Shayari
afsaana mohabbat kaa puuraa ho to kaise ho
kuchh hai dil-e-qaatil tak kuchh hai dil-e-bismil tak
zamaane ko duun kyaa ki daaman mein mere
faqat chand aansu hain vo bhi kisi ke
زمانے کو دوں کیا کہ دامن میں میرے
فقط چند آنسو ہیں وہ بھی کسی کے
ज़माने को दूँ क्या कि दामन में मेरे
फ़क़त चंद आँसू हैं वो भी किसी के

afsaana mohabbat kaa puuraa ho to kaise ho
kuchh hai dil-e-qaatil tak kuchh hai dil-e-bismil tak
jaane kyaa mahfil-e-parvaana mein dekhaa us ne
phir zabaan khul na saki shama jo khaamosh hui
uTh ke us bazm se aa jaanaa kuchh aasaan na thaa
ek divaar se niklaa huun jo dar se niklaa
nikle tiri mahfil se to saath na thaa koi
shaayad miri rusvaai kuchh duur chali hogi
bhiiD ke khauf se phir ghar ki taraf lauT aayaa
ghar se jab shahr mein tanhaai ke Dar se niklaa
anjaam-e-kashaakash hogaa kuchh dekhein to tamaashaa divaane
yaa khaak uDegi gardun par yaa farsh pe taare nikleinge
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
ghamon ne gher liyaa hai mujhe to kyaa gham hai
main muskuraa ke jiyungaa tiri khushi ke liye
bhare hon aankh mein aansu khamida gardan ho
to khaamushi ko bhi izhaar-e-muddaaa kahiye