Shayari
khuub taazir-e-gunaah-e-ishq hai
naqd-e-jaan lenaa yahaan jurmaana hai
das biis har mahine mein abru nazar paDe
is saal saare chaand hue tiis tiis ke
دس بیس ہر مہینے میں ابرو نظر پڑے
اس سال سارے چاند ہوئے تیس تیس کے
दस बीस हर महीने में अबरू नज़र पड़े
इस साल सारे चाँद हुए तीस तीस के

khuub taazir-e-gunaah-e-ishq hai
naqd-e-jaan lenaa yahaan jurmaana hai
sunti hai roz naghma-e-zanjir-e-aashiqaan
vo zulf bhi hai silsila-e-ahl-e-chisht mein
jis roz main gintaa huun tire aane ki ghaDiyaan
suraj ko banaa deti hai sone ki ghaDi baat
haath milvaate ho tarsaae gilauri ke liye
kaf-e-afsos na mal jaae kahin paanv mein
jab kabhi maski kaTori kyaa sadaa paidaa hui
karti hai angiyaa ki chiDiyaa chahchahaane ki havas
ho gayaa maamur aalam jab kiyaa darbaar-e-aam
takhliya chaahaa to duniyaa saaf khaali ho gai
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
jo meri chashm ke parde sharik ho jaate
kamaal-e-daaman-e-abr-e-bahaar baDh jaataa
baadal ke ek TukDe mein kyon dab gai tapish
suraj hazaar darja jalaali banaa rahaa
baraabar khafaa hon baraabar manaaein
na tum baaz aao na ham baaz aaein
sardi bhi khatm ho gai barsaat bhi gai
aur is ke saath garmi-e-jazbaat bhi gai
kyaa hamsari ki ham se tamannaa kare koi
ham khud bhi apne qad ke baraabar na ho sake