Shayari
tum is taraf se guzar chuki ho magar gali gungunaa rahi hai
tumhaari paazeb kaa vo naghma fazaa mein ab tak khanak rahaa hai
E
Ehsan DarbhangavibaDi mushkilon se kaaTaa baDe karb se guzaaraa
tire baa'd koi lamha jo milaa kabhi khushi kaa
بڑی مشکلوں سے کاٹا بڑے کرب سے گزارا
ترے بعد کوئی لمحہ جو ملا کبھی خوشی کا
बड़ी मुश्किलों से काटा बड़े कर्ब से गुज़ारा
तिरे ब'अद कोई लम्हा जो मिला कभी ख़ुशी का
tum is taraf se guzar chuki ho magar gali gungunaa rahi hai
tumhaari paazeb kaa vo naghma fazaa mein ab tak khanak rahaa hai
shaayad abhi baaqi hai kuchh aag mohabbat ki
maazi ki chitaaon se uThtaa hai dhuaan 'ehsaan'
shauq ke mumkinaat ko donon hi aazmaa chuke
tum bhi fareb khaa chuke ham bhi fareb khaa chuke
nazar aati hai saari kaaenaat-e-mai-kada raushan
ye kis ke saaghar-e-rangin se phuTi hai kiran saaqi
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
nahin nahin main bahut khush rahaa huun tere baghair
yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai
ye do-dili mein rahaa ghar na ghaaT kaa 'anjum'
buton ko kar na sakaa khush khudaa ko paa na sakaa
jaane kyaa kah rahaa thaa vo mujh se
main ne bhi kah diyaa ki khush huun main
tum se Takraae to huaa maa'lum
haadse khushnumaa bhi hote hain
chhin liin khushiyaan miri aankhon se meri niind bhi
zindagi tu ne mujhe ab tak diyaa kuchh bhi nahin