Shayari
khvaab kaa kyaa hai raat ke naqsh-o-nigaar banaao
raat ke naqsh-o-nigaar banaao khvaab kaa kyaa hai
khvaab jazira ban sakte the nahin bane
ham bhi qissa ban sakte the nahin bane
خواب جزیرہ بن سکتے تھے نہیں بنے
ہم بھی قصہ بن سکتے تھے نہیں بنے
ख़्वाब जज़ीरा बन सकते थे नहीं बने
हम भी क़िस्सा बन सकते थे नहीं बने

khvaab kaa kyaa hai raat ke naqsh-o-nigaar banaao
raat ke naqsh-o-nigaar banaao khvaab kaa kyaa hai
shelf pe ulTaa kar ke rakh do aur bisraa do
gul-daanon mein phuul sajaao khvaab kaa kyaa hai
darinde saath rahnaa chaahte hain aadmi ke
ghanaa jangal makaanon tak pahunchnaa chaahtaa hai
ek be-chehra musaafir rang oDhe
dhund mein chalte hue dekhaa gayaa hai
dekhnaa ye hai ki jangal ko chalaane ke liye
mashvara richh se aur chiil se hogaa ki nahin
aakhir jism bhi divaaron ko saunp gae
darvaazon mein aankhein dharne vaale log
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
mubham se ek khvaab ki taabir kaa hai shauq
nindon mein baadalon kaa safar tez abhi se hai
aa hi gae hain khvaab to phir jaaeinge kahaan
aaankhon se aage un ki koi rahguzar nahin
nae daur ke nae khvaab hain nae mausamon ke gulaab hain
ye mohabbaton ke charaagh hain inhein nafraton ki havaa na de