Shayari
jab se kuchh qaabu hai apnaa kaakul-e-khamdaar par
saanp har dam loTtaa hai sina-e-aghyaar par
H
Haqeermujhe ab maut behtar zindagi se
vo ki tum ne sitamgaari ki tauba
مجھے اب موت بہتر زندگی سے
وہ کی تم نے ستم گاری کہ توبہ
मुझे अब मौत बेहतर ज़िंदगी से
वो की तुम ने सितमगारी कि तौबा
jab se kuchh qaabu hai apnaa kaakul-e-khamdaar par
saanp har dam loTtaa hai sina-e-aghyaar par
kyaa jaanein un ki chaal mein eajaaz hai ki sehr
vo bhi unhin se mil gae jo the hamaare log
khuub mil kar gale se ro lenaa
is se dil ki safaai hoti hai
yak-ba-yak tark na karnaa thaa mohabbat mujh se
khair jis tarah se aataa thaa vo aataa jaataa
jaantaa us ko huun davaa ki tarah
chaahtaa us ko huun shifaa ki tarah
band-e-qabaa pe haath hai sharmaae jaate hain
kamsin hain zikr-e-vasl se ghabraae jaate hain
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
kar rahaa huun tujhe khushi se basar
zindagi tujh se daad chaahtaa huun
mohabbat rahi chaar din zindagi mein
rahaa chaar din kaa asar zindagi bhar
kiyaa baadalon mein safar zindagi bhar
zamin par banaayaa na ghar zindagi bhar