Shayari
ham zaifon ko kahaan aamad o shud ki taaqat
aankh ki band huaa kucha-e-jaanaan paidaa
ab ki holi mein rahaa be-kaar rang
aur hi laayaa firaaq-e-yaar rang
اب کی ہولی میں رہا بے کار رنگ
اور ہی لایا فراق یار رنگ
अब की होली में रहा बे-कार रंग
और ही लाया फ़िराक़-ए-यार रंग

ham zaifon ko kahaan aamad o shud ki taaqat
aankh ki band huaa kucha-e-jaanaan paidaa
ham mai-kashon ko Dar nahin marne kaa mohtasib
firdaus mein bhi sunte hain nahr-e-sharaab hai
taazgi hai sukhan-e-kuhna mein ye baad-e-vafaat
log aksar mire jiine kaa gumaan rakhte hain
shubh 'naasikh' nahin kuchh 'mir' ki ustaadi mein
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mir' nahin
kaam kyaa nikle kisi tadbir se
aadmi majbur hai taqdir se
takallum hi faqat hai us sanam kaa
khudaa ki tarah goyaa be-dahaan hai
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
mujh ko to dekh lene se matlab hai naasehaa
bad-khu agar hai yaar to ho khub-ru to hai
maza hai spēch kaa dinner mein khabar ye chhapti hai pionēr mein
falak ki gardish ke saath hi saath kaam yaaron kaa chal rahaa hai
kahne sunne ke liye aur bachaa hi kyaa hai
so mire dost ijaazat mujhe rukhsat kiyaa jaae
ye mohabbat kaa jo ambaar paDaa hai mujh mein
is liye hai ki miraa yaar paDaa hai mujh mein
khel zindagi ke tum khelte raho yaaro
haar jiit koi bhi aakhiri nahin hoti