Shayari
ye mohabbat bhi ek neki hai
is ko dariyaa mein Daal aate hain
ham Thahre raheinge kisi taabir ko thaame
aankhon mein koi khvaab ravaan yuun hi rahegaa
ہم ٹھہرے رہیں گے کسی تعبیر کو تھامے
آنکھوں میں کوئی خواب رواں یوں ہی رہے گا
हम ठहरे रहेंगे किसी ताबीर को थामे
आँखों में कोई ख़्वाब रवाँ यूँ ही रहेगा

ye mohabbat bhi ek neki hai
is ko dariyaa mein Daal aate hain
apni hi ravaani mein bahtaa nazar aataa hai
ye shahr bulandi se dariyaa nazar aataa hai
jiye garche isi duniyaa mein ham bhi
magar duniyaa hamaari aur hi thi
pukaarte the mujhe aasmaan magar main ne
qayaam karne ko ye khaak-daan pasand kiyaa
ek lamha lauT kar aayaa nahin
ye baras bhi raaegaan rukhsat huaa
bujh jaaegaa ik roz tiri yaad kaa shola
lekin mire siine mein dhuaan yuun hi rahegaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
hamaaraa ishq ravaan hai rukaavaTon mein 'zafar'
ye khvaab hai kisi divaar se nahin ruktaa
afsos umr kaT gai ranj-o-malaal mein
dekhaa na khvaab mein bhi jo kuchh thaa khayaal mein
main ne dekhaa hai bahaaron mein chaman ko jalte
hai koi khvaab ki taabir bataane vaalaa
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
ik yaqin-parvar gumaan aur ik hayaat-aamez khvaab
jaise koi aaegaa aur uljhanein le jaaegaa