Shayari
kisi ke saath ki koi zarurat ab nahin hoti
tumhaari yaad ke mausam sadaa aabaad rahte hain
tiri gali ke jo phir aas-paas rahne lagaa
main hansne khelne vaalaa udaas rahne lagaa
تری گلی کے جو پھر آس پاس رہنے لگا
میں ہنسنے کھیلنے والا اداس رہنے لگا
तिरी गली के जो फिर आस-पास रहने लगा
मैं हँसने खेलने वाला उदास रहने लगा

kisi ke saath ki koi zarurat ab nahin hoti
tumhaari yaad ke mausam sadaa aabaad rahte hain
ye aur baat ki tujh ko bataa na paae ham
magar zabaan pe bahut baar teraa naam aayaa
achchhaa hai zindagi kisi dar par to aa gai
apnaa nahin to koi paraayaa hi mil gayaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
meri aaankhon mein kisi ne nahin dekhe aansu
phir bhi ye sach hai ki giryaan huun hamesha ki tarah
gham-e-dauraan gham-e-jaanaan kaa nishaan hai ki jo thaa
vasf-e-khubaan ba-hadis-e-digraan hai ki jo thaa
gham ko ehsaas ki miTTi mein khudaa ne gundhaa
aur kuchh ashk milaae to phir insaan kiyaa