Shayari
is ko samjho na khatt-e-nafs 'hafiz'
aur hi kuchh hai shaaeri se gharaz
zaahid sharaab-e-naab ho yaa baada-e-tuhur
piine hi par jab aae haraam o halaal kyaa
زاہد شراب ناب ہو یا بادۂ طہور
پینے ہی پر جب آئے حرام و حلال کیا
ज़ाहिद शराब-ए-नाब हो या बादा-ए-तुहूर
पीने ही पर जब आए हराम ओ हलाल क्या

is ko samjho na khatt-e-nafs 'hafiz'
aur hi kuchh hai shaaeri se gharaz
jo divaanon ne paimaaish ki hai maidaan-e-qayaamat ki
faqat do gaz zamin Thahri vo mere dasht-e-vahshat ki
o aankh badal ke jaane vaale
kuchh dhyaan kisi ki aajizi kaa
pari thi koi chhalaavaa thi yaa javaani thi
kahaan ye ho gai champat jhalak dikhaa ke mujhe
kabhi masjid mein jo vaaiz kaa bayaan suntaa huun
yaad aati hai mujhe pir-e-kharaabaat ki baat
bahut duur to kuchh nahin ghar miraa
chale aao ik din Tahalte hue
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
aae kuchh abr kuchh sharaab aae
is ke baa'd aae jo azaab aae
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
lab-e-mai-gun kaa taqaazaa hai ki jiinaa hogaa
aankh kahti hai tujhe zahr bhi piinaa hogaa
sar-chashma-e-baqaa se hargiz na aab laao
hazrat khizar kahin se jaa kar sharaab laao
aaj pi kar bhi vahi tishna-labi hai saaqi
lutf mein tere kahin koi kami hai saaqi