kaa saudaa kyon hai rasm-e-ulfat ko nibhaataa hai na jaataa hai kahin vo mujhe bhuul chukaa hai to chhupaataa kyon hai raaz khultaa hai mohabbat kaa zaraa ruk ruk kar surkh phulon ke liye koi divaana kyon hai garche 'nilam' ne kisi khvaab ko sochaa to nahin us ki aankhon mein abhi ek daricha kyon hai"
Neelam BhattiNeelam Bhatti
Quote
"dhaDak rahaa hai khayaalaat ke samundar mein vo bah rahaa hai miri zaat ke samundar mein badan ko chhoD diyaa chaand par baseraa hai kabhi to aaegaa vo raat ke samundar mein nahin javaab koi sirf shor phailaa hai vo aa chukaa hai savaalaat ke samundar mein vo meri aankh ke nazzaare mein samaayaa hai main chhup gai huun karaamaat ke samundar mein falak ke paas mujhe ik safar pe jaanaa hai zamin ke saare tilismaat ke samundar mein pighal rahaa hai koi faaslon ki hiddat se charaagh jal rahaa hai zaat ke samundar mein ye kaun hai jo miri aankh ke nazaare ko dikhaai de rahaa hai raat ke samundar mein vo joDtaa hai zamaane ke taane-baane ko bikhar rahaa hai rivaayaat ke samundar mein vo ek lamha jo hotaa hai yaa nahin hotaa laraz rahaa hai vo khadshaat ke samundar mein falak mein tairti sadiyon kaa faasla 'nilam' sameT leti hai lamhaat ke samundar mein"
Neelam BhattiNeelam Bhatti
Quote
"guzarti shaam ne phir se pukaaraa giraa hai aankh se koi sitaara churaa lo vaqt ki chaadar se mujh ko chhupaa lo aankh mein apni khudaaraa samundar soch mein Duubaa huaa hai kisi par haar baiThaa hai kinaaraa fazaa badli hui hai shahr-e-jaan ki kisi ne aaj phir mujh ko pukaaraa labon ko hai takalluf aarzu se miri khaamoshiyaan hain ik ishaara tumhaare saath ho to zindagi hai tumhaare baa'd rasmi saa guzaaraa agarche lauT jaane kaa kahaa hai nahin lagtaa lagegaa dil hamaaraa takhayyul chaandni hai chaand bhi hai agarche tirgi ne hai nikhaaraa kise maa'lum hai jhagDe mein 'nilam' bazaahir jiit kar bhi kaun haaraa"
Neelam BhattiNeelam Bhatti
Quote
"sukut-e-shab mein larazte hain vaahime tere khamoshiyon mein utarte hain qaafile tere bikhar rahe hain rag-e-jaan ki aziyyat mein nuzul-e-dard mein poshida silsile tere agarche hone ko hotaa bahut hai duniyaa mein kabhi rahe na muravvat se vaaste tere tu aaegaa ki nahin kaun jaan paaegaa thame hue hain tazabzub mein faisle tere ye tirgi jo bhaTakti hai meri aankhon mein isi ke pair mein jalte hain aable tere shab-e-visaal bhi rukhsat huaa andhere mein sahar ne dekh liye aaj hausle tere tilism-e-khvaab hai teraa miraa fasaana bhi ki meri aankh mein barpaa hain saanahe tere"
Neelam BhattiNeelam Bhatti
Quote
"dard-e-dil ki baqaa hai shishe mein kyunki har saaniha hai shishe mein aasmaan chhup gayaa hai shishe mein vaqt phir se thamaa hai shishe mein kaun saaghar mein raqs kartaa hai kaun utraa huaa hai shishe mein aankh mein phir koi samundar hai aansu rukne lagaa hai shishe mein jo kabhi bhuul kar nahin aataa barmalaa aa chukaa hai shishe mein ek saaya jo saath rahtaa thaa teraa chehra banaa hai shishe mein sehn-e-dil mein daraaD aaegi baal ab aa chukaa hai shishe mein shahr mein tere baada-khvaaron kaa kaam behad chalaa hai shishe mein ek utraa hai baam par mere ek shab bhar jalaa hai shishe mein tu nahin hai to dard vaalon ke dard kaa silsila hai shishe mein mere dil se tire taghaaful kaa 'umr se vaasta hai shishe mein mere hone se tum se milne tak har hasin vaaqi'a hai shishe mein maa'ni utraa jo aasmaanon se harf zinda huaa hai shishe mein shishe jaisaa badan taDaptaa hai aur us ki davaa hai shishe mein aaj 'nilam' ki aankh kyon chup hai kis ne phir aa liyaa hai shishe mein"
Neelam BhattiNeelam Bhatti
Quote
"aankhon mein ek dasht hai kab se rukaa huaa pahlu mein ik charaagh hai aadhaa jalaa huaa muddat se mere dil mein hai koi basaa huaa mahram hai meri zaat kaa garche chhupaa huaa rakhaa huaa hai chaand ki dahliz par qadam rasta hai raushni kaa samundar banaa huaa pahli nazar mein umr kaa saudaa huaa thaa tai sach baat hai ki aankh kaa vaada vafaa huaa khushbu kaa raaz khol rahaa hai jahaan par sheron mein koi shakhs hai shaayad chhupaa huaa dasht-e-fanaa mein DhunD liyaa apni zaat ko meraa kahin na honaa hi meri baqaa huaa titli chaman mein aaj bahut chup lagi mujhe jaise kisi gulaab pe ho dil rukaa huaa kahne lagi huun sher main 'nilam' ke saath saath shauq-e-navaa-e-dasht miraa ham-navaa huaa"
Neelam BhattiNeelam Bhatti
Quote
"kisi ki yaad aankhon mein Dhali hai ajab si dil-girafta si nami hai ghazal mein soz utraa hai kisi kaa kisi ki dhaDkanon ki raagni hai miri muskaan kab ki kho chuki thi puraani albamon mein mil gai hai na jaane phailti hai kyon judaai miri divaar tak to aa chuki hai damaktaa hai charaagh-e-dil hamaaraa falak tak raushni phaili hui hai koi sahraa mein kal jalva-numaa thaa koi qindil shab bhar ko jali hai hamaaraa baam mahkaane ki khaatir zaraa si der ko khushbu ruki hai kiyaa hai chaand ko jab se paDosi sitaare ki nazar ham par thami hai mile the ittifaaqan jo tumhein ham judaai ittifaaqan kyon buri hai nazar mein rakh liyaa hai jis ko 'nilam' saraapaa aarzu ki chaashni hai"
Neelam BhattiNeelam Bhatti
Quote
"vo chaand-raat kaa vaa'da bhulaa diyaa tum ne hamaare saath ye achchhaa nahin kiyaa tum ne puraane kaaghazon par kyaa nahin likhaa tum ne mire khayaal ko lekin nahin paDhaa tum ne asir-e-khvaab sitaaron ko kyaa kahaa tum ne falak pe aaj miraa naam le liyaa tum ne nayaa libaas pahan kar kahaan pe jaaun main mire mizaaj ko saada banaa diyaa tum ne agarche bhuul chuke ho dilon kaa afsaana kabhi na milne kaa vaa'da vafaa kiyaa tum ne 'ajib daastaan hai jaavedaani ulfat ki ki muskuraate hue kar diyaa fanaa tum ne nazar milaai to mahsus ye huaa mujh ko ki meri jaan ko haathon mein le liyaa tum ne agarche duur ho meri nigaah se ab bhi har ek dard mire saath hi sahaa tum ne nazar mile to sabhi dard bol uThte hain ye aur baat ki kuchh bhi nahin sunaa tum ne tumhaare aane kaa imkaan baDh gayaa shaayad jalaa diyaa hai darichon mein phir diyaa tum ne paDi nigaah tumhaari jo mere aangan mein har ek chaak mire dard kaa siyaa tum ne na apne vaaste kaafi kabhi hui 'nilam' use gharib ki chaadar banaa diyaa tum ne"
Neelam BhattiNeelam Bhatti
Quote
"maddham suron kaa diip sulagtaa hai raat mein khushbu saa ik khayaal mahaktaa hai raat mein hairat-kade ke biich mein rahtaa hai raat mein shaayad vo meri aankh se taktaa hai raat mein sochon mein rakh liyaa hai mujhe kis ki aankh ne mere liye bhi koi pighaltaa hai raat mein utraa hai mere harf mein phir se koi khayaal mere qalam ki aabru rakhtaa hai raat mein khushbu saa phail jaataa hai aanchal ke aas paas ik vaahime saa koi bikhartaa hai raat mein puchhaa charaagh-e-shab ne tiraa dil vo kyaa huaa main ne kahaa ki kaun ye jaltaa hai raat main kahne lagaa ki dasht ki vahshat kahaan gai main ne kahaa ki kaun saraktaa hai raat mein bundon ki raagni mein koi dard hai chhupaa mausam kaa iztiraab chhalaktaa hai raat mein ilzaam to na dijiye 'nilam' ki aankh ko saaghar to apne aap bahaktaa hai raat mein"
Neelam BhattiNeelam Bhatti
Quote
"jo aap aaein to aangan mein raushni hogi khamoshiyon mein mohabbat ki baansuri hogi chaman ne bhej diyaa hai payaam phulon ko havaa bhi aaj dariche mein kaasni hogi kise khabar thi ki nikle jo aaj jannat se ghubaar-e-zist mein is darja nisti hogi rukungi aur ghaDi bhar yahin pe raste mein vo kah gayaa thaa bahut jald vaapsi hogi jo ham-kalaam kabhi ho to jaan loge use vo khush-mizaaj hai lahje mein chaashni hogi vo meri aankh mein utraa hai khvaab ki surat to us ki aankh mujhe bhi to dekhti hogi banaa rahe hain jise aap dil kaa afsaana miraa khayaal hai 'nilam' ki dil-lagi hogi"
Neelam BhattiNeelam Bhatti
Quote
"nigaah-e-shauq se parda haTaa gayaa koi mujhe bhi apni tarah kaa banaa gayaa koi utar rahaa hai miri soch ke tarannum mein mire khayaal ke andar samaa gayaa koi kahaan pata thaa mujhe dasht ke fasaane kaa visaal-o-hijr ki baatein sikhaa gayaa koi agarche bol rahaa thaa vo sirf aankhon se dil-e-kharaab kaa qissa sunaa gayaa koi mujhe khabar hai miraa saath vo nahin degaa sitaare paDhne kaa maahir banaa gayaa koi saraab hai yaa miri aarzu mujassam hai libaas-e-khaak mein dharti pe aa gayaa koi fareb-e-zaat mein rahne do sone do mujh ko yuun meri aankh se parda uThaa gayaa koi ye hausle bhi 'ataa hain rumuz-e-ulfat ke junun mein dasht ko paani pilaa gayaa koi lagi thi aag yahaan vasvason ki muddat se mire bharose kaa daaman jalaa gayaa koi basaa huaa hai miri aankh mein saliqe se miri nazar ke dariche sajaa gayaa koi gulaabi rang mire khvaab mein utar aaya mujhe gulaab kaa paikar banaa gayaa koi 'adu ki niind ki duniyaa mein bhi rasaai hai tumhaare khvaab se aa kar uThaa gayaa koi jo baat sunne ko tarse the kaan 'nilam' ke sunaani aap ne thi aur sunaa gayaa koi"
Neelam BhattiNeelam Bhatti
Quote
"hasrat hai teri diid kaa mausam to ho kabhi aankhon ko ik nigaah kaa marham to ho kabhi garche hai mere dil mein baseraa kiye hue dhaDkan se dil kaa faasla mubham to ho kabhi pahlu jalaae laakh magar tirgi na de dhaDkan mein chaand-raat saa 'aalam to ho kabhi tere qarib baiTh ke ahvaal-e-dil kahein ai kaash aisi guftugu baaham to ho kabhi phir se tilism-e-khvaab mein rahne lagi hai aankh sahraa miri nigaah kaa mahram to ho kabhi ham hain rahin-e-aarzu aur iltijaa bhi hain maange baghair diid kaa mausam to ho kabhi dhaDkan ki baansuri mein nayaa soz aa gayaa dil mein kisi ke pyaar kaa sargam to ho kabhi barson ke baa'd mil ke takalluf saa aa gayaa aapas mein iltifaat kaa 'aalam to ho kabhi khushbu ke haath aae kabhi reshmi payaam meri qabaa pe rang kaa mausam to ho kabhi sehn-e-chaman mein phuul nai baat kar gayaa sahraa kisi gulaab kaa marham to ho kabhi garche hai regzaar saa meraa mizaaj par baarish mire makaan pe paiham to ho kabhi koi pighal rahaa thaa shab-e-hijr aankh mein soz-e-junun ki raagni maddham to ho kabhi kaise pata chalegaa ki 'nilam' ko pyaar hai vaa'da-khilaafi hone pe barham to ho kabhi"
Neelam BhattiNeelam Bhatti
Quote
"jo apne haath se rukhsat tumhein kiyaa hai abhi siyaah raat se saudaa koi huaa hai abhi ruko zaraa saa mujhe saans to pakaDne do badan se ruuh kaa daaman judaa huaa hai abhi tire dariche se khushbu payaam laai hai gulaabi raat kaa aanchal mahak rahaa hai abhi charaagh-e-jaan bhi suntaa hai teri aahaT ko paDaa huaa thaa mire paas jal uThaa hai abhi koi ishaara karo baat koi batlaao sunaao kaise miraa naam le liyaa hai abhi sunaa diyaa hai miraa jurm jis ne duniyaa ko vo apne aap ki nazron mein ik khudaa hai abhi shab-e-firaaq mein aansu sulag rahaa hai miraa tavil raat mein jaltaa huaa diyaa hai abhi abhi luTaa nahin hai kaarvaan mohabbat kaa miri nazar mein tire vaaste vafaa hai abhi huruf chup hi rahe daur mukhtasar hi rahaa fasaana dil kaa tiri aankh se sunaa hai abhi abhi na jaao miri aankh ki hayaa rakh lo mire vujud mein kachchaa saa ik ghaDaa hai abhi labon pe harf ke ikraam kis tarah utrein mire khayaal kaa maqtal sajaa huaa hai abhi hare libaas mein ham-zaad saath rahtaa hai nigaah-e-shauq mein rakh kar mujhe milaa hai abhi agarche dhuup kaDi ho gai hai sahraa mein vufur-e-shauq se ghuncha khilaa huaa hai abhi chalaa gayaa hai magar lauT aaegaa 'nilam' vo zud-ranj sahi dost vo miraa hai abhi"
Neelam BhattiNeelam Bhatti
Quote
"yuun furqaton mein sulagtaa hai yaad kaa mausam ki jaise dasht-e-junun jaag uTThaa hai yak-dam hamein khabar thi kabhi kaam aa hi jaaegaa jalaayaa dil ko agar shaam ho gai maddham vo duur hai to yuun saakit huaa chaman saaraa rukh-e-gulaab pe jaise ruki hui shabnam junun mein maang liyaa thaa kamaal-e-dildaari so izn-e-ishq hai ye faasla rahe qaaem hamaare soz-e-junun se jo aankh ne dekhaa hamaare biich kaa har faasla huaa mubham ho jaise phuul koi naalaan apni khushbu se tamaam 'umr vo mujh se yunhi rahaa barham nahin likheinge koi baat aaj 'nilam' ki ghazal ke she'ron mein ye mashvara huaa baaham"
Neelam BhattiNeelam Bhatti