Shayari
tanhaai mein karni to hai ik baat kisi se
lekin vo kisi vaqt akelaa nahin hotaa
hijr ik vaqfa-e-bedaar hai do nindon mein
vasl ik khvaab hai jis ki koi taabir nahin
ہجر اک وقفۂ بیدار ہے دو نیندوں میں
وصل اک خواب ہے جس کی کوئی تعبیر نہیں
हिज्र इक वक़्फ़ा-ए-बेदार है दो नींदों में
वस्ल इक ख़्वाब है जिस की कोई ताबीर नहीं

tanhaai mein karni to hai ik baat kisi se
lekin vo kisi vaqt akelaa nahin hotaa
khair badnaam to pahle bhi bahut the lekin
tujh se milnaa thaa ki par lag gae rusvaai ko
ahl-e-havas to khair havas mein hue zalil
vo bhi hue kharaab, mohabbat jinhon ne ki
ek lamhe mein bikhar jaataa hai taanaa-baanaa
aur phir umr guzar jaati hai yakjaai mein
main ne kahaa ki dekh ye main ye havaa ye raat
us ne kahaa ki meri paDhaai kaa vaqt hai
pataa ab tak nahin badlaa hamaaraa
vahi ghar hai vahi qissa hamaaraa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
niind ke ghar mein hain khvaab aane lage
'ishq hai naachtaa aankh ke sahn mein
ye mere saathi hain pyaare saathi magar inhein bhi nahin gavaaraa
main apni vahshat ke maqbare se nai tamannaa ke khvaab dekhun
usi ke khvaab the saare usi ko saunp diye
so vo bhi jiit gayaa aur main bhi haaraa nahin