Shayari
ek parchhaain tasavvur ki mire saath rahe
main tujhe bhulun magar yaad mujhe tu aae
kahiye aaina-e-sad-fasl-e-bahaaraan tujh ko
kitne phulon ki mahak hai tire pairaahan mein
کہیے آئینۂ صد فصل بہاراں تجھ کو
کتنے پھولوں کی مہک ہے ترے پیراہن میں
कहिए आईना-ए-सद-फ़स्ल-ए-बहाराँ तुझ को
कितने फूलों की महक है तिरे पैराहन में

ek parchhaain tasavvur ki mire saath rahe
main tujhe bhulun magar yaad mujhe tu aae
shaayad abhi kami si masihaaiyon mein hai
jo dard hai vo ruuh ki gahraaiyon mein hai
saudaa hai zamiron kaa har gaam tijaarat hai
chup huun to qayaamat hai bolun to baghaavat hai
kin shahidon ke lahu ke ye farozaan hain charaagh
raushni si jo hai zindaan ke har ik rauzan mein
kyaa baat hai kyuun shahr mein ab ji nahin lagtaa
haalaanki yahaan apne paraae bhi vahi hain
'gulnaar' maslahat ki zabaan mein na baat kar
vo zahr pi ke dekh jo sachchaaiyon mein hai
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate
main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai