Shayari
sitaare gum hue khurshid niklaa
araq jab yaar ne ponchhaa jabin se
M
Munawar Khan Ghafilvo subh ko is Dar se nahin baam par aataa
naama na koi baandh de suraj ki kiran mein
وہ صبح کو اس ڈر سے نہیں بام پر آتا
نامہ نہ کوئی باندھ دے سورج کی کرن میں
वो सुब्ह को इस डर से नहीं बाम पर आता
नामा न कोई बाँध दे सूरज की किरन में
sitaare gum hue khurshid niklaa
araq jab yaar ne ponchhaa jabin se
apne majnun ki zaraa dekh to be-parvaai
pairahan chaak hai aur fikr silaane ki nahin
kucha-e-jaanaan mein yaaro kaun suntaa hai miri
mujh se vaan phirte hain laakhon daad aur be-daad mein
kaun dariyaa-e-mohabbat se utar saktaa hai paar
kashti-e-farhaad aakhir koh se Takraa gai
baad marne ke miri qabr pe aayaa 'ghaafil'
yaad aai mire iisaa ko davaa mere baad
vasl mein bhi nahin majaal-e-sukhan
is rasaai pe naa-rasaa hain ham
aankhon mein meri subh-e-qayaamat gai jhamak
siine se us pari ke jo parda ulaT gayaa
vo miri subhon kaa taaraa vo miri raaton kaa chaand
mere dil ki raushni to thaa magar meraa na thaa
din nahin raat nahin subh nahin shaam nahin
rah gai ek nahin haan kaa kahin naam nahin
jalve machal paDe to sahar kaa gumaan huaa
zulfein bikhar gaiin to siyah raat ho gai
jab jaal machhere ne sameTaa hai alassubh
TuuTaa huaa ik chaand bhi taalaab se niklaa
khatm hone ko hai hukumat-e-shab
ik nai subh shama-daan mein hai