Shayari
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kitni baatein banaa ke laaun lek
yaad rahtin tire huzur nahin
چاہ کا دعویٰ سب کرتے ہیں مانیں کیوں کر بے آثار
اشک کی سرخی منہ کی زردی عشق کی کچھ تو علامت ہو
kitnī bāteñ banā ke lā.ūñ lek
yaad rahtīñ tire huzūr nahīñ

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
dil ki yak qatra khuun nahin hai besh
ek aalam ke sar balaa laayaa
mire saliqe se meri nibhi mohabbat mein
tamaam umr main naakaamiyon se kaam liyaa
chalte ho to chaman ko chaliye kahte hain ki bahaaraan hai
paat hare hain phuul khile hain kam-kam baad-o-baaraan hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kuchh kah do jhuuT hi ki tavaqqo bandhi rahe
toDo na aasraa dil-e-ummid-vaar kaa
sarv ko dekh ke kahtaa hai dil-e-basta-e-zulf
ham giraftaar hain is baagh mein aazaad hain sab
be-zaar hain jo jazba-e-hubb-ul-vatani se
vo log kisi se bhi mohabbat nahin karte
zaahiran maut hai qazaa hai ishq
par haqiqat mein jaan-fazaan hai ishq