Shayari
havaa to hai hi mukhaalif mujhe Daraataa hai kyaa
havaa se puchh ke koi diye jalaataa hai kyaa
ki ham bane hi na the ek dusre ke liye
ab is yaqin ko jiinaa hayaat karte hue
کہ ہم بنے ہی نہ تھے ایک دوسرے کے لیے
اب اس یقین کو جینا حیات کرتے ہوئے
कि हम बने ही न थे एक दूसरे के लिए
अब इस यक़ीन को जीना हयात करते हुए

havaa to hai hi mukhaalif mujhe Daraataa hai kyaa
havaa se puchh ke koi diye jalaataa hai kyaa
koi charaag jalaataa nahin saliqe se
magar sabhi ko shikaayat havaa se hoti hai
roz divaar mein chun detaa huun main apni anaa
roz vo toD ke divaar nikal aati hai
hamein har vaqt ye ehsaas daaman-gir rahtaa hai
paDe hain Dher saare kaam aur mohlat zaraa si hai
miri mushkil miri mushkil nahin hai
vasila teri aasaani kaa main huun
havaa se kah do ki kuchh der ko Thahar jaae
khajil hamaari ibaarat havaa se hoti hai
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
umr hi teri guzar jaaegi un ke hal mein
teraa bachcha jo savaalaat liye baiThaa hai
afsos umr kaT gai ranj-o-malaal mein
dekhaa na khvaab mein bhi jo kuchh thaa khayaal mein
meri saari zindagi ko be-samar us ne kiyaa
umr meri thi magar us ko basar us ne kiyaa
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein