Shayari
aatishin husn kyuun dikhaate ho
dil hai aashiq kaa koh-e-tur nahin
K
Kishan Kumaar Waqaardayaar-e-ishq mein ye masala hai muftaa-bih
ba-juz haraam ki raghbat ke kuchh halaal nahin
دیار عشق میں یہ مسئلہ ہے مفتیبہ
بجز حرام کی رغبت کے کچھ حلال نہیں
दयार-ए-इश्क़ में ये मसअला है मुफ़्ता-बिह
ब-जुज़ हराम की रग़बत के कुछ हलाल नहीं
aatishin husn kyuun dikhaate ho
dil hai aashiq kaa koh-e-tur nahin
ukhDi baaton se us ki saabit hai
kuchh na kuchh aaj ghair jaD ke uThaa
tumhaare ishq-e-abru mein hilaal-e-id ki surat
hazaaron ungliyaan uTThin jidhar se ho ke ham nikle
ashk-e-hasrat hai aaj tufaan-khez
kashti-e-chashm ki tabaahi hai
chhuptaa nahin hai dil mein kabhi raaz ishq kaa
ye aag vo hai jis ko nahin taab sang mein
haath pistaan pe ghair kaa pahunchaa
aap bhi ab hue anaar-farosh
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
uThaa sakte nahin jab chuum kar hi chhoDnaa achchhaa
mohabbat kaa ye patthar is dafa bhaari ziyaada hai
sajda-e-ishq pe tanqid na kar ai vaaiz
dekh maathe pe abhi chaand numaayaan hogaa
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
tiri abru hai mehraab-e-mohabbat
namaaz-e-ishq mere par hui farz