Shayari
subh tak vo bhi na chhoDi tu ne ai baad-e-sabaa
yaadgaar-e-raunaq-e-mahfil thi parvaane ki khaak
vo phir vaada milne kaa karte hain yaani
abhi kuchh dinon ham ko jiinaa paDegaa
وہ پھر وعدہ ملنے کا کرتے ہیں یعنی
ابھی کچھ دنوں ہم کو جینا پڑے گا
वो फिर वादा मिलने का करते हैं यानी
अभी कुछ दिनों हम को जीना पड़ेगा

subh tak vo bhi na chhoDi tu ne ai baad-e-sabaa
yaadgaar-e-raunaq-e-mahfil thi parvaane ki khaak
itnaa to jaante hain ki aashiq fanaa huaa
aur us se aage baDh ke khudaa jaane kyaa huaa
vo yahaan tak jo aa nahin sakte
kyaa mujhe bhi bulaa nahin sakte
lab-e-naazuk ke bose luun to missi munh banaati hai
kaf-e-paa ko agar chumun to mehndi rang laati hai
bimaar-e-gham ki chaaragari kuchh zarur hai
vo dard dil mein de ki masihaa kahein jise
kis ko dekhaa un ki surat dekh kar
ji mein aataa hai ki sajda kijiye
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
tamaam umr bhaTakte rahe jo raahon mein
dikhaa rahe hain vahi aaj raastaa mujh ko
ye zindagi jise apnaa samajh rahe hain sab
hai mustaaar faqat raunaq-e-jahaan ke liye
kabhi kabhi to mohabbat ki zindagi ke liye
khud un ko ham ne ubhaaraa hai barhami ke liye