Quote
"teraa vo karam teri jafaa yaad hai ab tak sab kuchh mujhe ai jaan-e-hayaa yaad hai ab tak aayaa thaa zabaan par miri kyon harf-e-tamannaa kyon ho gayaa thaa koi khafaa yaad hai ab tak shaanon pe mire vasl ki shab khaas adaa se rahti thi tiri zulf-e-rasaa yaad hai ab tak kahne pe mire aao mire paas to baiTho vo un ke bigaDne ki adaa yaad hai ab tak aa jaao agar tum to tumhin se kabhi puchhun kyaa bhuul gayaa huun mujhe kyaa yaad hai ab tak barsi thi jo paimaana uThaate hi hamaare kyaa tum ko bhi vo mast ghaTaa yaad hai ab tak rahtaa thaa mire haath mein jo dast-e-hinaai us haath ki khushbu-e-hinaa yaad hai ab tak muddat hui us ko ki miri khalvat-e-shab mein paighaam jo laai thi sabaa yaad hai ab tak taaid mein jis ke the dhaDakte hue do dil kyaa tum ko vo paimaan-e-vafaa yaad hai ab tak thaa 'soz' sar-e-mai-kada jab koi ham-aaghosh vo sohbat-e-rangin ba-khudaa yaad hai ab tak"







