SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"palaT kar na dekheinge tum ko dobaara chalo ab ye vaada hai tum se hamaaraa main vo to nahin huun jo hotaa rahaa huun magar ab na hogaa vo honaa gavaaraa kahin faaeda to nazar hi na aae jahaan dekhiye bas khasaara khasaara jo miTTi mein milnaa hai sab ko yahin ki to karte bhi kyon ho hamaaraa tumhaaraa hamein saaf lafzon mein khul kar bataao samajhte nahin ham ishaara-vishaara ye kyaa maajraa hai musibat hai kaisi jahaan jaaein nazrein vahin vo nazaara banaao vo kirdaar apnaa ki duniyaa ye soche zamin par hai koi sitaara hamein apne uupar bharosaa hai puuraa rakho paas apne tum apnaa sahaaraa ki mushkil mein 'afrang' ye yaad rakhnaa yaqinan samundar kaa hogaa kinaara"
Zohheb Farooqui AfrangZohheb Farooqui Afrang
Quote
"maraz lagtaa hai jo mujh ko use meri davaa samjhe divaana ho gayaa huun main divaanon ko vo kyaa samjhe main apne aap mein khush huun mujhe is se gharaz kyaa hai ki ye mujh ko bhalaa samjhe ki vo mujh ko buraa samjhe bichhaDne kaa vo ham se naam tak lene se ghabraae jise ham hijr kahte hain use vo bad-duaa samjhe gunaahon se bachaa jaae kahaan tak is zamaane mein ki har ik moD par milte hain vo jin se khudaa samjhe bharosaa kyaa mohabbat kab tumhein badnaam kar jaae ki aashiq ko hamesha hi zamaana sar-phiraa samjhe hamein vo kis sazaa ke vaaste tayyaar kartaa hai jo apne bhi gunaahon ko hamaari hi khataa samjhe vo ham se niind ke raste sahi par ru-ba-ru to ho kabhi to aankhon mein bhar le hamein bhi khvaab saa samjhe hamein 'afrang' zaalim se shikaayat hai to itni hai ham us ko to samajhte hain vo ham ko bhi zaraa samjhe"
Zohheb Farooqui AfrangZohheb Farooqui Afrang
Quote
"tegh shamshir yaa khanjar ki zarurat kyaa hai jang jab khud se ho lashkar ki zarurat kyaa hai jis ne samjhaa mujhe baahar se hi samjhaa saahab kis ko maalum ki andar ki zarurat kyaa hai gar tiraa qurb mayassar ho to ai jaan-e-adaa sard raaton mein bhi bistar ki zarurat kyaa hai bevafaai kaa tiri zakhm koi kam to nahin choT deni ho to patthar ki zarurat kyaa hai qaid rakhtaa hai jo tufaan ko apne andar aise qatre ko samundar ki zarurat kyaa hai us ko sajda to zamin arsh sabhi karte hain us ke qadmon ko mire sar ki zarurat kyaa hai"
Zohheb Farooqui AfrangZohheb Farooqui Afrang
Quote
"mujhe hazaar martaba pukaar kar chalaa gayaa vo saari umr meraa intizaar kar chalaa gayaa ujaD rahaa thaa Thiik se ujaDne bhi nahin diyaa vo jaane vaalaa kyon mujhe sanvaar kar chalaa gayaa ye kyaa khayaal aa gayaa safar se qabl zehn mein jo har taraf ghubaar hi ghubaar kar chalaa gayaa miraa phir aansuon pe ikhtiyaar hi nahin rahaa miri nigaah ko vo aabshaar kar chalaa gayaa mujhe nahin qubul thi shikast mere yaar ki jahaan ko ye lagaa kyaa main haar kar chalaa gayaa vo jis ke ashk khinch kar safar se laae the hamein hamaare aansuon ko darkinaar kar chalaa gayaa"
Zohheb Farooqui AfrangZohheb Farooqui Afrang
Quote
"shikaayat karein kyaa shikaayat se kyaa ho agar jang laazim hai to hausla ho bashar kaa to itnaa na dil saaf hogaa tum insaan ki surat mein jaise khudaa ho ye sarkash samundar nikal paaoge jab junun saans lene kaa sar par chaDhaa ho mohabbat mein ho to bas itnaa kahungaa maza chaar din kaa hai lambi sazaa ho koi har musibat se ham ko nikaale asar kar rahi doston ki duaa ho ye parvaaz kaa khvaab achchhaa hai lekin zaraa pahle qadmon pe apne khaDaa ho siyaasat se ham ko tumhein kyaa milegaa ye dhanda hai jis kaa usi kaa bhalaa ho tabassum ki pichhe kahin kuchh chhupaa hai hamein sab pataa hai tum ham se khafaa ho abhi jo bhi miltaa hai taslim kar lo phir aage safar mein na jaane ki kyaa ho"
Zohheb Farooqui AfrangZohheb Farooqui Afrang
Quote
"mujhe is shahr ki aab-o-havaa achchhi nahin lagti musalsal khud-farebi ki qabaa achchhi nahin lagti ilaahi ye maraz kaisaa lagaa mujh ko na jaane kyon duaa achchhi nahin lagti davaa achchhi nahin lagti khushi ki bhi khabar se ab to dilchaspi nahin mujh ko ki ab ai zindagi tujh se vafaa achchhi nahin lagti jahaan ke saamne ham ko na tum pahchaan paate ho tumhaari ye adaa ham ko zaraa achchhi nahin lagti main aisi bazm-e-shor-o-ghul se niklaa huun ki ab mujh ko koi aahaT kisi ki bhi sadaa achchhi nahin lagti main kahnaa chaahtaa huun un se lekin kah nahin paataa ki mujh ko un ki khu un ki anaa achchhi nahin lagti duaaein aur fariyaadein falak se lauT aati hain khudaa ko ghaaliban meri razaa achchhi nahin lagti tu kyon kahtaa hai sajdon mein mujhe rab umr lambi de mujhe tere labon par ye duaa achchhi nahin lagti kabhi teri sabhi naadaaniyon par jaan dete the magar ab to tiri koi khataa achchhi nahin lagti mujhe tum chhoD do is haal par ye haal achchhaa hai paDi hai dard ki khu ab shifaa achchhi nahin lagti ujaalon se to ab 'afrang' kyaa ummid kijegaa magar ye tirgi ham se khafaa achchhi nahin lagti"
Zohheb Farooqui AfrangZohheb Farooqui Afrang
Quote
"kaise dil kaa kahaa bataaein ham raaz ki baat kyaa bataaein ham tum ne puchhaa bhi to nahin ham se jo tumhein masala bataaein ham aaj insaan sochtaa hai ye kaise khud ko khudaa bataaein ham ghalatiyaan ham ne bhi bahut ki hain kis ko kis ki khataa bataaein ham ham ne bhi kaun si vafaa ki hai kyon use bevafaa bataaein ham khuun kaa yaa mohabbaton vaalaa kis kaa rishta baDaa bataaein ham bhuul kar bhi na dil lagaaoge aashiqi ki sazaa bataaein ham kaun aisaa hai is zamaane mein jis ko ham se buraa bataaein ham jaanvar se buraa hai mat puchho haal insaan kaa kyaa bataaein ham"
Zohheb Farooqui AfrangZohheb Farooqui Afrang
Quote
"sabhi dil-shaad manzar chhoD aayaa safar mein huun main ghar-var chhoD aayaa taalluq tishnagi se hai puraanaa ye sochaa aur samundar chhoD aayaa miri qurbaaniyaan kyaa puchhte ho parinda huun aur ambar chhoD aayaa bhaTakne kaa thaa aisaa shauq mujh ko ki main daamaan-e-rahbar chhoD aayaa jahaan se zindagi ki ibtidaa ki usi jaa maut kaa Dar chhoD aayaa marammat mein bahut kharcha thaa saahab main apne khvaab jarjar chhoD aayaa mujhe 'afrang' dukh is baat kaa hai main us ki aankhon ko tar chhoD aayaa"
Zohheb Farooqui AfrangZohheb Farooqui Afrang
Quote
"vo mujh ko aazmaane vaale kyaa hue mujhe lahu rulaane vaale kyaa hue miri khataa bataane vaale kyaa hue mujhe sazaa sunaane vaale kyaa hue vo nafraton ke qaafilon ke darmiyaan mohabbatein luTaane vaale kyaa hue zamin puchhti hai aasmaan se vo inqalaab laane vaale kyaa hue jigar pe zakhm hain nae-nae sabhi jo zakhm the puraane vaale kyaa hue judaa na honge mujh se is darogh kaa mujhe yaqin dilaane vaale kyaa hue ye raaste mein aane vaale log hain vo raasta dikhaane vaale kyaa hue ye mujh se duur jaane vaale kaun hain mire qarib aane vaale kyaa hue jo mujh ko kah rahe the haar jaaegaa yahin to the zamaane vaale kyaa hue kahaan se aa base hain ye darogh-go jahaan ko sach bataane vaale kyaa hue ujaaD mai-kade se puchhiye koi vo piine aur pilaane vaale kyaa hue"
Zohheb Farooqui AfrangZohheb Farooqui Afrang