Shayari
ishq mein bu hai kibriyaai ki
aashiqi jis ne ki khudaai ki
B
Baqaullah 'Baqa'baang-e-takbir to aisi hai 'baqaa' sina-kharaash
ungliyaan aap moazzin ne dharin kaan ke biich
بانگ تکبیر تو ایسی ہے بقاؔ سینہ خراش
انگلیاں آپ موذن نے دھریں کان کے بیچ
बाँग-ए-तकबीर तो ऐसी है 'बक़ा' सीना-ख़राश
उँगलियाँ आप मोअज़्ज़िन ने धरीं कान के बीच
ishq mein bu hai kibriyaai ki
aashiqi jis ne ki khudaai ki
bulbul se kahaa gul ne kar tark mulaaqaatein
ghunche ne girah baandhin jo gul ne kahin baatein
ishq ne mansab likhe jis din miri taqdir mein
daagh ki naqadi mili sahraa milaa jaagir mein
chhoD kar kucha-e-mai-khaana taraf masjid ke
main to divaana nahin huun jo chalun hosh ki raah
ulfat mein tiri ai but-e-be-mehr-o-mohabbat
aayaa hamein ik haath se taali kaa bajaanaa
kal ke din jo gird mai-khaane ke phirte the kharaab
aaj masjid mein jo dekhaa saahab-e-sajjaada hain
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
teraa ghar aur meraa jangal bhigtaa hai saath saath
aisi barsaatein ki baadal bhigtaa hai saath saath
gul ho mahtaab ho aaina ho khurshid ho miir
apnaa mahbub vahi hai jo adaa rakhtaa ho