Quote
"bhanvar se bach ke vo saahil ke paas Duub gayaa jahaan kaa dekh ke khauf-o-hiraas Duub gayaa ajab se khauf mein lipTaa hai gaanv kaa panghaT sunaa hai phir se koi devdaas Duub gayaa mujhe sharaab hi itni mili thi duniyaa se ki maare sharm ke meraa gilaas Duub gayaa gavaara ho na sakaa us ko bahr kaa ehsaan labon pe le ke qayaamat ki pyaas Duub gayaa kahun to kis se kahun apne dil ki taklifein mire hi gham mein miraa gham-shanaas Duub gayaa huaa jo saamnaa suraj kaa mere zakhmon se falak pe chhoD ke apnaa libaas Duub gayaa 'nadim' apne ghamon se nikal chukaa thaa magar gham-e-jahaan se ho kar udaas Duub gayaa"







