Shayari
khud hi jaane lage the aur khud hi
raasta rok kar khaDe hue hain
us ne naasur kar liyaa hogaa
zakhm ko shaaeri banaate hue
اس نے ناسور کر لیا ہوگا
زخم کو شاعری بناتے ہوئے
उस ने नासूर कर लिया होगा
ज़ख़्म को शाएरी बनाते हुए

khud hi jaane lage the aur khud hi
raasta rok kar khaDe hue hain
aur kitni ghumaaoge duniyaa
ham to sar thaam kar khaDe hue hain
main aainon ko dekhe jaa rahaa thaa
ab in se baat bhi karne lagaa huun
haath jis ko lagaa nahin saktaa
us ko aavaaz to lagaane do
ek darvesh ko tiri khaatir
saari basti se ishq ho gayaa hai
kaisaa mujh ko banaa diyaa 'ammaar'
kaun saa rang bhar gae mujh mein
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kisi ke zakhm par chaahat se paTTi kaun baandhegaa
agar bahnein nahin hongi to raakhi kaun baandhegaa
sau fasaad ek ishq mein uTThe
boyaa ik tukhm uge hazaar darakht
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
'ghaalib' chhuTi sharaab par ab bhi kabhi kabhi
piitaa huun roz-e-abr o shab-e-maahtaab mein
mujh tak kab un ki bazm mein aataa thaa daur-e-jaam
saaqi ne kuchh milaa na diyaa ho sharaab mein