Shayari
vo raatein chaand ke saath gaiin vo baatein chaand ke saath gaiin
ab sukh ke sapne kyaa dekhein jab dukh kaa suraj sar par ho
ek din dekhne ko aa jaate
ye havas umr bhar nahin hoti
ایک دن دیکھنے کو آ جاتے
یہ ہوس عمر بھر نہیں ہوتی
एक दिन देखने को आ जाते
ये हवस उम्र भर नहीं होती

vo raatein chaand ke saath gaiin vo baatein chaand ke saath gaiin
ab sukh ke sapne kyaa dekhein jab dukh kaa suraj sar par ho
'inshaa'-ji uTho ab kuuch karo is shahr mein ji ko lagaanaa kyaa
vahshi ko sukun se kyaa matlab jogi kaa nagar mein Thikaanaa kyaa
ham bhuul sake hain na tujhe bhuul sakeinge
tu yaad rahegaa hamein haan yaad rahegaa
ahl-e-vafaa se tark-e-taalluq kar lo par ik baat kahein
kal tum in ko yaad karoge kal tum inhein pukaaroge
bekal bekal rahte ho par mahfil ke aadaab ke saath
aankh churaa kar dekh bhi lete bhole bhi ban jaate ho
kab lauTaa hai bahtaa paani bichhDaa saajan ruThaa dost
ham ne us ko apnaa jaanaa jab tak haath mein daamaan thaa
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
adaa huaa na qarz aur vajud khatm ho gayaa
main zindagi kaa dete dete suud khatm ho gayaa
har baar hi main jaan se jaane mein rah gayaa
main rasm-e-zindagi jo nibhaane mein rah gayaa
zindagi kaa har ik gham uThaate hue
main sanbhalne lagaa laDkhaDaate hue