Shayari
aql kahti hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaaiye
yuun kar rahaa huun un ki mohabbat ke tazkire
jaise ki un se meri baDi rasm-o-raah thi
یوں کر رہا ہوں ان کی محبت کے تذکرے
جیسے کہ ان سے میری بڑی رسم و راہ تھی
यूँ कर रहा हूँ उन की मोहब्बत के तज़्किरे
जैसे कि उन से मेरी बड़ी रस्म-ओ-राह थी

aql kahti hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaaiye
agar khamosh rahun main to tu hi sab kuchh hai
jo kuchh kahaa to tiraa husn ho gayaa mahdud
naqaab-e-rukh uThaayaa jaa rahaa hai
vo nikli dhuup saayaa jaa rahaa hai
ye kah ke dil ne mire hausle baDhaae hain
ghamon ki dhuup ke aage khushi ke saae hain
ik baar tujhe aql ne chaahaa thaa bhulaanaa
sau baar junun ne tiri tasvir dikhaa di
yahi hai zindagi apni yahi hai bandagi apni
ki un kaa naam aayaa aur gardan jhuk gai apni
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kabhi ishq saaz-e-hayaat thaa kabhi soz-e-dil ne jalaa diyaa
kabhi vasl mein bhi kasak rahi kabhi dard-o-gham ne bhi mazaa diyaa
tere kahne se main ab laaun kahaan se naaseh
sabr jab is dil-e-muztar ko khudaa ne na diyaa
mohabbat adaavat vafaa be-rukhi
kiraae ke ghar the badalte rahe
main raah-e-ishq ke har pech-o-kham se vaaqif huun
ye raasta mire ghar se nikal ke jaataa hai