Shayari
suraahi-e-mai-e-naab-o-safina-haa-e-ghazal
ye harf-e-husn-e-muqaddar likhaa hai kis ke liye
harf-e-dushnaam se yuun us ne navaazaa ham ko
ye malaamat hi mohabbat kaa sila ho jaise
حرف دشنام سے یوں اس نے نوازا ہم کو
یہ ملامت ہی محبت کا صلہ ہو جیسے
हर्फ़-ए-दुश्नाम से यूँ उस ने नवाज़ा हम को
ये मलामत ही मोहब्बत का सिला हो जैसे

suraahi-e-mai-e-naab-o-safina-haa-e-ghazal
ye harf-e-husn-e-muqaddar likhaa hai kis ke liye
laao ik lamhe ko apne-aap mein Duub ke dekh aauun
khud mujh mein hi meraa khudaa ho ye bhi to ho saktaa hai
isi talaash mein pahunchaa huun ishq tak tere
ki is havaale se paa jaaun main davaam apnaa
mere tasavvur ne bakhshi hai tanhaai ko bhi ik mahfil
tu mahfil mahfil tanhaa ho ye bhi to ho saktaa hai
ye ik savaal hai shikva nahin gila bhi nahin
mire khudaa tiraa lutf-o-ataa hai kis ke liye
yaad ban ke pahlu mein mausamon ke bistar par
karvaTein badalti hain mehrbaaniyaan saari
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
aaghaaz-e-ishq umr kaa anjaam ho gayaa
naakaamiyon ke gham mein miraa kaam ho gayaa
hain sab ye tire shikve kotaahi-e-ulfat se
kuchh dil ki taDap kam hai kuchh khaam tamannaa hai
jahaan hasin hai mohabbat ki dil-navaazi se
magar ye raaz koi khaal-khaal hi jaane