Shayari
fitrat mein aadmi ki hai mubham saa ek khauf
us khauf kaa kisi ne khudaa naam rakh diyaa
mujhe zindagi ki duaa dene vaale
hansi aa rahi hai tiri saadgi par
مجھے زندگی کی دعا دینے والے
ہنسی آ رہی ہے تری سادگی پر
मुझे ज़िंदगी की दुआ देने वाले
हँसी आ रही है तिरी सादगी पर

fitrat mein aadmi ki hai mubham saa ek khauf
us khauf kaa kisi ne khudaa naam rakh diyaa
kyaa kijiye kashish hai kuchh aisi gunaah mein
main varna yuun fareb mein aataa bahaar ke
meraa saaqi hai baDaa dariyaa-dil
phir bhi pyaasaa huun ki sahraa huun main
tark-e-taalluqaat khud apnaa qusur thaa
ab kyaa gila ki un ko hamaari khabar nahin
khudaa gavaah ki donon hain dushman-e-parvaaz
gham-e-qafas ho ki raahat ho aashiyaane ki
ab shikva-e-sang-o-khisht kaisaa
jab teri gali mein aa gayaa huun
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
idhar to tuul diyaa hai umiid ko us ne
udhar hayaat ataa ki hai mukhtasar mujh ko
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
umr hi teri guzar jaaegi un ke hal mein
teraa bachcha jo savaalaat liye baiThaa hai