Shayari
dil ko gham raas hai yuun gul ko sabaa ho jaise
ab to ye dard ki surat hi davaa ho jaise
milne ko hai khamoshi-e-ahl-e-junun ki daad
uThne ko hai zamin se dhuaan dekhte raho
ملنے کو ہے خموشئ اہل جنوں کی داد
اٹھنے کو ہے زمیں سے دھواں دیکھتے رہو
मिलने को है खमोशी-ए-अहल-ए-जुनूँ की दाद
उठने को है ज़मीं से धुआँ देखते रहो

dil ko gham raas hai yuun gul ko sabaa ho jaise
ab to ye dard ki surat hi davaa ho jaise
dasht-e-vafaa mein jal ke na rah jaaein apne dil
vo dhuup hai ki rang hain kaale paDe hue
ab to divaanon se yuun bach ke guzar jaati hai
bu-e-gul bhi tire daaman ki havaa ho jaise
tazin-e-bazm-e-gham ke liye koi shai to ho
raushan charaagh-e-dil na sahi jaam-e-mai to ho
yaadein chalein khayaal chalaa ashk-e-tar chale
le kar payaam-e-shauq kai naama-bar chale
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
maslahat thi koi vo chup the agar
bolne vaale to khul kar bolte
zabaan khaamosh magar nazron mein ujaalaa dekhaa
us kaa izhaar-e-mohabbat bhi niraalaa dekhaa
aurat ho tum to tum pe munaasib hai chup raho
ye bol khaandaan ki izzat pe harf hai
sukut vo bhi musalsal sukut kyaa maani
kahin yahi tiraa andaaz-e-guftugu to nahin
main chup rahaa to aankh se aansu ubal paDe
jab bolne lagaa miri aavaaz phaT gai