Shayari
kuchh aisi ban gai tasvir us ke dast-e-qudrat se
rahaa hairaan banaa kar aap surat-aafrin barson
B
Bandar Ibnitnaa hi chaahtaa huun ki main aur andalib
aapas mein dard-e-dil kahein Tuk baiTh kar kahin
اتنا ہی چاہتا ہوں کہ میں اور عندلیب
آپس میں درد دل کہیں ٹک بیٹھ کر کہیں
इतना ही चाहता हूँ कि मैं और अंदलीब
आपस में दर्द-ए-दिल कहें टुक बैठ कर कहीं
kuchh aisi ban gai tasvir us ke dast-e-qudrat se
rahaa hairaan banaa kar aap surat-aafrin barson
sunaa kis ne haal meraa ki juun abr vo na royaa
rakhe hai magar ye qissa asar-e-duaa-e-baaraan
ai baaghbaan nahin tire gulshan se kuchh gharaz
mujh se qasam le chheDun agar barg-o-bar kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate