Shayari
ne gul ko hai sabaat na ham ko hai e'tibaar
kis baat par chaman havas-e-rang-o-bu karein
kahte na the ham 'dard' miyaan chhoDo ye baatein
paai na sazaa aur vafaa kijiye us se
کہتے نہ تھے ہم دردؔ میاں چھوڑو یہ باتیں
پائی نہ سزا اور وفا کیجئے اس سے
कहते न थे हम 'दर्द' मियाँ छोड़ो ये बातें
पाई न सज़ा और वफ़ा कीजिए उस से

ne gul ko hai sabaat na ham ko hai e'tibaar
kis baat par chaman havas-e-rang-o-bu karein
tujhi ko jo yaan jalva-farmaa na dekhaa
baraabar hai duniyaa ko dekhaa na dekhaa
baagh-e-jahaan ke gul hain yaa khaar hain to ham hain
gar yaar hain to ham hain aghyaar hain to ham hain
aankhein bhi haae nazaa mein apni badal gaiin
sach hai ki bekasi mein koi aashnaa nahin
yak-ba-yak naam le uThaa meraa
ji mein kyaa us ke aa gayaa hogaa
saaqi mire bhi dil ki taraf Tuk nigaah kar
lab-tishna teri bazm mein ye jaam rah gayaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
hai gulu-gir bahut raat ki pahnaai bhi
teraa gham bhi hai mujhe aur gham-e-tanhaai bhi
be-sadaa kyuun guzarte ho aavaaz do
ab bhi kuchh log andar makaanon mein hain
ai dil tujhe karni hai agar ishq se baiat
zinhaar kabhu chhoDiyo mat silsila-e-dard