Shayari
saans lene ko hi jiinaa nahin kahte hain 'zafar'
zindagi thi jo tire vasl kaa imkaan hotaa
hai gulu-gir bahut raat ki pahnaai bhi
teraa gham bhi hai mujhe aur gham-e-tanhaai bhi
ہے گلو گیر بہت رات کی پہنائی بھی
تیرا غم بھی ہے مجھے اور غم تنہائی بھی
है गुलू-गीर बहुत रात की पहनाई भी
तेरा ग़म भी है मुझे और ग़म-ए-तन्हाई भी

saans lene ko hi jiinaa nahin kahte hain 'zafar'
zindagi thi jo tire vasl kaa imkaan hotaa
un ki mahfil mein 'zafar' log mujhe chaahte hain
vo jo kal kahte the divaana bhi saudaai bhi
zahr hai mere rag-o-pai mein mohabbat shaayad
apne hi Dank se bichchhu ki tarah mar jaaun
aa mire chaand raat suuni hai
baat banti nahin sitaaron se
paani ko aag kah ke mukar jaanaa chaahiye
palkon pe ashk ban ke Thahar jaanaa chaahiye
ek bhi aaftaab ban na sakaa
laakh TuuTe hue sitaaron se
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dard se vaaqif na the gham se shanaasaai na thi
haae kyaa din the tabiat jab kahin aai na thi
koi kyaa jaane ki hai roz-e-qayaamat kyaa chiiz
dusraa naam hai meri shab-e-tanhaai kaa
dard biktaa nahin baazaar-e-jahaan mein varna
jaan tak bech ke letaa main tire dil ke liye