Shayari
ai mashihaao agar chaaragari hai dushvaar
ho sake tum se nayaa zakhm lagaate jaao
khanda-e-lab mein nihaan zakhm-e-hunar dekhegaa kaun
bazm mein hain sab ke sab ahl-e-nazar dekhegaa kaun
خندۂ لب میں نہاں زخم ہنر دیکھے گا کون
بزم میں ہیں سب کے سب اہل نظر دیکھے گا کون
ख़ंदा-ए-लब में निहाँ ज़ख़्म-ए-हुनर देखेगा कौन
बज़्म में हैं सब के सब अहल-ए-नज़र देखेगा कौन

ai mashihaao agar chaaragari hai dushvaar
ho sake tum se nayaa zakhm lagaate jaao
koi surat nahin kharaabi ki
kis kharaabe mein bas rahaa hai jism
ab ke mausam mein ye meyaar-e-junun Thahraa hai
sar salaamat rahein dastaar na rahne paae
nairangi-e-siyaasat-e-dauraan to dekhiye
manzil unhein mili jo sharik-e-safar na the
ghalat the vaade magar main yaqin rakhtaa thaa
vo shakhs lahja bahut dil-nashin rakhtaa thaa
'mohsin' apnaaiyat ki fazaa bhi to ho
sirf divaar-o-dar ko makaan mat samajh
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
jaam-ba-dast-o-mai-ba-jaam yuun hi guzaar subh-o-shaam
ziist ki talkhiyaan mudaam pi ke pilaa ke bhuul jaa
guzre hue zamaane ko yaad na kar kabhi 'khumaar'
aur jo yaad aa hi jaae ashk bahaa ke bhuul jaa
haae re vo madh-bhari aankhein 'khumaar'
mai-kade viraan nazar aae hain
kyaa javaani gai janaab-e-'khumaar'
kaise tauba ki baat yaad aai