Shayari
tark-e-taalluqaat mein mahjur to hue
lekin khayaal-o-khvaab mein vo ru-ba-ru rahe
vo chaahtaa hai ki ham us ki dastaras mein rahein
kisi kaa ho ke rahein ye use gavaaraa nahin
وہ چاہتا ہے کہ ہم اس کی دسترس میں رہیں
کسی کا ہو کے رہیں یہ اسے گوارا نہیں
वो चाहता है कि हम उस की दस्तरस में रहें
किसी का हो के रहें ये उसे गवारा नहीं

tark-e-taalluqaat mein mahjur to hue
lekin khayaal-o-khvaab mein vo ru-ba-ru rahe
ye khadd-o-khaal ye gesu ye surat-e-zebaa
sabhi kaa husn hai apni jagah magar aankhein
ham to apne qad ke baraabar bhi na hue
log na jaane kaise khudaa ho jaate hain
umr-e-rafta jaa kisi divaar ke saae mein baiTh
be-sabab ki khvaahishein hain aur ghar ki justuju
kaun guzraa hai ye aandhiyon ki tarah
shama-e-raah-e-vafaa ko bujhaate hue
ki hai sargoshi sar-e-shaam mire dil ne phir
is liye ham ne lapeTaa nahin bistar apnaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
vahaan hamaaraa koi muntazir nahin phir bhi
hamein na rok ki ghar jaanaa chaahte hain ham
baat karnaa pyaar ki aasaan se aasaan hai
ishq karnaa karte rahnaa hai kaThin se bhi kaThin
kin manzilon luTe hain mohabbat ke qaafile
insaan zamin pe aaj gharib-ul-vatan saa hai
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se