SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"zakhm-haa-e-dil ko un ki khaak-e-paa yaad aa gai ishq ke aazaar ki aakhir davaa yaad aa gai vaqt-e-rukhsat kyaa bataaein jaan par kyunkar bani us ne munh moDaa hi thaa ham ko qazaa yaad aa gai aaj jab barham huaa mujh se zamaane kaa mizaaj barhami-e-husn ki dilkash adaa yaad aa gai un kaa kyaa shikva taghayyur hai yahaan har chiiz ko naaz thaa jin par kabhi un ki vafaa yaad aa gai dil hi dil mein rah gayaa meraa duaa kaa ishtiyaaq be-asar nikli thi pahle vo duaa yaad aa gai main bhulaanaa chaahtaa thaa zehn se majbur thaa hijr mein ik ek kar ke har balaa yaad aa gai sote sote hans rahe the khvaab mein aaya thaa kaun baiThe baiThe ro diye kis ki 'shifaa' yaad aa gai"
Prem Lal Shifa DehlviPrem Lal Shifa Dehlvi
Quote
"khvaab hi ke saath mere khvaab ki taabir thi shab ko zulfein haath mein thiin subh ko zanjir thi kashmakash mein is tarah guzri hai saari zindagi umr bhar tadbir se uljhi hui taqdir thi kyaa jhukaa saktaa koi meri jabin-e-shauq ko is pe jab kanda tumhaare haath ki tahrir thi aaj tak barham hain mujh se aaj tak ruThe hue kah diyaa thaa haal-e-dil itni miri taqsir thi haadsaat-e-zindagi ne hi sanvaari zindagi ye inaayat aap ki thi yaa miri taqdir thi be-qaraari khinch laai un ki bazm-e-naaz se varna un ke multafit hone mein kyaa taakhir thi thiin tasavvur mein mire kaun-o-makaan ki vusatein markaz-e-zauq-e-nazar lekin tiri tasvir thi daastaan-e-gham zabaan-e-haal se kar di bayaan kyaa huaa ham par agar paabandi-e-taqrir thi ham to paaband-e-mohabbat hain 'shifaa' ab kyaa karein varna jo chaahaa huaa ye aah mein taasir thi"
Prem Lal Shifa DehlviPrem Lal Shifa Dehlvi
Quote
"furqat mein koi ziist kaa saamaan nahin hotaa mar jaaein to marnaa koi aasaan nahin hotaa chup huun ki taDapne kaa bhi maqdur nahin hai darmaan ise samjhe ho ye darmaan nahin hotaa ausaan bhulaa dete hain maujon ke thapeDe milnaa dur-e-maqsud kaa aasaan nahin hotaa tum haal to puchho kabhi divaana-e-gham kaa bekaar koi chaak-garebaan nahin hotaa us vaqt unhein fikr hui chaaragari ki jab maut se baDh kar koi darmaan nahin hotaa har Thes pe pahle se sivaa aate hain aansu haasil unhein ab dost kaa daamaan nahin hotaa kyaa in dinon maatam hai kisi ahl-e-vafaa kaa kyon aap ki mahfil mein charaaghaan nahin hotaa mujh ko to karimi pe tiri naaz hai har dam main kab tiraa minnat-kash-e-ehsaan nahin hotaa jab un kaa karam thaa 'shifaa' har ik kaa karam thaa ab mujh pe koi maail-e-ehsaan nahin hotaa"
Prem Lal Shifa DehlviPrem Lal Shifa Dehlvi
Quote
"mohabbat din-ba-din maail-ba-vahdat hoti jaati hai har ik surat mein paidaa un ki surat hoti jaati hai jhukaa karte hain sar jis par gadaaon aur shaahon ke usi dar ki gadaai apni qismat hoti jaati hai du'aa bhi maangne par ab to dil raazi nahin hotaa tabi'at hai ki paaband-e-mashiyyat hoti jaati hai mire maa'bud jitne aa rahe ho paas tum mere mujhe duniyaa ke hangaamon se fursat hoti jaati hai tumhaari zaat mein gum ho rahi hai ab miri hasti jo chaahat thi kabhi ab vo 'ibaadat hoti jaati hai nuqush-e-maa-sivaa ab zindagi se miTte jaate hain hayaat-e-mukhtasar tum se 'ibaarat hoti jaati hai saliqa aa gayaa hai jab se jiine aur marne kaa do-chand is zindagi ki qadr-o-qimat hoti jaati hai iraada kar liyaa hai jab se ham ne tark-e-duniyaa kaa jo duniyaa bad-numaa thi khub-surat hoti jaati hai 'shifaa' jab se bharosa kar liyaa hai un ki hikmat par na kuchh milne pe bhi takmil-e-hasrat hoti jaati hai"
Prem Lal Shifa DehlviPrem Lal Shifa Dehlvi
Quote
"samajh mein un ke aa jaaegi gham ki daastaan ik din mohabbat aap ho jaaegi apni tarjumaan ik din unhein kho kar nazar taskin kaa saamaan aur DhunDegi yaqinan phir dil-e-naakaam hogaa kaamraan ik din jinhein gul khaar samjhe hain vo ik din yaad aaeinge mataa-e-husn ko hogi talaash-e-paasbaan ik din yahaan phir mujh saa rind-e-laa-ubaali kaun aaegaa kami mahsus hogi tujh ko ai pir-e-mughaan ik din unhein apne paraae ki abhi pahchaan mushkil hai abhi rahne do ho jaaegaa sab kaa imtihaan ik din ravaan hai kaarvaan manzil pe ahl-e-azm pahuncheinge jo kam-himmat hain ban jaaeinge gard-e-kaarvaan ik din vo jaan-e-aarzu mil jaaegaa jis ki tamanna hai 'shifaa' ye bazm-e-dil ban jaaegi rashk-e-jinaan ik din"
Prem Lal Shifa DehlviPrem Lal Shifa Dehlvi
Quote
"sar mein raah-e-ishq par chalne kaa hai saudaa abhi kaun si manzil hai meri ye nahin sochaa abhi fart-e-gham mein muskuraanaa to bahut dushvaar hai mujh ko rone kaa saliqa bhi nahin aaya abhi haal-e-dil ho jaaegaa khud ek din un par ayaan maslahat is mein bhi hai qaaem rahe parda abhi main to dil par choT khaa kar zabt se khaamosh thaa ashk-aaluda magar thaa kyon rukh-e-zebaa abhi vo nahin samjhegaa kyaa hain talkhiyon mein lazzatein jis ne apne dost se dhokaa nahin khaayaa abhi jurm kuchh bakhsheinge vo kuchh ki sazaa mil jaaegi tu mujhe kyon khaae jaataa hai gham-e-fardaa abhi tifl-e-maktab huun 'shifaa' mai-khaana-e-‘makhmur’ mein zeb dete hain mujhe kab saaghar-o-minaa abhi"
Prem Lal Shifa DehlviPrem Lal Shifa Dehlvi
Quote
"roz-e-hisaab sab ko shikaayat hai aap se ab dekhiye ki kis ko mohabbat hai aap se sumbul ho gul ho sarv ho nargis ki bu-e-gul har chiiz gulsitaan ki ibaarat hai aap se gul hon ki mehr-o-maah hon anjum ki sham-e-bazm milti hui har ek ki surat hai aap se fikr-e-maaash fikr-e-sukhan fikr-e-dahr hai vaabasta ab to meri tabiat hai aap se ab gulsitaan-e-dahr kyaa baagh-e-iram se bhi main be-niyaaz huun mujhe nisbat hai aap se sajda sanam-kade mein ho yaa kohsaar mein mansub sirf meri ibaadat hai aap se main dekhtaa huun har hasin surat mein aap ko nikhraa huaa ye husn-e-basirat hai aap se mukhtaar aap the mire vaqt-e-gunaah bhi phir bhi huzur mujh ko nadaamat hai aap se poshida aap se to nahin hai 'shifaa' kaa haal vo aap kaa hai us ko aqidat hai aap se"
Prem Lal Shifa DehlviPrem Lal Shifa Dehlvi
Quote
"yaad aa kar hijr mein taDpaa gai achchhaa huaa ye bhi aani thi musibat aa gai achchhaa huaa jaur par un ko hamein apni vafaa par naaz thaa baat baDh kar imtihaan tak aa gai achchhaa huaa dil ko ham taskin kyaa dete vo kis ki maantaa vo nazar khud us ko kuchh samjhaa gai achchhaa huaa phuul ban kar bhi na mil sakti thi umr-e-jaavedaan bin khile dil ki kali murjhaa gai achchhaa huaa chaar tinkon ke sivaa kuchh aashiyaane mein na thaa barq ab kunj-e-qafas tak aa gai achchhaa huaa har khushi ke saath vaabasta the ranj-o-fikr bhi jald un se zindagi uktaa gai achchhaa huaa tark-e-duniyaa hai 'shifaa' apnaa maqaam-e-zindagi chaar din duniyaa hamein bahlaa gai achchhaa huaa"
Prem Lal Shifa DehlviPrem Lal Shifa Dehlvi
Quote
"un ke jalvon ki tasavvur mein faraavaani hai aaj jis jagah main huun vahaan har chiiz nuraani hai aaj un kaa jalva kaar-farmaa hai kisi ke husn mein ishq phir halqa-ba-gosh-e-husn-e-insaani hai aaj izn-e-mai-noshi hai phir saaqi ki chashm-e-mast se ham ne tauba toD kar piine ki phir Thaani hai aaj ab to piine se sivaa hain laghzishon mein lazzatein kyon ki khud saaqi ki maston par nigahbaani hai aaj qissa-e-maazi hai goyaa lan-taraani ki sadaa har taraf pesh-e-nazar ik nur-e-yazdaani hai aaj yuun ba-qadr-e-kasr-e-isyaan hai rahmat kaa nuzul main ne tauba ki thi tauba par pashemaani hai aaj aa rahe hain saamne vaaiz ke poshida gunaah parda-e-rahmat mein meri chaak-daamaani hai aaj kis qadar mafluj the ab tak havaadis se havaas baa'd muddat ham ne apni shakl pahchaani hai aaj 'aashiq' o 'mahtaab' o ‘muztar' 'shaad' 'aazurdaa' 'khaliq' 'kaif' o 'saadiq' hain 'shifaa' mahv-e-ghazal-khvaani hai aaj"
Prem Lal Shifa DehlviPrem Lal Shifa Dehlvi
Quote
"ab tumhaaraa gham mire dil se bhulaa saktaa hai kaun jo tumhaaraa hai use apnaa banaa saktaa hai kaun yaa to divaana hanse yaa tum jise taufiq do varna is duniyaa mein rah kar muskuraa saktaa hai kaun ab to dil ghabraa gayaa hai shiddat-e-aalaam se tum bataao abr-e-rahmat ban ke chhaa saktaa hai kaun ziist se ummid vaabasta hai un ke qurb ki varna is baar-e-amaanat ko uThaa saktaa hai kaun vaaqif-e-anjaam-e-ulfat the ham is ke baavajud vo fareb-e-dosti khaayaa hai khaa saktaa hai kaun jab karam hotaa hai mil jaate hain koh-o-dasht mein dair-o-kaaba mein bhi varna un ko paa saktaa hai kaun ishtiyaaq-e-did shaayad kar rahaa thaa rahbari kis tarah ham aae manzil tak bataa saktaa hai kaun ham ne aankhein band karke dil mein dekhaa hai tumhein saamne aao to taab-e-did laa saktaa hai kaun mai ho yaa masti ba-qadr-e-zarf milti hai 'shifaa' aur apne zarf ko un se chhupaa saktaa hai kaun"
Prem Lal Shifa DehlviPrem Lal Shifa Dehlvi
Quote
"phir mujhe har sitam gavaaraa hai aap kah dein ki tu hamaaraa hai multafit aap bhi hue hain aaj jab mujhe maut ne pukaaraa hai maut jab zindagi se behtar thi ham ne vo vaqt bhi guzaaraa hai tum mujhe ghair kyon samajhte ho ab miraa har-nafas tumhaaraa hai muddaton gham ko raaz mein rakkhaa ab to ye raaz aashkaaraa hai Duub jaaeinge Dubne vaale ek tinke kaa kyaa sahaaraa hai tum hi yaad aae ho musibat mein jab pukaaraa tumhein pukaaraa hai tum agar mai pilaao aankhon se talkhi-e-zist bhi gavaaraa hai ai 'shifaa' dost se nahin shikva ham ko apni vafaa ne maaraa hai"
Prem Lal Shifa DehlviPrem Lal Shifa Dehlvi