Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
na ji bhar ke dekhaa na kuchh baat ki
baDi aarzu thi mulaaqaat ki
نہ جی بھر کے دیکھا نہ کچھ بات کی
بڑی آرزو تھی ملاقات کی
न जी भर के देखा न कुछ बात की
बड़ी आरज़ू थी मुलाक़ात की

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
udaas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain
bhuul shaayad bahut baDi kar li
dil ne duniyaa se dosti kar li
khudaa aise ehsaas kaa naam hai
rahe saamne aur dikhaai na de
hasin to aur hain lekin koi kahaan tujh saa
jo dil jalaae bahut phir bhi dilrubaa hi lage
ik shaam ke saae tale baiThe rahe vo der tak
aankhon se ki baatein bahut munh se kahaa kuchh bhi nahin
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
us shaan-e-aajizi ke fidaa jis ne 'aarzu'
har naaz har ghurur ke qaabil banaa diyaa
ab bhi barsaat ki raaton mein badan TuTtaa hai
jaag uThti hain ajab khvaahishein angDaai ki
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
sab ummidein mire aashob-e-tamannaa tak thiin
bastiyaan ho gaiin gharqaab to dariyaa utraa
vo maah jalva dikhaa kar hamein huaa ru-posh
ye aarzu hai ki nikle kahin dobaaraa chaand