Shayari
zindagi ke bahut qarib na jaa
faasla kuchh to apne dhyaan mein rakh
A
Akmal Imaamungliyon ke hunar se ai 'akmal'
shakl paati hai chaak par miTTi
انگلیوں کے ہنر سے اے اکملؔ
شکل پاتی ہے چاک پر مٹی
उँगलियों के हुनर से ऐ 'अकमल'
शक्ल पाती है चाक पर मिट्टी
zindagi ke bahut qarib na jaa
faasla kuchh to apne dhyaan mein rakh
meraa saaya bhi baDh gayaa mujh se
is saliqe se ghaT gayaa huun main
aarzu Tiis karb tanhaai
khud mein kitnaa simaT gayaa huun main
nai tahqiq ne qatron se nikaale dariyaa
ham ne dekhaa hai ki zarron se zamaane nikle
har ek harf se jiine kaa fan numaayaan ho
kuchh is tarah ki ibaarat nisaab mein likhiye
zehn mein ajnabi samton ke hain paikar lekin
dil ke aaine mein sab aks puraane nikle
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
sabza o gul kahaan se aae hain
abr kyaa chiiz hai havaa kyaa hai
kuchh phulon ki khaatir bhi kuchh phulon kaa
sab se achchhaa rang churaanaa paDtaa hai
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
qaatil tiri gali bhi badaun se kam nahin
jis ke qadam qadam pe mazaar-e-shahid hai
sayyaad teraa ghar mujhe jannat sahi magar
jannat se bhi sivaa mujhe raahat chaman mein thi