SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byShaukat Wasti(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ham aziiz is qadar ab ji kaa ziyaan rakhte hain dost bhi rakhte hain to dushman-e-jaan rakhte hain haan vahi log jo dil-daada-e-fasl-e-gul the hain vo bezaar ke armaan-e-khizaan rakhte hain zehn afsurda huaa aisaa ki aasaab hain shal varna ham naam-e-khudaa qalb javaan rakhte hain saae se karte hain ham apne kaDi dhuup mein oT aankh ki tirgi mein nur-fishaan rakhte hain lab-e-mahbub ho paimaana-e-saafi ho ki zahr jism jal uThtaa hai ham honT jahaan rakhte hain ham-safar koi jahaan chhoD ke chal detaa hai usi manzil kaa laqab sang-e-giraan rakhte hain jis jagah dil thaa vahaan hasrat-e-dil baaqi hai jis jagah zakhm thaa ab sirf nishaan rakhte hain laDkhaDaa jaate hain mai-khaana ho jaise duniyaa laakh ham paanv sanbhal kar bhi yahaan rakhte hain un ki duzdida nigaahon ko duaa do 'shaukat' varna maalum jo ham tab-e-ravaan rakhte hain"
Shaukat WastiShaukat Wasti
Quote
"masti hai kaifiyat hai nasha hai sharaab hai teri nigaah baada-kadon kaa javaab hai teri nazar kaa kaif sharaabon ki aarzu tere labon kaa rang gulaabon kaa khvaab hai ai dost aaj mil ki hai dil sakht garm-josh ai dost aaj aa ki nazar pur-shabaab hai vaajib sahi tilaavat-e-jaam-o-nigaar-o-gul dil ko bhi paDh ki ye bhi muqaddas kitaab hai aaya hadis-e-dil mein tiri zaat kaa bayaan is ko sunaa yahaan se ye dilchasp baab hai har chiiz par jo aaj musallat hai be-hisi 'shaukat' zamaana muntazir-e-inqalaab hai"
Shaukat WastiShaukat Wasti
Quote
"khud-shanaasi ho to har moajiza imkaan mein hai ek chhoTi si khudaai har ik insaan mein hai tu agar ba’ad-e-khudaa khud ko na samjhe bar-haq phir samajh le ki khalal kuchh tire imaan mein hai hai miri jaan mein tire jism ki kaifiyyat-e-lams go mire paas hai tu aur na mire dhyaan mein hai fasl-e-gul aai to ham nazr kareinge ab ke vo jo ik taar abhi apne garebaan mein hai daastaan-go ko tire zikr se fursat to mile naam meraa bhi us afsaane ke unvaan mein hai dil ne rakkhaa na qadam shahr-e-badan se baahar zaat is ke sabab aavaara bayaabaan mein hai koi samjhaae to 'shaukat' mire chaaraagar ko ye badan dekhtaa hai aur khalish jaan mein hai"
Shaukat WastiShaukat Wasti
Quote
"bikhre to phir baham mire ajzaa nahin hue sarzad agarche moajize kyaa kyaa nahin hue jo raaste mein khet na sairaab kar sake kyuun jazb dasht hi mein vo dariyaa nahin hue insaan hai to paanv mein laghzish zarur hai jurm-e-shikast-e-jaam bhi bejaa nahin hue ham zindagi ki jang mein haare zarur hain lekin kisi mahaaz se paspaa nahin hue insaan hain ab to muddaton ham devtaa rahe shaklein nahin banin jo hayulaa nahin hue Thahro abhi ye khel mukammal nahin huaa ji bhar ke ham tumhaaraa tamaashaa nahin hue har sar se aasmaan ki chhat uTh nahin gai kab tajrbe mein shahr ye sahraa nahin hue 'shaukat' dayaar-e-shauq ki raunaq unhi se hai jo apni zaat mein kabhi tanhaa nahin hue"
Shaukat WastiShaukat Wasti
Quote
"junun sukun khirad iztiraab chaahti hai tabiat aaj nayaa inqalaab chaahti hai na aaj teri nazar se baras rahaa hai nasha na meri tishna-labi hi sharaab chaahti hai nahin surur-e-musalsal nibaah par mauquf mudaam aankh kahaan lutf-e-khvaab chaahti hai sunaa rahaa huun fasaana tiri mohabbat kaa ye kaaenaat amal kaa hisaab chaahti hai vo azm-haa-e-safar laa-zavaal hote hain hayaat maut ko jab ham-rikaab chaahti hai jhulas rahaa hai badan dhuup mein javaani ki ye aag zulf kaa gahraa sahaab chaahti hai harif-e-husn-o-mohabbat ho der tak 'shaukat' nigaar-e-umr vo ahd-e-shabaab chaahti hai"
Shaukat WastiShaukat Wasti
Quote
"kaise guzar rahe hain ye din raat kyaa kahein mujh se chhupe hue nahin haalaat kyaa kahein sab chashma-haa-e-chashm bahe phuuT phuuT ke jis tarah ab ke barsi hai barsaat kyaa kahein kyaa haadisa thaa hijr-e-rafiqaan bataaein kyaa kyaa saaneha thaa un se mulaaqaat kyaa kahein tum jaan lo habib jo mahsus kar sako kahne ki bhi nahin hai har ik baat kyaa kahein rahzan se bach ke nikle to vo aashnaa milaa kaisi magar lagaae hue ghaat kyaa kahein apnaa saa ho jo madd-e-muqaabil to baat ho tujh se ham ai adu-e-kam-auqaat kyaa kahein 'shaukat' adab ke naam par maqbul-e-aam hai kis kis tarah kaa laghv khuraafaat kyaa kahein"
Shaukat WastiShaukat Wasti
Quote
"main chalaa jaaungaa rah jaaegaa afsaana miraa zikr karte hi raheinge sab harifaana miraa mai mujhe mamnua saaghar dastaras se duur hai aur farmaataa hai saaqi hai ye mai-khaana miraa ab to jaanaa hi nahin hotaa hai vaada-gaah mein muddaton tak ye rahaa maamul rozaana miraa khinchtaa hai kaun saa ehsaas ab us ki taraf ho chukaa hai jis se yaksar qalb begaana miraa boriyaa maujud hai aankhein bhi farsh-e-raah mein aaiye to ghar hai ye haazir gharibaana miraa kaifiyat baaham mohabbat mein vo sarshaari ki hai aashiqaana un kaa taur andaaz jaanaana miraa puchhtaa phirtaa hai 'shaukat' koi mere baad ab kyaa huaa rahtaa thaa yaan jo ek divaana miraa"
Shaukat WastiShaukat Wasti
Quote
"ham aziiz is qadar ab ji kaa ziyaan rakhte hain dost bhi rakhte hain to dushman-e-jaan rakhte hain taban insaan to dil-daada-e-fasl-e-gul hai ham ajab log hain jo zauq-e-khizaan rakhte hain aariz-e-gul ho lab-e-yaar ho jaam-e-mai ho jism jal uThtaa hai ham honT jahaan rakhte hain vaaqia ye bhi hai haq baat nahin kah sakte ye bhi daavaa hai bajaa munh mein zabaan rakhte hain jis jagah dil thaa vahaan hasrat-e-dil baaqi hai jis jagah zakhm thaa ab ek nishaan rakhte hain ham se kar jaataa hai vo shakhs fareb aakhir-kaar jis ke baare mein bhi ham nek gumaan rakhte hain 'shaukat' uslub-e-ghazal hai mutaayyan taaham is mein ham munfarid andaaz-e-bayaan rakhte hain"
Shaukat WastiShaukat Wasti
Quote
"bhulte jaate hain yaadon mein samaane vaale jaise ab vaaqai rukhsat hue jaane vaale saae ke vaaste taamir kareinge phir log dhuup ke vaaste divaar giraane vaale raaegaan ahd-pas-e-ahd gai qurbaani khun-bahaa le gae khud khuun bahaane vaale vaqt ko saath liye aae yahaan tak ham hi ho gae log hamin agle zamaane vaale ye jahaan ek baDe khel kaa pas-manzar hai sab nazar aate hain kirdaar fasaane vaale yaa to suqraat hai ab maslahatan muhr-ba-lab log hi mar gae yaa zahr pilaane vaale jo zamaane ki samaaat pe giraan lagti hai ham to 'shaukat' hain vahi baat sunaane vaale"
Shaukat WastiShaukat Wasti
Quote
"khizaan mein phuul hamein su-e-baagh le ke chale shab-e-siyaah mein jugnu charaagh le ke chale hamein kiran mein piroyaa agar bane zarra hue hain chaand to siine pe daagh le ke chale ham aae the chamanistaan se tahi daaman sharaab khaane se khaali ayaagh le ke chale tamaam umr jo apni talaash karte rahe hain muddai ki tumhaaraa suraagh le ke chale na andalib na qumri ne ehtijaaj kiyaa ki lahn-o-naghma kaa eazaaz zaagh le ke chale hamein mili na ye mohlat khushi baham karte magar jahaan se gham-e-baa-faraagh le ke chale yahaan to faaeda be-maghz log uThaate hain vatan mein tum kahaan 'shaukat' dimaagh le ke chale"
Shaukat WastiShaukat Wasti
Quote
"jo kuchh huaa khabar hai usi ki razaa se hai ham ko gila kisi se nahin hai khudaa se hai jannat mein mutmain na jahannum mein muztarib parvarda dil zamin ki aab-o-havaa se hai dushman hai aadmi kaa azal se khud aadmi yaani muqaabla ye balaa kaa balaa se hai har ghair se to khuub guzaara kiyaa magar ai dil moaamla tiraa ab aashnaa se hai hai zauq kaa jamaal se aage moaamla rabt-e-nigaah-e-shauq tumhaari adaa se hai phailaaiye suluk kaa ham tak bhi daaera matlab ravaa se hai na gharaz naaravaa se hai ho munfail ki baar-e-digar haath uTh gae dil munharif duaa se nahin muddaaa se hai qudsi kare qabaa bashariyyat ki zeb-tan gar vaaqai muraad koi irtiqaa se hai 'shaukat' qalam adu ke tasarruf mein aa gayaa fan mein bapaa ye maarka to ibtidaa se hai"
Shaukat WastiShaukat Wasti
Quote
"khulti gai ik ek girah nafsiyaat ki juun juun ghazal mein tere havaale se baat ki dil ne kiyaa khulus se us bevafaa ko pyaar dil ne hamaare saath baDi vaardaat ki itni hi aur baDh gai baaham mughaairat jitni nazar ziyaada hui iltifaat ki maalum ho sakaa na kahaan zindagi mili joDi bahut kaDi se kaDi vaaqiaat ki mazhab kaa sirf naam hai varna samaaj par ab tak hai muhr sabt vahi zaat-paat ki sach kyaa likhein ki TuuT gae sab qalam nadim sab raushnaai suukh chuki hai davaat ki ik shakhs saath le gayaa 'shaukat' shuur-e-vaqt ab to tamiz din ki rahi hai na raat ki"
Shaukat WastiShaukat Wasti
Quote
"yusuf ki tarah kyon koi baazaar mein aae jo narkh bhi ab taba-e-kharidaar mein aae milti hi nahin qaid-e-tamannaa se rihaai ham kis qafas-e-be-dar-o-divaar mein aae ban ban ke savaaneh miri har vaaqia guzraa sab log simaT kar mire kirdaar mein aae vo ishq nahin hai ki huvaidaa ho nazar se ikhlaas kahaan maariz-e-izhaar mein aae bandon ke tasarruf mein sahi rizq khudaayaa aae to ye ham tak kisi miqdaar mein aae nilaam kiyaa bhi to qalam ke na uThe daam ausaaf sab is ahd ke talvaar mein aae phirtaa huun liye jins-e-vafaa shahr mein 'shaukat' shaayad nazar-e-saahab-e-meaar mein aae"
Shaukat WastiShaukat Wasti
Quote
"shab-e-firaaq thi ham zikr-e-yaar karte rahe khizaan se akhz nashaat-e-bahaar karte rahe nikal ke phuul se bu ram na kar sake jaise ham apne aap se aise faraar karte rahe kabhi savaab bhi sarzad huaa to be-manshaa kabhi gunaah bhi be-ikhtiyaar karte rahe jo baat bar-sar-e-mimbar na kar sakaa vaaiz tumhaare dost vo baalaa-e-daar karte rahe baDe vasuq se duniyaa fareb deti rahi baDe khulus se ham eatibaar karte rahe tamaam umr tiri aarzu rahi ham ko tamaam umr tiraa intizaar karte rahe kahaan gae vo nadimaan-e-khaas jo 'shaukat' hamesha ahd-e-vafaa ustuvaar karte rahe"
Shaukat WastiShaukat Wasti